Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Yeh ruke ruke se aansuu..

Designed Shayari

yeh ruke ruke se aansuu

Yeh ruke ruke se aansuu, yeh dabi dabi si aahen,
Yunhi kab talak khudaya, gham-e-zindagi nibaahen..



Mohabbat ki aseeri se rehaayi maangte rehna..

Designed Shayari

mohabbat ki aseeri se

Mohabbat ki aseeri se rehaayi maangte rehna,
Bohat asaan nahin hota, judaayi maangte rehna,

Zara sa ishq kar lena, zara si aankh-bhar lena,
Iwwaz is ke magar saari khudaayi mangte rehna,

Kabhi mehroom hontton par duaa ka harf rakh dena,
Kabhi wehshat main us ki na-rasaayi mangte rehna,

Wafaaon ke tasalssul se mohabbat rooth jati hai,
Kahani main zara si bewafaayi maangte rehna,

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi ke aadat ho gayi dil ki,
Sakoot-e-shaam gham se se humnawaayi mangte rehna,

Kabhi bache ke nanhe hath par titlee ke par rakhna,
Kabhi phir us ke rangon se rehaayi maangte rehna..



Zabt kar ke hansi ko bhool geya..

Designed Shayari

zabt karke jaun elia poetry

Zabt kar ke hansi ko bhool geya,
Main to us zakhm hi ko bhool geya,

Zaat-dar-zaat hamsafar reh kar,
Ajnabi ajnabi ko bhool geya,

Subh tak vajh-e-jaan-kani thi jo baat,
Main usay shaam hi ko bhool geya,

Ehd-e-vabastagi guzaar ke main,
Vajh-e-wabastagi ko bhool geya,

Sab daleelen to mujh ko yaad rahin,
Behss kya thi ussi ko bhool geya main,

Kyun na ho naaz is zehaanat par,
Ek main har kisi ko bhool geya,

Sab se pur-amn waaqiya hai yeh,
Aadmi aadmi ko bhool geya,

Qehqaha maartay hi deewana,
Har gham-e-zindagi ko bhool geya,

Kya qayamat hui agar ik shakhss,
Apni khush-qismati ko bhool geya,

Sab buray mujh ko yaad rehte hain,
Jo bhalaa tha usii ko bhool geya,

Un se vaada to kar liya lekin,
Apni kam-fursati ko bhool geya,

Khawb-ha-khawb jis ko chaha tha,
Rang-ha-rang ussi ko bhool geya,

Bastiyo ab to rasta dedo,
Ab to main us gali ko bhool geya,

Us ne goya mujhi ko yaad rakha,
Main bhi goya usi ko bhool geya,

Yaani tum woh ho waqeyi ? Hadh hai,
Main to sach-much sabhi ko bhool geya,

Ab to har baat yaad rehti hai,
Ghaliban main kisi ko bhool geya,

Us ki khushiyon se jalne wala Jaun,
Apni eeza-dahi ko bhool geya..

Watch Video



Chat pe taang ke neeli bati agay peechay hooter shooter..

Designed Shayari

ankhen bhooki

Chat pe taang ke neeli bati agay peechay hooter shooter,
Aankhen bhooki, paitt jahanum, waah re aabi tere leader..



Insaan ko baidaar to ho lene do..

Designed Shayari

Hamare hain Hussain.

Insaan ko baidaar to ho lene do,
Har qaum pukaray gi hamare hain Hussain..



Ranj kitna bhi karen un ka zamaane walay..

Designed Shayari

ranj kitna bhi karen

Ranj kitna bhi karen un ka zamaane walay,
Jaane walay to nahin laut ke anay walay..



Poocho to aik aik hai tanhaa sulagg raha..

Designed Shayari

aik aik hai tanha

Poocho to aik aik hai tanhaa sulagg raha,
Dekho to sheher sheher hai maila laga hua..



Hussain tum nahin rahe..

Designed Shayari

hussain tum nahin rahe

Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahin raha,
Magar tumhare baad zaalimon ka ddar nahin raha..



Gul ke hathon se lutaa kar karvaan apna..

Designed Shayari

chali ab gul ke hathon

Chali ab gul ke hathon se lutaa kar kaarvaan apna,
Na chorra haaye bulbul ne chaman main kuch nishaan apna,

Yeh hasrat reh gayi kya kya maze se zindagi karte,
Agar hota chaman apna gul apna baghbaan apna,

Mera jee jalta hai us bulbul-e-bekass ki ghurbat par,
Ke jin ne aasray par gul ke chorra aashiyaan apna,

Jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai,
Ghalat tha jante they tujh ko jo hum meherbaan apna..



Chott nayi hai lekin zakham purana hai..

Designed Shayari

chott nayi hai lekin zakham purana hai

Chott nayi hai lekin zakham purana hai,
Yeh chehra kitna jaana pehchaana hai,

Saari bassti chup ki dhund main doobi hai,
Jis ne lab kholay hain woh deewana hai,

Ik ik kar ke sab panchi damm torr gaye,
Bhari bahaar main bhi gulshan veerana hai,

Apna parrao dasht-e-wafa be-aab-o-giyah,
Tum ko to do chaar qadam hi jana hai,

Kal tak chahat ke aanchal main liptta tha,
Aaj woh lamhaa khawb hai ya afsaana hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari