Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Ussey kehna ke laut aye, Mohabbat awaz deti hai..

Video Shayari

Ussey kehna ke laut aye,
Mohabbat awaz deti hai,
Tujhe phir se bulati hai,
Jo tu ne saath dekhe they,
Woh sapne sajaati hai,

Woh phoolon pe ruki shabnam
Tumhari raah takti hai,
Tumhe waapis bulaati hai,

Woh jugnu ab bhi kehte hain,
Teri ankhen jo unse sawaal karti theen,
Ussey jawab dene hain,
Saarey hisaab dene hain,

Kabhi to mujh ko kehne do,
Ke tum bin chaand bhi udaas rehta hai,
Meri ankhon ke woh aansu,
Jo girte hain to awaz dete hain,
Samandar ke kinaare sippiyan jo gungunaati hain,
Tumhe waapis bulaati hain,

Ussey kehna meri palkon pe thehra jo ik moti,
Tumhari raah takta hai,
Woh girne se darta hai,
Woh darta hai mohabbat ke bikharne se,
Woh darta hai palkon se girne se,

Woh ik muskaan jo thehri teri aahat ki chaahat main,
To saans lene se darti hai,
Ussey kehna ke laut aye,
Ke woh muskaan phirti hai,
Kabhi uss dar kabhi iss dar,

Ke tu jo aaye to tere honton pe sajj jaye,
Tere baalon main bikhar jaye,

Magar jo tu nahin aata,
To woh un raston ke saare kaanton ki nokk pe sone lagti hai,
Jahan se tum guzarte they,
Murr ke takte rehte they,
Meri saanson ko milte they,
Ussey kehna ke laut aaye,
Mohabbat awaz deti hai,
Tujhe phir se bulaati hai,
Ke laut aao..

Watch Video



Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi..

Video Shayari

Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi,
Yeh shab-o-roz, maah-o-saal ka pur-paich safar,
Qadrey asaan bhi ho sakta tha,
Yeh jo har morr pe kuch uljhe huye raste hain,
In main tarteeb ka imkaan bhi ho sakta tha,
Hum zara dheyaan se chalte to woh ghar,
Jis ke baam-o-dar-o-deewar pe veerani hai,
Jiss ki har subah main shaamon ki pareshaani hai,
Uss main hum chain se abaad bhi ho sakte they,

Bakht se amman ki raahen bhi nikal sakti theen,
Waqt se sulaah ka paimaan bhi ho sakta tha,
Ab jo dekhen to bohat saaf nazar aatey hain,
Saarey manzar bhi, pass-e-manzar bhi,
Lekin iss dair khayaali ka silaah kya hoga,

Yeh to sab baad ki baaten hain meri jaan,
Inhe dekhte sochte rehne se bhala kya hoga,
Woh jo hona tha hua, ho bhi chuka,
Waqt ki lohh pe likhi hui har tehreer ke harff,
Khat-e-tanseekh se waaqif hi nahin,
Bakht maktab ke register ki tarah hota hai,
Apne number pe jo labaikk nahin keh paatey,
Unka kuch uzzr nahin, koi bhi fariyaad nahin,

Yeh woh taayer hain jinhe apni nawaah yaad nahin,
Linain kat’ti rahin, lafz badalne ke sabbab,
Koi tehreer musalssal nahin hone paayi,
Haasil-e-umar yehi channd adhoorey haakay,
Koi tasveer mukammal nahin hone paayi,
Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi…

Watch Video



Aur kuch nahin rehta, Teri yaad rehti hai…

Video Shayari

Zehen ke khayalon main,
Rooh ke ujaalon main,
Zindagi ki jheelon main,
Zaat ki faseelon main,
Rat.jagon ke daaman main,

Dil ke khushk sehraa main,
Chashm-e-tar ke ke daryaa main,
Dard ke jahaan main bhi,
Ashk-e-be.zubaan main bhi,

Aur kuch nahin rehta,
Teri yaad rehti hai..

Watch Video



Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon..

Video Shayari

Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon,
koi jugnuu,
koi taara,
koi sapnaa bhejoon ?

Koi phool bhejoon ad’khilaa se,
koi umeed,
koi aas,
koi nazaara bhejoon ?

Chaand bhejoon tujhe is eid pr dilbar,
ik khushbuu,
ik rang ka istaara bhejoon ?

Aye mere meherbaan,
roshni ki rang ki muskaan bhejoon ?
ya qauss-o-qazaa ki uthaan bhejoon ?

Apni aankh ka koi moti teri nazar karoon,
Ya hathon se maangi koi dua bhejoon ?

Phoolon se koi titlii ki mohabbat bhejoon,
kisi bhanwre ki lagan,
us ka tarrapna bhejoon ?

Kisi shamma ka jalta hua daaman bhejoon,
Ya baarish ki tarrapti hui boondain bhejoon ?

Mere hathon main ik aas, umeed aur dua hai,
iss eid pe main tujh ko bass itna keh doon,

Ke jis ko tum se mohabbat hai,
Woh sitaara mil jaye,

Aye mere mehboob tujhe iss eid pr,
Tujh ko iss eid pe
Koi tumhara mil jaye..

Watch Video



Khayal-e-yaar me mujh ko yunhi madhosh rehne do..

Video Shayari

Khayaal-e-yaar main mujh ko yunhi madhosh rehne do,
Na poocho raat ka qissa mujhe khamosh rehne do,

Sunaya vasl ka qissa to mere dost yoon bole,
Kahan tum kahan us ki haseen aghosh rehne do,

Mujhe maloom hai us ne mera hona nahin lekin,
Meri umeed mat torro mujhe pur-josh rehne do,

Mohabbat jurm hai mera mujhe iqraar hai iska,
Wafaa ilzaam hai to phir mere sar dosh rehne do,

Kitaab-e-ishq se hum pr yehi raaz khula hai,
Paaye jo jaam ulfat ka ussey meh-nosh rehne do..

Watch Video



Koi naata na mohabbat ke baraabar niklaa..

Video Shayari

Koi naata na mohabbat ke baraabar nikla,
Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla,

Yoon to har lehar se thi apni shanaasayi bohat,
Samjha saahil jisse woh gham ka samandar nikla,

Rooh main jhaanka to yeh mehsuus hua mujh ko,
Itna zarkhaiz jo lagtaa tha woh banjar nikla,

Narmi hathon main na garmi saanson main magar,
Maine chuu kar ussey dekha to woh pathar nikla,

Watch Video



Udaas logon se pyar karna koi to seekhe..

Video Shayari

Udaas logon se pyar karna koi to seekhe,
Safaid lamhon main rang bharna koi to seekhe,

Koi to aaye khizaan main patey ugaane wala,
Gulon ki khushbuu ko qaid karna koi to seekhe,

Koi dikhaaye mohabbaton ke saraab mujh ko,
Meri nigaahon se baat karna koi to seekhe,

Koi to aaye nayi ruton ka peyaam le ker,
Andheri raaton main chaand ban’na koi to seekhe,

Koi peyambar koi imaam-e-zamaan hi aye,
Aseer zehnon main soch bharna koi to aye..

Watch Video



Gungunaate huye aanchal ki havaa de mujh ko..

Video Shayari

Gungunaate huye aanchal ki havaa de mujh ko,
Ungliyaan phair ke baalon main sula de mujh ko,

Jis tarah faaltu guldaan parre rehte hain,
Apne ghar ke kisi konay se laga de mujh ko,

Main tere hijr main chup chaap na mar jaon kahin,
Main hon sakte main kabhi aa kr rula de mujh ko,

Roothna tera meri jaan liye jaata hai,
Aese naraaz na ho hansss ke dikha de mujh ko,

Aur kuch nahin maanga mere maalik tujh se,
Uss ki galiyon ki khaak bana de mujh ko,

Log kehte hain ke yeh ishq niggal jaata hai,
Main bhi iss ishq main aya hon ab dua de mujh ko..

Watch Video



Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain…

Video Shayari

Tu bata aye dil-e-betaab kahan atey hain,
Hum ko khush rehne ke adaab kahan atey hain,

Main to yak-musht usse somp doon sab kuch lekin,
Aik muthii main mere khawb kahan atey hain,

Mudatton baad tujhe dekh ke dil bhar aaya,
Warna sehraaon main sailaab kahan aatey hain,

Meri bedaar nigaahon main agar bhoolay se,
Neend aaye bhi to khawb kahan aatey hain,

Hum kisi tarah tere dar pe thikaana kar lein,
Hum fakeeron ko yeh adaab kahan aatey hain,

Sarbassar faqat jin main teri jhallak milti hai,
Ab muyassar humen woh khawb kahaan atey hain..

Watch Video



Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale..

Video Shayari

Kumm tere zabt ki qeemat nahin karne wale,
Hum teri aankh se hijrat nahin karne wale,

Apne nazdeek mohabbat hai ibaadat ki tarah,
Hum ibaadat ki tijaarat nahin karne wale,

Yeh alag baat hai ke izhaar nahin kar sakte,
Yeh na samjho ke mohabbat nahin karne wale,

Kaatt ke phenk de sar chaahe sajaa naize pr,
Hum tere hath pe bayt nahin karne wale,

Aye haakim-e-waqt zara apne girebaan main jhaank,
Log bewajah baghaavat nahin karne wale..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari