Mujhe khabar bhi nahin

Mujhe khabar bhi nah..

ik din shararatan us k kamre mn ja kr,
deewar pe likhe kuch haruf parrhna chahe,,
ja baja hath se bani tasveeron ko samjhna chaha,
kahin sookhe gulab ki pattiyan thin,
kahin takiya aansoun se num tha,
phr kitabon se aisi kitab mere hath lagi,
jis k safha-e-awal pe mera naam tha,
kuch lafaz chape the,mera hath laraz utha,
chehra paseene se tar tha,
meri sada mere kaanon mn goonjne lagi,

Mujhe khabar bhi nahin
ke woh khamosh sa shakhs
mujhe is qadar chahta tha.


send poetry

Nazam Shayari
June 13th, 2011

Comment here

Your Comment: