Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Yuun bhi bhook miTa sakta hai..

Ghazal Shayari

Yuun bhi bhook miTa sakta hai,
Banda miTi kha sakta hai,

Ik luqme ki ujrat kya hai,
Ik mazdoor bata sakta hai,

Ahista se paon rakhna,
Kamra shor macha sakta hai,

MiTi ki khasslat main kya hai,
Yeh iblees bata sakta hai,

Kitni dair ik bhenss ke aage,
Banda been baja sakta hai,

Jibrael se aage aami,
Ishq musafir ja sakta hai..



Jeene ko kherani paida karta hoon..

Ghazal Shayari

Jeene ko kherani paida karta hoon,
Khamoshi se maani paida karta hoon,

Tum ko kya maloom ke kitni mushkil se,
Thori si aasaani paida karta hoon,

Shaam Dhale main sahil par jata hoon aur,
Maujon main tughyani paida karta hoon,

Aksar shair ko Dhakta hoon main lafzon se,
Kabhi kabhi uryaani paida karta hoon,

Paon banata hoon aur phir main in ke liye,
Raah koi anjaani paida karta hoon..



Mohabbat kis ko kehte hain, adavat kis ko kehte hain..

Ghazal Shayari

Mohabbat kis ko kehte hain, adawat kis ko kehte hain,
BichaRr kar tum se jana hai, qayamat kis ko kehte hain,

Isi zid main utri hoon, qayamat-khez lehron main,
Ke dekhoon gi mohabbat main karamat kis ko kehte hain,

Zamana puchta kuch hai, bata doon aur hi kuch main,
Tumhi se maine seekha hai wazahat kis ko kehte hain,

Abhi khamosh bethi hoon magar main waqt paRrne par,
Zamane ko bata doon gi baghawat kis ko kehte hain,

Hazaron dard seh kar bhi yeh dete hain duaa sab ko,
Ke ehl-e-ishq se seekho, sakhawat kis ko kehte hain..



Ajab asbab karta ja raha hoon..

Ghazal Shayari

Ajab asbab karta ja raha hoon,
Lahu seemab karta ja raha hoon,

Main apni mauj main ik raqss-e-digar,
Sar-e-girdab karta ja raha hoon,

Azal se jagti ankhon jahan main,
Basar ik khawb karta ja raha hoon,

Sar-e-mizhgan ubharta hai jo tara,
Usse mahtab karta ja raha hoon,

Jo dil ik umar se banjar paRre they,
Unhen sairab karta ja raha hoon,

Main rah-e-shauq ki har kankari ko,
Dur-e-nayab karta ja raha hoon,

Woh ejaz-e-sukhan bakhsha hai us ne,
ChaTtanen aab karta ja raha hoon..



Jab bhi aangan main tere chand nikla hoga..

Ghazal Shayari

Jab bhi aangan main tere chand nikla hoga,
Mere baare main kabhi tu ne socha hoga,

Mashwra hai ke kisi aik se mukhlis rehna,
Jaane wale yeh tumhare liye acha hoga,

Us ne phoolon ki numayesh main kahan jana hai,
Muskurate huye jis ne tujhe dekha hoga,

Mudatton baad guzarna hai tere gaon se,
Mudatton baad kisi baat pe rona hoga,

Meri zulfon ko bikharne se bacha le warna,
Dekh ae shakhs tujhe sara bichaRrna hoga,

Tujh ko Tehmina yeh ik baat samajhna hogi,
Ishq karna hai to ik roz bichaRrna hoga..



Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya..

Ghazal Shayari

Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya,
Itni awazen tujhe di ke gala beth gaya,

Yun nahin hai ke faqat main hi usse chahta hoon,
Jo bhi us paiRr ki chaon main gaya beth gaya,

Itna meetha tha woh ghusse bhara lehja mat puch,
Us ne jis ko bhi jaane ka kaha beth gaya,

Apna laRrna bhi mohabbat hai tumhen ilm nahin,
Cheekhti tum rahi aur mera gala beth gaya,

Us ki marzi woh jise paas bitha le apne,
Is pe kya laRrna falaan meri jagah beth gaya,

Baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan,
Do qadam jo bhi mere sath chala beth gaya,

Bazm-e-janan main nashistain nahin hoti makhsus,
Jo bhi ik baar jahan beth gaya, beth gaya..



Bethe hain chain se kahin jana to nahin hai..

Ghazal Shayari

Bethe hain chain se kahin jana to hai nahin,
Hum be-gharon ka koi thikana to hai nahin,

Tum bhi ho beete waqt ke manind hu-ba-hu,
Tum ne bhi yaad aana hai, aana to hai nahin,

Ehd-e-wafa se kis liye khaif ho meri jaan,
Kar lo ke tum ne ehd nibhana to hai nahin,

Woh jo humen aziz hai kesa hai kaun hai,
Kyun puchte ho hum ne batana to hai nahin,

Duniya hum ehl-e-ishq pe kyun phenkti hai jaal,
Hum ne tere faraib main aana to hai nahin,

Koshish karen to laut hi aye ga ek din,
Woh aadmi hai guzra zamana to hai nahin,

Woh ishq to kare ga magar dekh-bhaal ke,
Faris woh tere jaisa deewana to hai nahin..



Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke..

Ghazal Shayari

Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke,
Main khush nahin hoon tujhe khud main mubtila kar ke,

Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaye,
TaRrap utha hoon tere haq main baddua kar ke,

Main jootiyon main bhi betha hoon puray maan ke sath,
Kisi ne mujh ko bulaya hai iltijaa kar ke,

To phir woh rote huye manatain bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,

Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar-andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe khuda kar ke,

Mana bhi loon ga, galay bhi lagaon main Ali,
Abhi to dekh raha hoon use khafa kar ke..



Yeh zulm mujh se nahin ho saka, nahin kiya hai..

Ghazal Shayari

Yeh zulm mujh se nahin ho saka, nahin kiya hai,
Khayal main bhi use be-ridaa nahin kiya hai,

Main aik shakhs ko imaan janta hoon to kya,
Khuda ke naam pe logon ne kya nahin kiya hai,

Isi liye to main roya nahin bichaRrte samay,
Tujhe rawana kiya hai juda nahin kiya hai,

Yeh badtameez agar tujh se Ddar rahe hain to phir,
Tujhe bigaRr kar maine bura nahin kiya hai..



Baghdad nahin, misr nahin, shaam nahin hai..

Ghazal Shayari

Baghdad nahin, misr nahin, sham nahin hai,
Yeh kesi jagah hoon jahan kohraam nahin hai,

Tafteesh karo mujh se mere khawb ke baare,
Maloom karo kyun mujhe araam nahin hai,

Sayara ajab taish main aya hai dobara,
Aur dheyan rahe yeh koi ilhaam nahin hai,

Main us ka giriftar-e-kashish hoon to bura kya,
Yeh baat mujhe fakhar hai ilzaam nahin hai,

Main kar to raha hoon teri duniya ki hifazat,
Lekin main bata doon yeh mera kaam nahin hai,

Mumkin hai mere log use khawb main sun lain,
Ik naam jo filhal mera naam nahin hai,

Kuch roz main abaad karoon ga woh sitara,
Woh surkh sitara jo abhi aam nahin hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari