Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Aansoo ankhon mein rehte hain

Aansoo Shayari

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain

Zindagi Ka Saleeqa Kahan Hey Humain Ab Dugmagate Hain Qadam
Tum Ho ZINDGI Meri Hum To Bar Bar Yehi Kehte Hain

Hey Husrat-e-Dil Key Koi Bhi Pal Na Teri Yaad Se Gafil
Hum Soye Kahan Hain Bus Jagte Rehte Hain

Itna Chale Hain Ke CHal CHal Key Thak Gaye Hain
Sitare To Buhat Hain Per Hum Tumhain CHAAND Kehte Hain

Tum Se Judai Ke Ansoo Ankhon Me Rehte Hain
Kisi Ke Samne Kahan Ye To Dil Mein Behte Hain



Tere yad ma pal pal marta ha koi

Aansoo Shayari

tere yad ma pal pal marta ha koi
tujhe apne har sans ma yad karte ha koi

kabhi fursat mile to akele sochna
kitne khamosh mohbat karta ho koi ap se



kabi ro be lia kar

Aansoo Shayari

pathar hi lagain ge har simt se aa kar
ye jhot ki dunya hay yhan sach na kaha kar
har waqt ka hansna tujhe bar-bad na kar de
tanhai k lamhon me kabi ro be lia kar



dil se bhari padhi hun mein

Aansoo Shayari

Aaj kuch anokhi si raah pe khadhi hun mein
Has rahi hun auron ko dikhaane ke liye

Per dil se bhari padhi hun mein
Har baar khela mukaddar ne khel mere
Is dard ke khel ko buhat jheli hun mein

Mein koi asmaan se utri pari to na thi
Per tere pyar me lagta tha ki sabse Albeli hun mein
Shuru huya tha mohabbat ka Safar aise

Jaise koi dulhan nayi naveli thi mein
Aaj choadh gaye muje tum us manzar pe
Kuch nahi bus ik khandar ,ik Haveli hun mein

Yeh shaan o shaukat ka kya karun ab mein
Yeh Jug ke jhoothe dilaason ka kya karun
Jab tu hi saath nahi

Matt laga aaj itne ilazamaat mujpe
Dekh zara jeeker Zindagi meri
Tere pyaar bin kitni akeli hun mein

IS jahan ke liye Kitni sulji
Per khud ke liye bus ik paheli hun mein
Aaj tuj bin buhat akeli hun mein!!!!



Aaansu …

Aansoo Shayari

zara si baat dair tak rulati rahi
Hansi me bhi aankhe aansu bahati rhi,
Koi kho k mil gya,koi mil K kho gya,,
Zindagi hamko bas aise Hi aazmati rahi..!!



nahin karta

Aansoo Shayari

main lafzon ma kuch nhi ketha
is ka matlab ye nhi ke ma tujh se pyar nhi karta
chahta hoon tujhe aaj bhi phir teri soch ma
apna waqt bekar nhi karta
tamasha na baan jaye muhabat meri
is liye apne dard ko namudar nhi karta
jo kuch mila hai isi a khush hoon
tere liye KHUDA se takarar nhi karta
par kuch toh baat hai teri fitrat ma AYE ZALIM
warna tujhe chahne ki hata bar bar nhi karta



Mujhe maaf kardena

Aansoo Shayari

Agar mein hadh se guzar jaon to mujhe maaf kardena
Tere dil mein utar jaaon to mujhe maaf kardena

Yun hi ghusey mein akar dant dena to meri adat hai
Agar aesa main kar jaaon to mujhe maaf kardena

Raste mein tujhe dekh kar teri deed ki hatir
Pal bhar jo theher jaaon to mujhe maaf kardena

Teri pal bhar ki bhi judai mujhe jeeney nahi deti
Tere bin jo mar jaaon to mujhe maaf kardena



Jise bhulaye kayi saal ho gaye

Aansoo Shayari

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise

Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise

Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise

Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise



Khuwab ankhon main basati he to ro parti he

Aansoo Shayari

naqsh yadon ka mitaati he to ro parti he.
wo mera khatt jo jalati he to ro parti he.

khoon dikhta hey mery marty hoye sapno ka,
khuwab ankhon main basati he to ro parti he.

log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
baat logon se chupaati he to ro parti he.

yaad karti he mujhy toot kar us lumhy,
shaam chehra jo dikhaati he to ro parti he.

woh bary zubt bhary hosly wali larki,
ghum ko tahreer banati he to ro parti he.



Kabhi khud pe kabhi halaat pe rona aya

Aansoo Shayari

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…

Hum To Samje Te K Hum Bhol Gaye Hain Un Ko…
Kia Hova Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya…

Kis Liye Jeete Hai Hum Kis K Liye Marte Hai…
Baarha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya…

Kon Rota Hai Kisi Aur Ki Katir Ae Dost…
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya…

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya…
Baat Nikli To Har Ik Baat Pe Rona Aaya…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari