Video Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.

Video Shayari Collection

Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.



Bara dushwaar hota hai, Zara sa faisla karna..

Video Shayari

Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla karna

Ke jeevan ki kahani ko
Beyaan-e-bezubani ko
Kahan se yaad rakhna hai
Kahan se bhool jana hai

Kise kitna batana hai
Kis se kitna chupaana hai
Kahan ro ro ke hasna hai
Kahan hans hans ke rona hai

Kahan awaz deni hai
Kahan khamosh rehna hai
Kahan rasta badalna hai
Kahan se laut aana hai

Bara dushwaar hota hai
Zara sa faisla karna..

Watch Video



Kyun tu acha lagta hai waqt mila to sochen ge..

Video Shayari

Kyun tu acha lagta hai waqt mila to sochen ge,
Tujh me kya kya dekha hai waqt mila to sochen ge,

Sara sheher shanasayi ka daave-dar to hai lekin,
Kon hamara apna hai waqt mila to sochen ge,

Hum ne us ko likha tha kuch milne ki tadbeer karo,
Us ne likh kar bheja hai waqt mila to sochen ge,

Mosam khusbhu baad-e-saba chand shafaq aur taron main,
Kon tumhare jesa hai waqt mila to sochen ge,

Ya to apne dil ki maano ya phir duniya walon ki,
Mashrwa us ka acha hai waqt mila to sochen ge..

Watch Video



Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumaar karna..

Video Shayari

Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumaar karna,
Jo mere hisse main aayi hain woh aziyaten bhi shumaar karna,

Jalaye rakhoon gi subah tak main tumhare raste mein apni ankhen,
Magar kahin zabt toot jaye to barishen bhi shumaar karna,

Jo harf loh-e-wafaa pe likhe huye hain in ko bhi dekh lena,
Jo raayegan ho gayin woh sari ibaartain bhi shumaar karna,

Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharrkne barf ho gayi hain,
Jab in ki yakh-bastgi parakhna, tamaazten bhi shumaar karna,

Tum apni majbooriyon ke qisse zaroor likhna wazahton se,
Jo meri ankhon main jal bujhi hain woh khawhishen bhi shumaar karna..

Watch Video



Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate..

Video Shayari

Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate,
Warna itne to marasim they ke aate jaate,

Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,
Apne hisse ki koi shamma jalaate jaate,

Kitna asaan tha tere hijr main marna jaana,
Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate,

Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,
Pa-bajolaan hi sahi naachte gaate aate,

Us ki woh jaane usse paas-e-wafa tha ke na tha,
Tum Faraz apni tarf se to nibhaate jaate..

Watch Video



Hum ko loota hai uss sheher ne aye jan-e-wafa..

Video Shayari

Hum ko loota hai uss sheher ne aye jan-e-wafa,
Jis ki galiyon main mohabbat ka kuch hisaab na tha,

Woh jo rehte they mere sath hamesha din raat,
Uss ke mazhab main wafaon ka koi baab na tha,

Woh jo ankhon main mohabbat ko liye phirte they,
Uss ke dil main thi woh nafrat ke kuch hisaab na tha,

Maine jis ko bhi museebat main maseeha jana,
Jo diya us ne bara koi us se azaab na tha,

Mujhe khayal tha ke yeh log mere apne hain,
Magar yahan pe to aesa koi riwaaj na tha..

Watch Video



Ku-ba-ku phail gayi baat shanasayi ki..

Video Shayari

Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki,
Us ne khushbu ki tarah meri pazirayi ki,

Kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne,
Bat to sach hai magar bat hai ruswayi ki,

Wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya,
Bas yahi bat hai achi mere harjai ki,

Tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe,
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki,

Us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha,
Rooh tak aa gayi tasir masihayi ki..

Watch Video



Gaye dinon ka suragh le ker, kidhar se aya kidar geya woh..

Video Shayari

Gaye dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidar geya woh

Gaye dinon ka suraagh le kar, kidar say aaya kidar geya woh,
Ajeeb maanuuss ajnabi tha, mujhe to hairaan kar geya woh,

Bas aik moti si chhabb dikha kar, bas aik meethi see dhun suna kar,
Sitara-e-sham ban ke aaya, ba-rang-e-khwab-e-sehr geya woh,

Khushi ki rut ho ke gham ka mausam, nazar usse dhoondti hai har damm,
Woh buu-e-gul tha ke naghma-e-jaan, mere to dil mein utar geya woh,

Nah abb woh yaadon ka charhta darya, na abb fursaton ki udaas barkhaa,
Younhi kassak hai zara si dil mein, jo zakhm gehra tha bhar geya woh,

Shikasta-paa raah mein khara hoon, gaye dinon ko bula raha hoon,
Jo qaafla mera humsafar tha, misal-e-gard-e-safar geya woh,

Woh mai-kade ko jagane wala, who raat ki neend urrane wala,
Yeh aaj kya uss ke jee main aayi, ke shaam hote hi ghar gaya woh,

Woh hijr ki raat ka sitara, who humnafas, hum-sukhan hamara,
Sadaaa rahey naam uska pyara, suna hai kal raat mar gaya woh,

Woh jiss kay shaane pe haath rakh kar, safar kiya tu ne manzilon ka,
Teri gali say na jane kyon aaj, sir jhukaaye guzar geya woh,

Woh raat ka be-navaa musafir, woh tera shayar, woh tera Nasir,
Teri gali tak to jaate dekha, phir na jane kidhar geya woh..

Watch Video



Tum se kya kahen jaana, Iss qadar jhamele main..

Video Shayari

Zindagi ke maile main,
Khawhishon ke raile main,
Tum se kya kahen jaanan,
Iss qadar jhamele main,

Waqt ki rawaani hai,
Waqt ki giraani hai,
Sakht be’zameeni hai,
Sakht la’makaani hai,

Hijar ke samandar main,
Takht aur takhte ki,
Aik hi kahani hai,
Tum ko jo sunaani hai,

Baat to zara si hai,
Baat umar bhar ki hai,
Umar bhar ki baatain
Kab do gharri main hoti hain,

Dard ke samandar main,
An’ginat jazeere hain,
Be’shumaar moti hain,
Ankh ke dareeche main,
Tum ne jo sajaya hai,
Baat uss diye ki hai,
Baat uss gille ki hai,

Zindagi se lambi hai,
Baat rat’jage ki hai,
Raaste main kese ho,
Baat takhliye ki hai,

Takhliye ki baaton main,
Guftgu izaafi hai,
Pyar karne walon ko,
Ik nigaah kaafi hai,
Ho sake to mil jao,
Aik din akele main,

Tum se kya kahen jaana,
Iss qadar jhamele main..

Watch Video



Tumhe mujh se mohabbat hai..

Video Shayari

Bohat muddat se aesa hai,
Ke tum khamosh rehte ho,
Koi gehra hai gham shayed,
Jisse chup chaap sehte ho,

Yoon hi chalte huye tanha,
Koi ghamgeen sa naghma,
Tum aksar gungunaate ho,
Doraan-e-guftguu joon hi,
Milain nazron se jab nazren,
To baatain bhool jate ho,

Kisi gumsum si haalat main,
Ya phir baarish ke mausam main,
Fakat itna hi kehte ho,
Udaasi be-wajah si hai,
Bohat bojhal tabiyat hai,
Bhala sachh kyun nahin kehte,
Tumhe mujh se mohabbat hai,
Tumhe mujh se mohabbat hai..

Watch Video



Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai..

Video Shayari

Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai,
Aur saath taaron ki zeyaa jaagti hai,

Jis waqt sheher mein neend ki pariyaan utrein,
Dil main tere khayal ki absraa’a jagti hai,

Aah, woh vasl ki raat, aayi gayi ho gayi,
Haaye yeh hijar ki raat qatra qatra jagti hai,

Kahan le aaye yeh mohabbat ke zakham mujhe,
Namak kholta hai, aur hawaa jagti hai,

Kaj-adaayion ke mausam main koi peer-e-mughaan,
Kehta hai abhi loh-e-wafaa jagti hai,

Yeh rat’jage kabhi apni maan se to nahin kahe,
Phir bhi mere sang ik duaa jagti hai..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari