Aasaan nahi dard-e-dil ko manana

Aasaan nahi dard-e-d..

Aasaan nahi dard-e-dil ko manana,
Pareshaan yoon hi kisi ko na karna,
Tanha na rehati yeh raatein humari,
Jab us anjaane ki tasveer bandh
NIGGAHON mein hai raheti.

Bandh NIGGAHON ki dehleez par aansoon ki dariya behati hai,
Jab haalate dil jubaan par bayaan ho jaati hai,
NIGGAHON mein udaasi ki diye jal uththi hai,
Nainoon ke sagar me hum khud bhi doob jaate hai,

Diya hi kya hai bechaini o beqarari ki siwa hum,
Kaise kahoon is NIGGAHON ki gulshan-e-bahar ke haqdaar ho tum,
Kaise kahoon mere haathon ki lakiroon mein bas tera hi naam hai.

Kaise bayaan karoon meri NIGGAHON me tere hi suroor chaya hai,
Kaise kahoon yeh surma-e-singgaar adhura rahega jab tak na milein
hamari nazaroon se nazar,
Kaise kahoon yeh haqeekat to hum ne apni hi NIGGAHON ke andaaz se
banayi hai.


send poetry

Sad Shayari
July 21st, 2009

Comment here

Your Comment:

Next: »