Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Aa Gayi Thi Ik Din

Aansoo Shayari

Aa Gayi Thi Ik Din Tanhaye Bhi Jazbaat Mein
Aank Sai Bhi Chand Boondein Gir Pari Barsaat Mein



Yun Dosti K Naam

Aansoo Shayari

Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta?alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye



Bataane Se Bhee Ye Gham

Aansoo Shayari

Bataane Se Bhee Ye Gham Kyon Kam Naheen Hote
Aansuon Se Dil Ke Kone Nam Naheen Hote

Thee Bahut Umeed To Apnon Se Is Dil Ko Kabhee
Par Hameshaa Saath Ye Hamdam Naheen Hote

Bebasee Hansne Lagee Khaamoshi Ab Hai Goonjtee
Band Kamron Men Koyee Mausam Naheen Hote

Jab Khushee Hai Naachtee Gaatee Hai Man Kee Har Kalee
Un Gharon Men Kyaa Kabhee Maatam Naheen Hote

Pyaar Sab Miltaa Jinhen Ranjish Naheen Koyee Kabhee
Kyaa Kabhee Aise Dilon Men Gham Naheen Hote

Yaad To Karte Hain Unko Ham Sadaa Hee Raat Din
Khwaab Men Unke Kabhee Kyaa Ham Naheen Hote



Kul Raat Janai Kya Hova

Aansoo Shayari

Kul Raat Janai Kya Hova
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Kuch Ashq Milnai A Gai
Kuch Khwab Bhi Totai Hovai
Kuch Log Bhi Bholai Hovai
Kuch Rasta Bhutki Hoi
Kuch Gurd Mai Lipti Hoi
Bai-Rubt Si Souchain Kai
Bhooli Hoi Baatai Kai
Ik Shaks Ki Yaadai Kai
Phir Dair Tuk Jaga Raha
Souchon Mai Gum Baitha Raha
Ungli Sai Thundai Fursh Pur
Ik Naam Bus Likhta Raha
Kul Raat Hi Wo Raat Thi
Kuch Dair Nend Sai Pehlai
Mai Dair Tuk Roota Rahaa



Kabhi Dil Ko Kabhi

Aansoo Shayari

Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye



Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta

Aansoo Shayari

Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta
Zakhm Kitne Hain Dikha Nhai Sakta
Ankhon Se Samjh Sako To Samjh Lo
Ansoon Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta



Chupkey Chupkey Ro Lena

Aansoo Shayari

Chupkey Chupkey Ro Lena

Jub Seena Ghum Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tub Kamrey Main Bund Ho Jana
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Aankhein Baghi Ho Jaein
Aur Yaad Main Meri Bhar Aaein
Phir Khud Ko Dhuka Mat Dena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Pulkeen Kerb Se Mondi Hoon
Aur Sub Sumjhein Tum Sotey Ho
Tub Moan Pe Takya Rakh Lena
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohoot Phailaye Gi
Tum Samney Sub Ke Chup Rehna
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena
Jub Barish Chehra Dho Daley
Aur Ashk Bhi Boondein Lagtey Hoon
Woh Lamha Hergiz Mat Khona
Aur Chupkey Chupkey Roo Lena



Waqt Ki Raftar Pe

Aansoo Shayari

Waqt Ki Raftar Pe Jhanjala Kar Ro Pare
Kabhi Use Kho Kar To Kabhi Use Pa Kar Ro Pare
Khushiyan Humarey Naseeb Main Kab Raas Ayein Hain
Bahir Kabhi Hansein To Ghar A Kar Ro Pare



Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo

Aansoo Shayari

Mujh Ko Pagal Bana Gaye Aansoo
Jaane Kiaa Kia Suna Gaye Aansoo

Koi Roya Tha Hichkion Se Bohut
Aur Kisi Ko Hansaa Gaye Aansoo

Bat Kehne Ki Jab Bhi Koshish Ki
Lab Khule The K Aa Gaye Aansoo

Thapkiaan Jaise De Raha Ho Koi
Behte Behte Sulaa Gaye Aansoo

Nanhe Hathon Ne Thamnaa Seekhaa
Maan Ki Aaankhon Main Aaa Gaye Aansoo



Mujhe Apne Zabt Pe Naaz

Aansoo Shayari

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha, Sare Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua

Meri Zindagi Ke Charagh Ka Ye Andaaz Koi Nayaa Nahin
Kabhi Raushni, Kabhi Teergi, Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua

Mujhe Raaste Mein Pada Hua Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua, Kahin Aansuon Se Mita Hua

Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye, Mere Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mere Sheher Hi Ke Log The Mere Ghar Se Ghar Mila Hua

Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi, To Shikasta Haal Meri Tarah
Kahin Raaston Ka Lutaa Hua Kahin Manzilon Ka Thaka Hua


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari