Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Manaa lo ro ke rab ko iltijaa se..

Ghazal Shayari

Manaa lo ro ke rab ko iltijaa se,
Bacha le ga woh hum ko is wabaa se,

Dua hi kaam aati hai wahan phir,
Jo masla hall nahi hota dawaa se,

Gunahon se main ab bach kar rahoon ga,
Yeh vaada hai mera apne khuda se,

Khataa-karon ki pehli saff main hoon main,
Naheen mayuus par teri ataa se,

Hai satar maaon jesa pyar tera,
Humen mehfooz rakhna har balaaa se,

Tujhe tere nabi ka vaasta hai,
Karo bakhshish hamari har sazaa se,

Razzi, Husnain ka, Zahra, Ali ka,
Main sadqa mangta hoon Mustafa se.



Jahan par dosti ho us jagah anaayen kya..

Ghazal Shayari

Jahan par dosti ho us jagah anaayen kya,
Kahe agar tere pairon main beth jayen kya,

Jo naao paar gayi laut kar nahin aati,
Jo shakhss doob gaya hai usse bachayen kya,

Kisi ki yaad main jaagen sitare dekhen hum,
Sulag raha hai jo cigarette usse bhujayen kya,

Tumhare baad koi zakham kyun karen taaza,
Guzar chuka hai jo us par lahuu bahayen kya,

Kisi ki neend meri neend kese ho jaye,
Kisi ke khawb meri ankh main samayen kya..



Jo mere muqaddar main araam hai rahat hai..

Ghazal Shayari

Jo mere muqaddar main araam hai rahat hai,
Pooche jo koi keh doon sab maan ki badolat hai,

Jiss maan ko buRrhape main yeh duniya satati hai,
Qadmon main usi maan ke maloom hai jannat hai,

Sarkar-e-do-aalam ka farmaan rakho dil main,
Mazloom ke kaam aana yeh bhi to ibadat hai..



Tu ne kuch bhi na kaha ho jese..

Ghazal Shayari

Tu ne kuch bhi na kaha ho jese,
Mere hi dil ki sadaa ho jese,

Yuun teri yaad se jee ghabraya,
Tu mujhe bhool geya ho jese,

Is tarah tujh se kiye hain shikwe,
Mujh ko apne se gila ho jese,

Tere honton ki haffi se larzish,
Ik haseen sher hua ho jese..



Sher ka soona chaman kuch aur khali ho geya..

Ghazal Shayari

Sher ka soona chaman kuch aur khali ho geya,
Haye kese shakhss se indor khali ho geya,

Sarhadon ke is taraf bhi us ki rahat thi bohat,
Aesa lagta hai mera lahore khali ho geya,

Kesi kesi ronaqen thi us ke ik ik sher main,
Ik zamana gum hua, ik daur khali ho geya,

Poochte hain ab ghazal-abad ke deewar-o-dar,
Yeh bhara ghar kis tarah fil-for khali ho geya..



Mere ashaar sunana na sunane dena..

Ghazal Shayari

Mere ashaar sunana na sunane dena,
Jab main duniya se chala jaon to jane dena,

Sath in ke hai bohat khaak uRrayi maine,
In hawaon ko meri khaak uRrane dena,

Mat batana ke bikhar jayen to kya hota hai,
Nayi naslon ko naye khawb sajane dena,

Rahoon khamosh to khamosh hi rakhna mujh ko,
Aur agar shor machaun to shor machane dena,

Aur jaan lena ke naya hath bulata hai tumhe,
Agar koi hath chuRraye to chuRrane dena,

Ab to barish main bhi school khula karte hain,
Wahan mat bhejna bachon ko nahane dena,

Haan wohi baat jo maloom hai sab logon ko,
Main wohi baat chupaun ga chupane dena,

Waqt duniya ko sunaye ga kahani meri,
Kahe deta hoon mera naam na aane dena,

MEre jeene pe hansen log koi baat nahin,
Haan meri maut ka matam na manane dena..



Garche sau baar hijar se jaan guzri hai..

Ghazal Shayari

Garche sau baar hijar se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzari hai, kahan guzri hai,

Ap thehre hain to thehra hai nizam-e-aalam,
Ap guzre hain to ik mauj-e-rawan guzri hai,

Hosh main aye to batlaye tera deewana,
Din guzaara hai kahan, raat kahan guzri hai,

Aese lamhe bhi guzare hain teri furqat main,
Jab teri yaad bhi dil pe giraan guzri hai,

Hashar ke baad bhi deewane tere poochte hain,
Woh qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai,

Zindagi Saif ke liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishan guzri hai..



Kya aese kam-sukhan se koi guftgu kare..

Ghazal Shayari

Kya aese kam-sukhann se koi guftgu kare,
Jo mustaqil sakoot se dil ko lahuu kare,

Ab to humen bhi tark-e-marasim ka dukh nahin,
Par dil yeh chahta hai ke aghaaz tu kare,

Tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi,
Khud ko ganwa ke kaun teri justuju kare,

Ab to yeh arzuu hai ke woh zakham khaiye,
Ta-zindagii yeh dil na koi arzuu kare,

Tujh ko bhula ke dil hai woh sharminda-e-nazar,
Ab koi hadsa hi tere rubaru kare,

Chup-chaap apni aag main jalte raho faraz,
Duniya to arz-e-haal se be-abruu kare..



BaRre tahammul se rafta rafta nikalna hai..

Ghazal Shayari

BaRre tahammul se rafta rafta nikalna hai,
Bacha hai jo tujh main mera hissa nikalna hai,

Yeh ruuh barson se dafan hai tum madad karo ge ?
Badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai,

Nazar main rakhna kahin koi ghamm-shanaas gahak,
Mujhe sukhan bechna hai, kharcha nikalna hai,

Nikaal laya hoon ek pinjre se ik parinda,
Ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai,

Yeh tees barson se kuch baras peeche chal rahi hai,
Mujhe ghaRri ka kharab purza nikalna hai,

Khayal hai khandan ko ittilaa de doon,
Jo katt gaya us shajar ka shajra nikalna hai,

Main aik kirdar se baRra tang hoon qalamkaar,
Mujhe kahani main Ddaal ghussa nikalna hai..



Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai..

Ghazal Shayari

Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai,
Ba-wuzu ho ke bhi chhute huye Ddar lagta hai,

Main tere sath sitaron se guzar sakta hoon,
Kitna asaan mohabbat ka safar lagta hai,

Mujh main rehta hai koi dushman-e-jaani mera,
Khud se tanhai main milte huye Ddar lagta hai,

But bhi rakhe hain namazen bhi adaa hoti hain,
Dil mera dil nahin Allah ka ghar lagta hai,

Zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zameen,
Paaon phailaaun to deewar main sar lagta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari