Video Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Video Shayari Poetry. Feel free to add your own Video Shayari Shayari here.Video Shayari Collection
Video Poetry is shayari in video format. Video Shayari is recited by a female or male so that shayari lovers can hear it and watch it being recited. This type of audio shayari which can either be in urdu or in hindi is immensely popular among teenagers who don’t just like reading poetry but prefer listening to poetry in attractive voices.
Video poetry lovers usually like poetry in girls voices so we will try to record our audio and video shayari in female voices. We produce these poetry videos ourself.
Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay..
Video Shayari
Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe..
Video Shayari
Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe,
Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe,
Mohabbton ke saheefay hain ya azaab koi,
Tere khatoot jala loon to chain aaye mujhe..
Watch Video
Koi Mausam Ho, Dil Mein Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam..
Video Shayari
Mil kar Juda Huye To Na Soya Karenge Hum
Video Shayari
Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum
Ek Doosre Ki Yaad MeiN Roya Karenge Hum
aaNsoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath Bhar
Moti Palak Palak MeiN Piroyaa Karenge Hum
Jab DooriyoN Ki Yaad DiloN Ko Jalaayegi
JismoN Ko Chaandni MeiN Bhigoya Karenge Hum
Ban Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-Guftugu
Jismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge Hum
Majbooriyon Ke Zeher Se Karlain Ge Khudkushi
Ye Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge Hum
Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar
Ab Chaahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum
Gar De Gaya Daga HameN Toofan Bhi ‘Qateel’
Sahil Pe KashtiyoN Ko Dooboya Karenge Hum..
Watch Video
Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Video Shayari
Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye
Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye
Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?
Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye
Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?
So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye
Watch Video
Mohabbat mar nahi sakti..
Video Shayari
Hazaron dukh paren sehnna mohabbat mar nahin sakti,
Hai tum se bus yahii kahna mohabbat mar nahin sakti,
Tera har bar mere khat ko parhna aur ro daina,
Mera har bar likh daina mohabbat mar nahin sakti,
Kiya tha hum ne campus ki nadi par ikk haseen waadda,
Bhale hum ko parre marna mohabbat mar nahin sakti,
Jahan main jab talak panchi chahaktay urahtay phiraty hain,
Hai jab tak phool ka khilana mohabbat mar nahin sakti,
PuranE ahhad ko jab zinda karne ka khayal aye,
Mujhe bus itna likh daina mohabbat mar nahin sakti,
Wo tera hijar ki shab main fone rakhany se zara pehle,
Bahat rotey hue kahna mohabbat mar nahin sakti,
Agar hum hasaraton ki qabar main hi dafan ho jayen,
To yeh qutbo’n pe likh daina mohabbat mar nahin sakti,
Purane rabaton ko phir naye waade ki khawaish hai,
Zara ikk baar to kehna mohabbat mar nahin sakti,
Gaye lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laon,
Wo pehron hath par likhna mohabbat mar nahin sakti..
Watch Video
Samandar mee otarta hon to ankhain bheeg jati hain
Video Shayari
Samandar main utarta hon to ankhain bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hon to ankhain bheeg jati hain
Tumhara naam likhne ki ijazat chiin gai jab se
Koi bhi lafz kehta hon to ankhain bheeg jati hain
Teri yaadon ki khoshbo khirkiyon mee raqas karti hai
Tere gham main sulagta hon to ankhain bheeg jati hain
Main hans kar jheel leta hon judai ki sabhi rasmain
Gale jab us ke lagta hon to ankhain bheeg jati hain
Na jane ho gEa hon is kadar hasaas main kab se
Kisi se baat karta hon to ankhain bheeg jati hain
Wo sab guzre hue lamhat mujh ko yad ate hain
Tumhare khat jo parhta hon to ankhain bheeg jati hain
Main sara din bohat masrof rehta hon magar jonhi
Kadam chokhat pe rakhtaa hon to ankhain bheeg jati hain
Har ek muflis ke mathe par alam ki dastanain hain
Koi chehra bhi parhta hon to ankhain bheeg jati hain
Barre logon ke onche bad-numa aur sard mehloon ko
Ghareeb ankhon se takta hon to ankhain bheeg jati hain
Tere koche SE ab mera taaluk waajbi sa hai
Magar jab bhi guzarta hon to ankhain bheeg jati hain
Hazaron mausamon ki hukmarani hai mere dil par
Wasi main jab bhi hansta hon to ankhain bheeg jati hain
Kaash Mein Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
Video Shayari
Audio Poetry:
Kaash Mein Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyar See Chaao See Bare Maan K Sath
Apni Nazuk Si Kalaai Me Charhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi See Furqat K Khizaan Lamhom Mee
Tu Kisi Soch Mein Doobi Jo Ghoomati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khooshboo See Mehak sa Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhe Choomaa Karti
Tere Hontoon Ki main Hidat Say Dehaak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kee Safar Par Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaiya Karti
Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kai Batein Karta
Teri Zulfon ko Tere Gaal Ko Chooma Karta
Jab bhi to band e qaba kholane lagati janan
Apni ankhon ko tere husan se khaira karta
Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Naasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Me Meehakta Rehtata Rehta
Mein Tere Jisam K Aangan Me Khanakata rehta
Kuch Nahi To Yahi Be Naam Sa Bhandhan Hota
Kash Me Tere Haseen Hath Ka Kanghan Hota
Mujhay itna pyar na do Baba..
Video Shayari
Mujhay itna pyar na do Baba,
Kal jitna mujhay naseeb na ho,
Ye jo maatha chuma kertey ho.
Kal is per shikan ajeeb na ho
Main jab bhi roti hon Baba
Tum ansoo poncha kertey ho
Mujhay itni dooor na chor aana
Main roun aur tum kareeb na ho
Meray naz uthatey ho Baba
Meray laad uthatey ho Baba
Meri choti choti khwahish per
Tum jan lutatey ho Baba
Kal aisa na ho ik nagri mein
Mein tanha tum ko yaad karon,
Aur ro ro ker faryad karon
Ay Allah meray Baba sa,
Koi pyar jataney wala ho,
Mere Naz Uthaney wala ho..!!!!
Main choti si ik bachi thi, Teri ungli tham kai chalti thi
Video Shayari
Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi
khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi
Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gehre bheydon ko
main samjhi teri batoon se
Mein teree yaad kai takiye per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi roti hoon
Watch Video
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Video Shayari.