Kabhii kabhi mere dil main khayaal ata hai..

Kabhii kabhi mere di..

Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai,
Ke zindagi teri zulf ki narm chaaon main,
Guzarne paati
To shadaab ho bhi sakti thi,
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai,
Teri nazar ki shoaaon main kho bhi sakti thi,

Ajab na tha ke main begaana-e-alam ho kar,
Tere jamaal ki raanaaiyon main khho rehta,
Tera gudaaz-badan teri niim-baaz ankhen,
Inhii haseen fasaanon me mehvv ho rehta,
Pukaartin mujhe jab talkhiyaan zamaane ki,
Tere badan se halaavat ke ghoont pii leta,

Hayaat cheekhti phirti barhna sar aur main,
Ghaneri zulfon ke saaye me chhup ke ji leta,

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai.
Ke tu nahin tera gham teri justujuu bhi nahin,
Guzar rahii hai kuchh is tarah zindagi,
Usse kissi ke sahaare kii arzuu bhi nahin,

Zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale,
Guzar raha hoon kuch anjaani rahguzaaron se,
Muhiib saaye meri samnt barrhte atey hain,
Hayaat o maut ke pur-hol khaazaaron se,
Na koii jaada-e-manzil na roshni ka suragh,

Bhattak rahi hai khalaaon me zindagi meri,
Inhii khalaaon me reh jaaon ga kabhi kho kar,
Main janta hoon meri hum-nafass magar yuunhi,
Kabhii kabhi mere dil main khayaal ata hai..


send poetry

Nazam Shayari, Sahir Ludhianvi
April 8th, 2015

Comment here

Your Comment: