Gham Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Gham Shayari Poetry. Feel free to add your own Gham Shayari Shayari here.

Gham Shayari Collection

Gham Shayari is poetry on sadness and sorowness. People read Gham Shayari when they feel hurt and ignored. Lots of Gham Poetry or Gham Shayari can be found here for our users to read and enjoy.



Mere hamsafar abhi soch lay

Gham Shayari

Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay



Teri yaad me zara aankhe bhigo lu

Gham Shayari

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu.
udas raat ki tanhai me so lu.

Akele ghum ka bojh ab sambhlta nahi.
agar tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu.



Hazaron gham de gaya

Gham Shayari

Wo Kitna Mehrban Tha K Hazaron Ghum De Gaya Mohsin..!!!
Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake “MUHABBAT” K Siva..!!!



Tujh ko teri nazroun main hi gira doun mai

Gham Shayari

Youn hi sochta hoon main aksar
Tujhey kis tarhaan saza doun main

Teri arzoo karun aur phir
tera khayal tak bhulla doun main

Tujh ko khuwaboun main apney bula kar
apni raatein sabhi jala doun main

Teri manzil ko guloun sey saja kar
rah main kaantey bicha doun main

Ya teri zeest ka har ik pehloo
bhooli hui dastaan bana doun main

Tu jo chahey ussey main pa loun
tu jo paa ley ussey mita doun main

Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key
tujh ko teri nazroun main hi gira doun main……!



Na din acha hai, na hal acha hai

Gham Shayari

Na din acha hai, na hal acha hai,
Kisi jogi ny kaha tha k ye saal acha hai…
Mainy pocha wo kb chahy ga mjy meri tarha,
Bs muskura k keh diya sawal acha hai…



Akaila raat bhar tarpa

Gham Shayari

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi
Na tum aaye na neend aai na chain aaya na moat aai…



Na koi geet baki hay na koi saaz baki hayi

Gham Shayari

Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay
Na koi geet baki hay na koi saaz baki hai

Sab apney bhayd ham nay faash kar daalay zamanay par
Magar jo tuj sey kehna tha wohi ek raaz baki hai

Khudaawand hamien phir sey naii ek zindagi dey dey
Bareeda par hain lekin hasrat e parwaaaz baki hai

Nazar main raat k pichhlay pehar jesi khamoshe hay
Magar dil k dharakne ka wohi andaaaz baaki hai

Qateel is ehd-bey-maani main lafzon ka hay yeh aalam
Ke maani ho gaye rukhhsat faqat awaaaz baki hai

(Khudawand:God)(Bhayd:Secrets)(Faash:Leaked out)(Rukhsat:Departure)



Abhi tak mojood hein is dil mein

Gham Shayari

Abhi Tak Mojood Hein Es Dil Mein Tery Qadmoon K Nishan . . .
Tumhary Baad Es Raah Sy Kisi Aur Ko Guzarnay Nahi Diya . .



Jane kis shakhs ne chaha tha

Gham Shayari

Meri har mangi hui dua bekar gayi Toqeer
jane kis shaksh ne chaha tha usey itni shidat k sath



Itna to nazar andaz na kar

Gham Shayari

Ehsas Na Kar In Jazbon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin,
Jeena Bhi Mujhy Dushwar Lagy, Itna To Nazar Andaz Na Kar…!!!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Gham Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari