Dard Bhari Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.Dard Bhari Shayari Collection
Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.
Wo kaha karta tha. . !
Dard Bhari Shayari
Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha
Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein. .
Dard Bhari Shayari
Suna karty they jin khush’ion ka haal
Aaj wohi jhonpri’an barbaad ho gaeen
Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein
Mushkilain tou boht aain magar aasan ho gaeen
Teri umeed aur tery intezaar k aansu
Boht hasratain mileen magar fanaa ho gaeen
Jab bhi dekha kisi ujerty huay ko ‘Gul’
Ye aahain uth uth k toofan ho gaeen. . !
Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna. .
Dard Bhari Shayari
Kia khabar thi k khizaa’n ho gi muqaddar apna
Meine mahol banaya tha bahar’on k liye. .
Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost!
Dard Bhari Shayari
Kahan hai tu k tere intezar mein ae dost . !
Tamaam raat sulagty hain dil k veeranay. .
Pagal bana deta hai ye ishq. . !
Dard Bhari Shayari
Jigar jala deta hai ye ishq
Ghum barha deta hai ye ishq
Kabhi kabhi aisa bhi hota hai
Pagal bana deta hai ye ishq
Bikher jaty hain sehra mein taza phool
Umeedain mita deta hai ye ishq
Ujarr jaty hain aabad gharanay
Aisa barbaad karta hai ye ishq
Ik awaara mizaaj ko bhi
Qaidi bana deta hai ye ishq
Jis ne kiya wohi janta hai ‘Gul’
Kia se kia bana deta hai ye ishq.
Udaas kharra mein. . !
Dard Bhari Shayari
Udaas kharra mein gohar-e-ashk pirota raha
Judai mein teri raat bhar rota raha. .
Phool’on pe bhi sonay se youn laga
Jaisy kaanto’n pe mein sota raha. .
Dil mein jaga to both thi lekin
Tery baad is mein koi na thehra, na janay kia hota raha . .!
Kon Aaya Hai?
Dard Bhari Shayari
Raat ko ye
Tootay sapnay
Meri band aankh’on
Ko zakhmi kar gaye
Aur
Saari raat
Khoon behta raha
Subha utha aur
Bister dekha
Tou pata chala
k
Raat Ko Kamray mein
KON AAYA HAI. . !
Haqeeqat agar afsana ban jaye tou. . !
Dard Bhari Shayari
Haqeeqat agar afsana ban jaye tou kia kejiye
Agar apna koi begana ban jaye to kia kejiye
Jis ko sadiyon pooja jaye
Agar wohi chorr jaye to kia kejiye
Band aankh’on se jis per aitebar kiya jaye
Agar wohi dhoka de to kia kejiye
hamesha se muhabbatain nichawar karny wala
Agar nafrat’ain de tou kia kejiye
Tum khud hi batao ‘Gul’ moaziz zamanay mein
Kon kis pe aitebar kia kejiye. .
Milna Hai Tou Khud Aa K Mil!
Dard Bhari Shayari
Milna hai tu khud aa k mil
Na bhej in band tehreer’on ko
Ye to such hai k tasalli ka imkaan hoti hain
lekin mujhy nahi pehenna in zanjeer’on ko
Kyun har baat ko muqaddar per taal rakhta hai
na laaya kar beech mein peeron ko
Marna tha to khud hi ek roz kah dety
Kia zarurat thi ye kehny ki aankhon k teer’on ko
Bus karo in zulm’on ki inteha kahin aisa na ho
Ik roz bedaar kar de ‘Gul’ k zameer’on ko. . !
Aaj shab mein jaag raha tha. .
Dard Bhari Shayari
Aaj shab mein jaag raha tha. .
Sehen mein betha soch raha tha. .
Itny mein chupke se chaand mery pas
Aa betha Aur kehny laga
Ik baar chali jaye to
Ye zindagi laut kar nahi aati
Ye kah kar wo
Kahi’n door badal’on ki aot
Mein chup gaya
Aur mein ne hawa’on k hath
Ye sandesa bheja
Mujhy ik baar mil jao
Ye zindagi laut kar nahi aati
usey kehna. . . !
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.