Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Na sahi gar unhen khayal, na sahi..

Designed Shayari

hasrat mohani poetry

Na sahi gar unhen khayal, na sahi,
Ke hamara bhi ab woh haal nahin,

Yaad unhe vaada-e-visaaal nahin,
Kab kiya tha yehi khayal nahin,

Aese bigrre woh sun ke shauq ki baat,
Aaj tak hum se bol-chaaal nahin,

Mujh ko ab gham yeh hai ke baad mere,
Khaatir-e-yaaar be-malaaal nahin,

Afv-e-haqq ka hai maii-kashon pe nuzuul,
Rezish-e-abr-e-barshagaal nahin,

Sun ke mujh se woh khawihsh-e-paa-bos,
Hansss ke kehne lage majaal nahin,

Dil ko hai yaad shauq ka woh hunar,
Jis se barrh kar koi kamaal nahin,

Aap naadim na hon ke hassrat se,
Shikva-e-ghamm ka ehtimaal nahin..



Assar us ko zara nahin hota..

Designed Shayari

tum hamare kisi tarah na huye

Assar us ko zara nahin hota,
Ranj rahat-faza nahin hota,

Bewafa kehne ki shikayet hai,
To bhi vaada-wafaa nahin hota,

Zikr-e-aghyaar se hua maloom,
Harff-e-naseh bura nahin hota,

Kis ko hai zauq-e-talkhh-kami laik,
Jang bin kuch maza nahin hota,

Tum hamare kisi tarah na huye,
Warna duniya main kya nahin hota,

Us ne kya jaane kya kiya le kar,
Dil kisi kaam ka nahin hota,

Imtihaan kijiye mera jab tak,
Shauq zor-aaazmaa nahin hota,

Ek dushman ki charkhh hai na rahe,
Tujh se yeh ay duaa nahin hota,

Aah tul-e-amal hai roz-fuzuun,
Garche ik muddaaa nahin hota,

Tum mere paas hote ho goya,
Jab koi doosra nahin hota,

Haal-e-dil yaar ko likhoon kyun-kar,
Haath dil se judaa nahin hota,

Rehm bar-khasm-e-jaaan-e-ghaiyr na ho,
Sab ka dil aik saa nahin hota,

Daaman us ka jo hai daraaz to ho,
Dasst-e-aashiq rasaa nahin hota,

Chara-e-dil siwaaye sabr nahin,
So tumhare siwaa nahin hota,

Kyun sunay arzz-e-muzztar ae momin,
Sanam aakhir khudaa nahin hota..



Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye..

Designed Shayari

nida fazli poetry

Apna gham le ke kahin aur na jaya jaye,
Ghar main bikhri hui cheezon ko sajaya jaye,

Jin charaaghon ko hawaon ka koi khauf nahin,
Un charaaghon ko hawaon se bachaya jaye,

Khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab main,
Aur kuch din abhi auron ko sataaya jaye,

Baagh main jaane ke adaab hua karte hain,
Kisi titlee ko na pholoon se urraaya jaye,

Kya hua sheher ko kuch bhi to dikhayi de kahin,
Yuun kiya jaye kabhi khud ko rulaaya jaye,

Ghar se masjid hai bohat door chalo yuun kar len,
Kisi rotay huye bache ko hansaaya jaye..



Wohi phir mujhe yaad anay lage hain,

Designed Shayari

khumar barabankvi poetry

Wohi phir mujhe yaad anay lage hain,
Jinhe bhoolne main zamane lage hain,

Woh hain paas aur yaad anay lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaane lage hain,

Suna hai hamen woh bhulaane lage hain,
To kya hum unhe yaad anay lage hain,

Hattaaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar main anay lage hain,

Yeh kehna tha un se mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne main mujh ko zamaane lage hain,

Hawaayen chalin aur na maujen utheen,
Ab aese bhi tufaan anay lage hain,

Qayamat yaqeenan qareeb aa gayi hai,
Khumar ab to masjid main jaane lage hain..



Aaah jo dil se nikaali jaye gi..

Designed Shayari

akbar allahabadi poetry

Aaah jo dil se nikaali jaye gi,
Kya samajhte ho ke khaali jaye gi,

Is nazakat pe yeh shamsheer-e-jafa,
Aap se kyun-kar sambhaali jaye gi,

Kya gham-e-duniya ka ddar mujh rind ko,
Aur ek botal charrhaa li jaye gi,

Shaikh ki daawat main mai ka kya kaam,
Ehtiyaatan kuch mangaa li jayegi,

Yad-e-abruu main hai ‘akbar’ mehvv yuun,
Kab teri yeh kaj-khayaali jaye gi..



Mujh sa koi jahan main nadan bhi na ho..

Designed Shayari

saadullah shah poetry

Mujh sa koi jahan main nadaan bhi na ho,
Kar ke jo ishq kehta hai nuqsaan bhi na ho..



Apni manzil pe pohanchna bhi..

Designed Shayari

shakeel azmi poetry

Apni manzil pe pohanchna bhi kharre rehna bhi,
Kitna mushkil hai barre ho ke barre rehna bhi..



Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya..

Designed Shayari

ghazab kiya tere vaade pe aitbar kiya

Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya,
Tamaam raat qayamat ka intezaar kiya,

Kisi tarah jo na us buut ne aitbaar kiya,
Meri wafa ne mujhe khoob sharamsaar kiya,

Hansaa-hansaa ke shabb-e-vassl ashk-baar kiya,
Tasalliyan mujhe de de ke beqaraar kiya,

Yeh kis ne jalva hamare sar-e-mazaar kiya,
Ke dil se shor utha haaye beqaraar kiya,

Suna hai tegh ko qatil ne aabdaar kiya,
Agar yeh sach hai to be-shubaah hum pe vaar kiya,

Na aaye raah pe woh ijz beshumaar kiya,
Shabb-e-vassl bhi maine to intezaar kiya,

Tujhe to vaaada-e-dedaaar hum se karna tha,
Yeh kya kiya ke jahan ko umeedvaar kiya,

Yeh dil ko taab kahan hai ke ho maal-andesh,
Unhon ne vaada kiya is ne aitbaar kiya,

Kahan ka sabr ke damm par hai bad gayi zaalim,
Ba tang aaye to hal-e-dill ashkaar kiya,

Tarap phir ay dill-e-nadaan ke ghair kehte hain,
Aakhir kuch na bani sabr ikhtiyaar kiya,

Mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini,
Tamaam raat dill-e-muztarib ko pyaar kiya,

Bhula-bhula ke jataya hai un ko raz-e-nihaan,
Chupaa-chupaa ke mohabbat ko aashkaar kiya,

Na us ke dil se mitaaya ke saaf ho jata,
Saba ne khaak pareshaan mera ghubaar kiya,

Hum aese mehvvv-e-nazaara na they jo hosh ata,
Magar tumhare taghaaful ne hoshyaar kiya,

Hamare seenay main jo reh gayi thi aatish-e-hijar,
Shabb-e-visaaal bhi us ko na hum-kanaar kiya,

Raqeeeb-o-sheva-e-ulffat khuda ki qudrat hai,
Woh aur ishq bhalaaa tum ne aitbaar kiya,

Zaban-e-khar se nikli sadaaaa-e-bismillah,
Junoon ko jab sare-shorida par savaar kiya,

Teri nigaah ke tasawur main hum ne aey qatil,
Laga laga ke gale se chhuri ko pyaar kiya,

Ghazab ki kasssrat-e-mehhfil ke main ne dhoke main,
Hazaar baar raqeebon ko hum-kanaar kiya,

Hua hai koi magar us ka chahne wala,
Ke aasman ne tera sheva ikhtiyaar kiya,

Na pooch dil ki haqeeqat magar yeh kehte hain,
Woh beqaraar rahe jis ne beqaraar kiya,

Jab un ki tarz-e-sitam aa gayi to hosh aya,
Bura ho dil ka bure waqt hoshyaar kiya,

Fasaaana-e-shabb-e-ghamm un ko ik kahani thi,
Kuch aitbaar kiya kuch na aitbaar kiya,

Aseeri dill-e-ashufta rang la ke rahi,
Tamaam turra-e-tarrar taar-taar kiya,

Kisi ke ishq-e-nihaan main yeh badgumaani thi,
Ke darte-darte khuda par bhi aashkaar kiya,

Falak se taur qayamat ke ban na parrte they,
Aakhir ab tujhe ashobb-e-rozgaaar kiya,

Woh baat kar jo kabhi aasman se ho na sake,
Sitam kiya to barra tu ne iftikhar kiya,

Bane ga meher-e-qayaaamat bhi aik khal-e-siyah,
Jo chehra ‘daagh-e-siyaahru’ ne aashkaar kiya..



Main yeh kis ke naam likhoon jo alam guzr rahe hain..

Designed Shayari

obaidullah aleem poetry

Main yeh kis ke naam likhoon jo alam guzr rahe hain,
Mer shehr jal rahe hain mere log mar rahe hain,

Koi ghuncha ho ke gul ho koi shaakh ho shajar ho,
Woh havaa-e-gulistaaan hai ke sabhi bikhar rahe hain,

Kabhi rehmaten thiin naazil isi khitta-e-zameen pr,
Wohi khitta-e-zameen hai ke azaab utar rahe hain,

Wohi taayeron ke jhurmatt jo havaa main jhoolte thay,
Woh fazaa ko dekhte hain to ab aaah bhar rahe hain,

Barri aarzuu thi hum ko naye khawb dekhne ki,
So ab apni zindagi main naye khawb bhar rahe hain,

Koi aur to nahin hai pas-e-khanjjar-azmaayi,
Hameen qatal ho rahe hain hameen qatal kar rahe hain..



Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata..

Designed Shayari

ahmad faraz poetry

Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata,
Woh shakhss koi faisla kar bhi nahin jata,

Ankhen hain ke khaali nahin rehti hain lahuu se,
Aur zakham-e-judai hai ke bhar bhi nahin jata,

Woh rahat-e-jaan hain magar is darbadri main,
Aesa hai ke ab dheyaan udhar bhi nahin jata,

Hum dohri aziyat ke giraftaar musaafir,
Paaon bhi hain shall shauq-e-safar bhi nahin jata,

Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bohat hai,
Aur tujh se bicharr jaane ka ddar bhi nahin jata,

Pagal huye jaate ho ‘faraz’ us se mile kya,
Itni si khushi se koi mar bhi nahin jata..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari