Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Deykhee Hai Wo Raah Bhi

Dard Bhari Shayari

Saaqiyah! Meiney Deykhee Hai Wo Raah Bhi
Jis Pai Reig-E-Rawaan Thee, Na They Naqsh-E-Paa

Koyee Bhi, Saath Jis Key, Fasaanah Na Thaa
Baad-E-Sarsar Thee, Baad-E-Khizaan Sirf Yaa

Fir Bhi, Raah-E-Talab Kaa Diwaanah Thaa Mein
Aur, Wasl-E-Sanam Keen Umeedeyn Jawaan

Mujh Ko, Aagey Badhhaaney Ko, Purjosh Theen
Ab Tah-E-Jaw Hoon, Leykin Akeilaa Naheen



Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi

Dard Bhari Shayari

Unke Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi,
Kyu Hum Hi Unke Deedar Ke Kabil Nahi Hue.

Na Samajh Sake Wo Hame Ya Hum Nahi Samajhe,
Chune Chale The Chand Ko Aur Khud Jhulas Gaye.

Kuch Gam Nahi Phir Bhi Hame Jab Bhi Kabhi Socha,
Pyar Na Sahi Hum Dard Ke Layak To Ho Gaye.

Gar Pyar Mein Jeete Toh Wo Bhi Tha Kya Jeena,
Iss Dard Ki Kasak Mein Unki Yad Toh Shamil,

Wo Na Samajh Sake Hame Toh Gam Nahi Uska,
Har Pyar Ko Hoti Nahi Manjil Kabhi Hasil



Mileygaa Kyaa Tumhain

Dard Bhari Shayari

Yeh Bahtaa Khoon-E-Insaan Kah Rahaa Hai, Ruko Shaitaanou
Kaheen Aisaa Na Ho, Taameer-E-Rab Khatrey Mein Parh Jaaye?

Mileygaa Kyaa Tumhain, Ae Qaatilo, In Beygunaahoun Kaa
Bahaa Kar Khoon, Ley Kar Jaan Khaatoonoun Ki, Bachchoun Ki?

Bataaou Koun Saa Mazhab Hai, Jis Mein Farz Ho Yeh Sab?
Zameen Hai Jannat-E-Insaan, Banaaou Mat Isey Dozakh

Zaraa Socho, Yeh Harkat Kaayaraanaa Kar Rahey Ho Kyoun?
Tumhain Uksaa Rahey Hain Jo, Wo Waarish Hain Yazeedoun Key

Khudaa Kee Rahmatoun Sey Door, Dozakh Mein Girogey Jaa
Musalmaan, Bouddh, Hindu, Sikh, Isaayee, Paarsee, Jainy
Sabhi Martey Hain, Jab Bhi Tum, Bharhak Kar, Forhtey Ho Bam



Waisey To Jaantey Hain Sab

Dard Bhari Shayari

Aap Key Jigar-O-Dil ?Navneet?-Sey Mulaayam Hain
Zulm Kyaa Cheej Hai, Waisey To Jaantey Hain Sab

Aap Gahraayee Sey Mahsoos Kar Fafaktey Hain
Ham To Aansoo Bhi Bahaa Paatey Naheen Hain Utney

Ham Samajhtey They Wazeeroun Ko Sharm Aayegee
Un Kee Aouqaat Pai, Ab Ham Ko Sharm Aatee Hai

Woh To Rahtey Hain Fouziyoun Sey Ghirey Pahroun Mein
Aam Logoun Kaa Khoon Bahtaa Hai Baazaaroun Mein
Koyee Batlaaye Yeh Kaisee Namak-Halaalee Hai?



Dahar Guzarey Hain

Dard Bhari Shayari

Dahar Guzarey Hain, Pai, Dour-E-Hayaat Zindaa Hai!
Tootati-Jurhati Rah-E-Zeest Bhi Paaindaa Hai!
Shab-E-Roshan Hai, Sitaarey Hain, Chaand Hai Sir Par!
Supurd-E-Khak Huyaa Bhi, Adeeb Zindaa Hai!!



Koyee Beygaanah Naheen Hai

Dard Bhari Shayari

Koyee Beygaanah Naheen Hai Yahaan, Wahaan Yaa Kaheen
Mein To Insaanee Khaandaan Kaa Hoon Ik Waarish
Koyee Shikwaa Naheen Hai; Mein Bhi Chook Jaataa Hoon
Galt Kartey Naa, To, Insaan Naheen, Khudaa Hotey



Aam Logoun Kaa Khoon

Dard Bhari Shayari

Jaan-E-Hukkaam-O-Sarbraah Qimti Hai Bahut
Aam Logoun Kaa Khoon Bah Rahaa Hai, Bahney Do?
Apnee Sarkaar Pai Jokhim Na Ho Paidaa Koyee:
Bas Itnaa Khyaal Rakho? Ra?itoun Ko, Kahney Do?



Beygunaahoun Kaa Khoon

Dard Bhari Shayari

Beygunaahoun Kaa Khoon, Fir Bahaa Hai Bharat Mein
Fir Sey, Insaaniyat Cheekhee Hai, Marey Hain Bachchey
Dahshat-O-Qatl Rawaan Hain Fazaa-E-Duniyaa Mein
Dushman-E-Amn Yeh, Bandey Naheen Rub Key Sachchey



Firdous Ki Hooreyn

Dard Bhari Shayari

Sachchaayi Hai, Ki, Noor-E-Hoor Ab Bhi Hai Yahaan
Ik Nazar-E-Inaayat Idhar Kareyngey Mehrabaan?
Firdous Ki Hooreyn To Hain Hazaar Saal Keen
Hoor-E-Zameen Bees Hain Un Sey! Sahee Hai, Haan



Mein Jo Hoon

Dard Bhari Shayari

Mein Jo Hoon? Saamney Hoon! Meyree Shaayari Deykheyn
Pooraa ?Abd? Mileygaa Wahaan, Jaisey Ho Ayaan
Alfaaz Wo Pyaadey Hain, Nihaan Jin Mein Hain Farzeen
Deykheyn Ughaarh Kar Unhain, Kartey Hain Kyaa Bayaan?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari