Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Tery hijer main

Aansoo Shayari

Hum tery hijer?main ander se toot jaty hain

zinda rehty hain mager ander se toot jaty hain

jab kabhi bolta hai hans ke kisi aur se tu

kitny hanjer mery seeny main uter jaty hain

teri yadoon ki agerbattiyan jall uthty hi

hum tery derd ki khushboo se bher jaty hain



Jab koi nahi hota

Aansoo Shayari

Khud hi chaly aty hain jab koi nahi hota

ankhon se chalak jaty hain jab koi nahin hota

dil bhi jis dard ko samait na paye

usy seeny se kagaty hain jab koi nahi hota

alfaaz nahi milty jis dard k liye

wo bat ye keh dety hain jab koi nahi hota

in ansuoon se aqedat unhi to nahi mujhko

ye sath nibhaty hain jab koi nahi hota



Pata nahin chala

Aansoo Shayari

Roshni kab kam hui pata nahi chala

ankh kab nam hui pata nahin chala

teri yaaad main khooye kch is tarha

ankh kab nam hui pata nahi chala



Mohabat ka irada

Aansoo Shayari

Mohabat ka irada badal jana bhi mushkil hai

tmhen pana bhai mushkil tmhen khona bhi mushkil hai

udasi tery chehry ki gawara bhi nahi dil ko

teri khatir sitary toor kr lana bhi mushkil hai

zara si baat per ankhen bhigo kr baith jaty ho

tumhen to hal-e-dil batlana bhi mushkil hai



Meri pagal Mohabat

Aansoo Shayari

Meri pagal mohabat tmhen yaad aye gi

jab chand sitary chamak rahy hon

jab yadoon k phool baras rahy hon

jab deed ko nain taras rahy hon

jab ankhon se ansoo baras rahy hoon

Meri Pagal Mohabat tmhen yaad ayegi

jab tanhai se dil ghabraye gaa

jab tmhen akela pan sataye gaa

jab koi bhi na aye gaa

jab phool kitab main reh jae gaa

Meri Pagal Mohabat tmhen yad ayegi



Daman ko bachaen kesy

Aansoo Shayari

Rasm-e-dunya ko nibhayen to nibhayen kesy

har taraf aag hai daman ko bachayen kesy

ik ghumon ka bojh hota to utha b lety

zindagi bojh bani ho to uthayen kesy



Mary Dil Ka Dard

Aansoo Shayari

Mary Dil Ka Dard Kis Ne Dikha Hai
Mujhe Bass Khuda Ne Tarptey Dikha Hai
Hum Tanhai Ma Baithe Rote Hain
Logo Ne Humen Mahfil Ma Hasty Dikha Hai



Kuch Aisi Nishani De Gaye

Aansoo Shayari

Jane Kyu Woh Hame Kuch Aisi Nishani De Gaye
Dohra Na Sake Aisi Kahani De Gaye
Hum To Reh Gaye Pyase Par
Woh Hamari Palko Ko Pani De Gaye



Shidat Se To Barsaat

Aansoo Shayari

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay



Dil Mein Tumhare

Aansoo Shayari

Dil Mein Tumhare Apni Kammi Chore Jaaien Ge
Aankhon Mein Aanson Ki Nammi Chore Jaaien Ge
Yaad Rakhna Mujhe Doondte Phiroo Ge Aik Din
Jabh Yeh Hum Zindagi Chore Jaaien Ge


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari