Dukhi Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dukhi Shayari Poetry. Feel free to add your own Dukhi Shayari Shayari here.

Dukhi Shayari Collection

Dukhi Poetry is poetry on sorrowness and grieving. Urdu Dukh Shayari is hugely loved in pakistan. We have lots of Dukh Poetry and Dukhi Shayari for you to read and enjoy.



Ishq is qadar lachaar karta hai..

Dukhi Shayari

Kisey maloom tha ishq is qadar lachaar karta hai,
Dil usey janta hai bewafa, magar pyar karta hai..



Kabhi neendain kabhi ankhon may paani..

Dukhi Shayari

Kabhi neendain kabhi ankhon may paani bhej dyta hai,
wo khud aata nahi apni nashaani bhej dyta hai …



ranjish he sehee dil may dukhanay k liyay aa..

Dukhi Shayari

ranjish he sehee dil may dukhanay k liyay aa,
aa phir sy mujhay choor jaanay k liyay aa,

kuch to meray pand-e-ray mohabat ka bharam rakh,
tu b to kabhi mujh ko manany k liyay aa,

pehly sy maraasam na sehee phir b kabhi to,
rasmo waar-e-duniya he nibanay k liyay aa,

kis kis ko batyen gay judai ka sabab hum,
tu mujh sy haffa hai tu zamany k liyay aa,

ab tak dil-e-khush faham tujh sy hain umadain,
yea akhri shammay b bujhanay k liyay aa…



Hum hai sokhay huway talab pay baithay huway huans ..

Dukhi Shayari

Hum hai sokhay huway talab pay baithay huway huans,

Jo taluq ko nabatay huway mar jatay hain…



Dhondte ho kia in ankhon mein kahani meri..

Dukhi Shayari

Dhondte ho kia in ankhon mein kahani meri,
Khud mein gum rehna toh aadat hai purani meri..!



Janey kis daur mein jaye gi yeh adat meri..

Dukhi Shayari

Janey kis daur mein jaye gi yeh adat meri,
Roothna us se aur auron se ulajhtey rehnaa..



Bana Ghulab to kantay Chuba gaya ek shahkhs

Dukhi Shayari

Bana Ghulab to kantay Chuba gaya ek shahkhs,
Hua charagh to ghar hi jala gaya ek shahkhs..



Bas jee rahay hain itna adam hai aay adam

Dukhi Shayari

Bas jee rahay hain itna adam hai aay adam
Kis tarah ho rahi hai basar kuch na poochiye



Bohat dino main mohabbat ko yeh howa maloom

Dukhi Shayari

Bohat dino main mohabbat ko yeh howa maloom,
Jo tere hijar main guzri wo raat, raat hui..



Lakh zamana zulm dhaye waqt na wo khuda dikhaye..

Dukhi Shayari

Lakh zamana zulm dhaye waqt na wo khuda dikhaye,
Jab mujhey ho yaqeen kay tu hasil e zindagi nahi..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dukhi Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari