Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Ae subh main ab kahan raha hoon..

Ghazal Shayari

Ae subh main ab kahan raha hoon,
Khawbon hi main sarf ho chuka hoon,

Sab mere bagher mutmayin hain,
Main sab ke bagher jee raha hoon,

Kya hai jo badal gayi hai duniya,
Main bhi to bohat badal geya hoon,

Go apne hazar naam rakh loon,
Pr apne sivaa main aur kya hoon,

Main jurm ka etiraf kar ke,
Kuch aur hai jo chupaa geya hoon,

Main aur faqat usi ki khawhish,
Akhlaq main jhoot bolta hoon,

Ik shakhs jo mujh se waqt le kar,
Aaj aa na saka to khush hua hoon,

Har shaks se be-niyaz ho ja,
Phir sab se yeh keh ke main khuda hoon,

Charke to tujhe diye hain maine,
Par khoon bhi main hi thookta hoon,

Roya hoon to apne doston main,
Pr tujh se to hans ke hi mila hoon,

Ae shakhs main teri justuju se,
Bezaar nahin hoon thak geya hoon,

Main sham o sehar ka naghma-gar tha,
Ab thak ke karahne laga hoon,

Kal pr hi rakho wafa ki baten,
Main aaj bohat bujha hua hoon..

اے صبح میں اب کہاں رہا ہوں - جون ایلیا



Marhala raat ka jab aye ga..

Ghazal Shayari

Marhala raat ka jab aye ga,
Jism saaye ko taras jaye ga,

Chal parri rasm jo kaj-fehmi ki
Baat kya phir koi kar paye ga,

Sach se qatrate agar log yahan,
Lafz mafhoom se qatraye ga,

Aitbar us ka hamesha karna,
Woh to jhooti bhi qasam khaye ga,

Tu na hogi to phir ae sham-e-firaaq,
Kon aa kar humen behlaye ga,

Hum usay yaad bohat ayen ge,
Jab usay bhi koi thukraye ga,

Kainat us ki meri zaat main hai,
Mujh ko kho kar woh kise paye ga,

Na rahe jab woh bhale din bhi qateel,
Yeh zamana bhi guzar jaye ga..

مرحلہ رات کا جب آئے_گا - قتیل شفائی



Bara kathin hai rasta, jo aa sako to sath do..

Ghazal Shayari

Bara kathin hai rasta, jo aa sako to sath do,
Yeh zindagi ka faasla, mita sako to sath do,

Barre fareb khao ge, barre sitam uthao ge,
Yeh umar bhar ka sath hai, nibha sako to sath do,

Jo tum kaho yeh dil to kya jaan bhi fida karoon,
Jo main kahoon bas ik nazar lutaa sako to sath do,

Main ik fareb be-nava, main ik faqeer be-sadaaa,
Meri nazar ki iltijaa jo paa sako to sath do,

Hazaar imtihan yahan, hazaar azmayeshen,
Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako to sath do,

Yeh zindagi yahan khushi ghamon ke sath sath hai,
Rula sako to sath do, hansaa sako to sath do..

بڑا کھٹن ہے راستا، جو آسکو تو ساتھ دو - عطا شاد



Aaj achanak phir yeh kesi khushbu phaili yadon ki..

Ghazal Shayari

Aaj achanak phir yeh kesi khushbuu phaili yadon ki,
Dil ko adat chuut chuki thi muddat se fariyadon ki,

Deewanon ka bhes bana len ya suurat shehzadon ki,
Duur se pehchani jaati hai shakal tere barbadon ki,

Shart-e-shireen kya puri ho tesha-o-jurat kuch bhi nahin,
Ishq-o-havas ke morr pe yuun to bheerr hai ik farhadon ki,

Ab bhi teri kuche main hawayen khaak uraati phirti hain,
Baqi hai yeh ek riwayet ab bhi tere barbadon ki,

Koi teri tasveer bana kar la na saka khuun-e-dil se,
Lagti hai har roz numayesh yuun to naye behzadon ki..

آج اچانک پھر یہ کیسی خوشبو پھیلی یادوں کی - عنوان چشتی



Apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai..

Ghazal Shayari

Apne zarf apni talabb apni nazar ki baat hai,
Raat hai lekin mere labb par sehar ki baat hai,

Aashiyan ke sath puri zindagi badli gayi,
Kam-nazar samjhe ke musht-e-bal-o-par ki baat hai,

Ta-abad kitne andhere they ke roshan ho gaye,
Shamaa ka jalna bazahir raat bhar ki baat hai,

Zindagi sadiyon ka hasil zindagi sadiyon ka roop,
Zindagi jo chashmak-e-barq-e-sharar ki baat hai,

Manzil ik rah-rav ka thak jana hai warna zindagi,
Ik musalsal rahguzar paiham safar ki baat hai..

اپنے ظرف اپنی طلب اپنی نظر کی بات ہے - سید ضمیر جعفری



Ab jee raha hoon gardish-e-dauran ke sath sath..

Ghazal Shayari

Ab jee raha hoon gardish-e-dauraan ke sath sath,
Yeh nagavaar farz adaa kar raha hoon main,

Ae rabb-e-zul-jalal teri bartari ki khair,
Ab zalimon ki madh-o-sanaa kar raha hoon main,

Shorish meri nava se khafaa hai faqih-e-shehr,
Lekin jo kar raha hoon, bajaa kar raha hoon main..

اب جی رہا ہوں گردش_دوراں کے ساتھ ساتھ - شورش کاشمیری



Nazar ke samne rehna nazar nahin aana..

Ghazal Shayari

Nazar ke samne rehna nazar nahin aana,
Tere sivaa yeh kisi ko hunar nahin aana,

Yeh intezar magar ikhtiyar main bhi nahin,
Pata to hai ke usay umar bhar nahin aana,

Yeh hijraten hain zameen-o-asman se agay ki,
Jo ja chuka hai usay laut kar nahin aana,

Zara si ghaib ki luknat zaban main lao,
Bagher us ke sukhan main assar nahin aana,

Har anay wala neya rasta dikhata hai,
Isi liye to humen raah pr nahin aana,

Zara woh dusri khirrki bhi khol kamre ki,
Nahin to taaza hawaa ne idhar nahin aana,

Karoon musaaften na-afreeda rahon ki,
Mujh jesa baad main awara-sar nahin aana..

نظر کے سامنے رہنا نظر نہیں آنا - آفتاب اقبال شمیم

نظر کے سامنے رہنا نظر نہیں آنا
ترے سوا یہ کسی کو ہنر نہیں آنا



Main zindagi ka sath nibhata chala geya..

Ghazal Shayari

Main zindagi ka sath nibhata chala geya,
Har fikr ko dhuyen main urrata chala geya,

Barbadiyon ka sog manana fazool tha,
Barbadiyon ka jashan manata chala geya,

Jo mil geya usi ko muqaddar samajh liya,
Jo kho geya main us ko bhulata chala geya,

Gham aur khushi main farq na mehsuus ho jahan,
Main dil ko us maqaam pe lata chala geya..

میں زندگی کا ساتھ نبھاتا چلا گیا - ساحر لدھیانوی



Gale mila na kabhi chand bakht aisa tha..

Ghazal Shayari

Yeh aur baat ke woh lab thay phool se nazuk

Gale mila na kabhi chaand bakht aesa tha,
Hara-bhara badan apna darakht aesa tha,

Sitare siskiyan bharte the oss roti thi,
Fasaana-e-jigar-e-lakht-lakht aesa tha,

Zara na mom hua pyar ki hararat se,
ChaTTakh ke toot geya dil ka sakht aesa tha,

Yeh aur baat ke woh labb thay phool se nazuk,
Koi na seh sake lehja karakht aesa tha,

Kahan ki sair na ki tosan-e-takhayyul pr,
Hamen to yeh bhi suleman ke takht aesa tha,

Idhar se guzra tha mulk-e-sukhan ka shehzada,
Koi na jaan saka saaz-o-rakht aesa tha..

گلے ملا نہ کبھی چاند بخت ایسا تھا - شکیب جلالی



Farz karo hum ehl-e-wafa hon..

Ghazal Shayari

Farz karo hum ehl-e-wafaa hon, farz karo deewane hon,
Farz karo yeh donon baten jhooti hon, afsane hon,

Farz karo yeh jee ki bipta jee se jorr sunayi ho,
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chupaayi ho,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoonde hum ne bahane hon,
Farz kar yeh nain tumhare sachh-much ke mai-khane hon,

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho,
Farz karo is peet ke rog main saans bhi hum par bhari ho,

Farz karo yeh jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho,
Farz karo bas yehi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho,

Dekh meri jaan keh gaye baahu kaun dilon ki jaane huu,
Basti basti sehraa sehraa lakhon karen deewane huu,

Jogi bhi jo nagar nagar main maare maare phirte hain,
Kaasa liye bhabuut ramaye sab ke dvare phirte hain,

Shayar bhi jo meethi baani bol ke mann ko harte hain,
Banjare jo unche damon jee ke saude karte hain,

In main sache moti bhi hain, in main kankar pathar bhi,
In main uthle paani bhi hain, in main gehre saagar bhi,

Gori dekh ke aage barrhna sab ka jhoota sacha huu,
Doobne wali doob gayi woh gharra tha jis kacha huu..

فرض کرو ہم اہل وفا ہوں، فرض کرو دیوانے ہوں - ابن انشاؔ


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari