Dukhi Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dukhi Shayari Poetry. Feel free to add your own Dukhi Shayari Shayari here.

Dukhi Shayari Collection

Dukhi Poetry is poetry on sorrowness and grieving. Urdu Dukh Shayari is hugely loved in pakistan. We have lots of Dukh Poetry and Dukhi Shayari for you to read and enjoy.



Mangi Koi Wazahat Na Poochi Koi Daleel

Dukhi Shayari

Mangi Koi Wazahat Na Poochi Koi Daleel,
Dil Ne To Hadd Hi Kar Di Us Pe Aetbaar Ki..



Dukh De Kar Sawaal Karte ho, Tum Bhi Janam Kamaal Karte ho

Dukhi Shayari

Dukh De Kar Sawaal Karte ho,
Tum Bhi Janam ! Kamaal Karte ho..

Dekh Kar Puchh Liya haal mera,
Chalo Kuchh to Khayaal Karte ho..

Shehar -e- Dil me Ye Udaasiyaan Kaisi,
Ye Bhi mujh se Sawaal Karte ho ???

Marnaa Chaahain to mar nahi Sakte,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

Ab Kis Kis Ki misaal Doon tum Ko ?
Her Sitam Be-misaal Karte ho…..!!



Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad

Dukhi Shayari

Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad,
ya mujy khud he veham sa howa hai shayad,

main ny pocha k bhol gaye ho tum bhi ?
pOnch kar aansu mjhy Usny kaha …”SHAYAD”



Hijar ki rat ajab rang hai pemane ka

Dukhi Shayari

Hijar ki rat ajab rang hai pemane ka,
Dast e mekhwar me bujhata sa dia ho jaise.



Hum log hain saleet pe likhe hoe naseem

Dukhi Shayari

Hum log hain saleet pe likhe hoe naseem,
Mitana pare ga agle sawalat k lie.



Wo is kamal se khela tha ishq ki bazi

Dukhi Shayari

Wo is kamal se khela tha ishq ki bazi,
Me apni fatah samajhta tha maat hone tak.



Wo ae bazam me itna to meer ne daikha

Dukhi Shayari

Wo ae bazam me itna to meer ne daikha,
Phir us k bad charaghon me roshani na rahi,



Wo kar nahin raha tha meri baat ka yakeen

Dukhi Shayari

Wo kar nahin raha tha meri baat ka yakeen,
Phir yon hoa k mar k dikhana para muje.



Najane kon sa aseeb dil me basta hai

Dukhi Shayari

Najane kon sa aseeb dil me basta hai,
K jo bhi thehra wo akhir makan chor gea.



Najane kon si galion me chor aea hon

Dukhi Shayari

Najane kon si galion me chor aea hon,
Charagh jalte hoe khawab muskarate hoe.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dukhi Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari