Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



MUHABAT ho to aisi ho.

Ghazal Shayari

November 16 at 6:04pm Report
Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.



Zara Phir Sey Kehnaa

Ghazal Shayari

Miley Kaisey Sadiyoun Ki Pyaas Aur Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Badi Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Kahaan Sey Chalaa Thaa Judai Ka Saaya, Nahien Dekh Paaya
Kay Rastay Mein Thi Aansoyoun Ki Rawaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Hawa Yeh Khabbar Tuu Sunaati Rahey Aur Mein Suntaa Rahoon
Badalney Koo Hai Ab Yeh *Mousum Khizaani*, Zara Phir Sey Kehnaa

Mukar Jaaney Waala Kabhi Zindagi Mein Khusi Phir Naa Paaye
Younhi Khattam Kar Lein Chalo Yeh Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Samay Kay Samandar! Kaha Tu Ney Jo Bhi, Suna Par Naa Samjhay
Jawaani Ki Nadi Mein Thaa Taiz Paani, Zara Phir Sey Kehnaa



Wo kehti hai suno jana

Ghazal Shayari

Audio Poetry:

Wo kehti hai suno jaana,
Mohabbat moum ka ghar hai,
Tapish-e-bud-gumani ki,
Kahin pighla na de is ko?

Main kehta hoon,
Jis dil main zara bhi bad-gumani ho,
Wahan kuch aur ho to ho,
Mohabbat ho nahi sakti,

Wo kehti hai sada aise he,
Kia tum mujh ko chaho ge?
K main is main kami koi bhi,
Gawara ker nahi sakti,

Main kehta hoon,
Mohabbat kia hai ye tum ne sikhaya hai,
Mujhe tum se mohabbat k siwa,
Kuch b nahi aata,

Wo kehti hai,
Judai se bohat darta hai mera dil,
K khud ko tum se hat ker dekhna,
Mumkin nahi hai ab,

Main kehta hoon,
Yahi khadshe bohat mujh ko satate hain,
Magar sach hai mohabbat main,
Judai saath chalti hai,

Wo kehti hai,
Batao kia mere bin jee sako ge tum?
Meri baaten, meri yaaden, meri aankhen,
Bhula do ge?

Main kehta hoon,
Kabhi aisi baat per socha nahi main ne,
Ager ek pal ko bhi sochon to,
Saansen rukne lagti hain,

Wo kehti hai tumhen mujh se,
Mohabbat is qader kyon hai?
K main ek aam si larrki,
Tumhen kyon khaas lagti hon?

Main kehta hoon,
Kabhi khud ko meri aankhon se tum dekho,
Meri dewaangi kyon hai,
Ye khud he jaan jao gi,

Wo kehti hai,
Mujhe waraftgi se dekhte kyon ho?
K main khud ko bohat,
Qeemti mahsoos kerti hoon,

Main kehta hon,
Mata-e-jaan bohat anmol hoti hai,
Tumhen jub dekhta hoon zindgi,
Mahsoos kerta hoon,

Wo kehti hai,
Mujhe alfaz k jugno nahi milte,
K tumhen bata sakon,
K dil main mere kitni mohabbat hai,

Main kehta hoon,
Mohabbat to nigahon se jhalakti hai,
Tumhari khamoshi mujh se,
Tumhari baat kerti hai,

Wo kehti hai,
Batao na kiss ko khone se darta ho?
Batao kon hai wo jise,
Ye mousam bulate hain?

Main kehta hoon,
Yeh meri shayeri hai aaina dil ka,
Zara dekho batao kia,
Tumhen is main nazar aaya?

Wo kehti hai,
Atif jee bohat baaten banate ho,
Magar sach hai ye baaten,
Bohat he shaad rakhti hain,

Main kehta hoon,
Yeh sub baaten ye fasane ek bhana hain,
K pal kuch zindagani k,
Tumhare saath kat jayen,

Phir us k baad khamoshi ka,
Dilkash raqs hota hai,
Nigahen bolti hain aur,
Lub khamosh rehte hain…!!!



Ajeeb shaks tha

Ghazal Shayari

Ajeeb shaks tha har ek se pyar mangta tha
jahan na dard ho esa diyar mangta tha
jo maangta tha, woh dena meri bisat na thi
woh meri rooh ka mujhse qarar mangta tha
usay garz thi na gulon se na bulbulon se
…wo fasl-e-ranj mai fasl-e-bahar mangta tha
usay talab thi koi toot kar usay chahay
wo hath jor ke ulfat ka izhaar mangta tha
mere khuloos pe shayad tha shak usay
wafa ki raah main woh aitbaar mangta tha…



Ik Leher Si Uthti Hai

Ghazal Shayari

Muddat Se Mera Dil Hai K Abaad Nahi Hai,
Honton Pe Magar Aaj Bhi Faryaad Nahi Hai,

Aata Hai Khayalon Mein Mere Uska Hi Chehra,
Bas Us K Siwa Kuch Bhi Mujhe Yaad Nahi Hai,

Phirte Hain Sabhi Log Yahan Sehme Huwe Se,
Is Sheher Mein jJaise Koi Azaad Nahe Hai,

Dekha Hai Ujarte Huwe Kitne Hi Gharon Ko,
Hai Kon Jo Is Ishq Mein Barbad Nahi Hai,

Ik Leher Si Uthti Hai Aaj Bhi Mere Dil Mein,
Is Leher K Uthne Ka Sabab Yaad Nahi Hai



Haseen kitna zeyada ho geya hai

Ghazal Shayari

hasiin kitnaa ziyaadaa ho gayaa hai
vo jab se aur saadaa ho gayaa hai

chalo ham bhii muhabbat kar hii leNge
agar us kaa iraadaa ho gayaa hai

bhulaa duuNgaa use agle janam tak
meraa us se ye vaadaa ho gayaa hai

ghaRii bhar uskii aaNkhoN meN utar kar
samandar bhii kushaadaa ho gayaa hai

bicchaRne kaa use bhii dukh hai shaayad
ke ab to vo bhii aadhaa ho gayaa hai



Bohat udaas guzarti hai ab to

Ghazal Shayari

Khushi Ka Gam Hai, Na Gham Ki Koi Khushi Ab To,
Bohut Udas Guzarti Hai Zindagi Ab To!

Tere Bagair Bhi Dil Ki Tasalliyon Ke Liye,
Ek Intezar Ki Shab Thi, So Dhal gai Ab To!

ik Ashna Ke Bichharne Se Kuch Nahi Badla,
Hawa-E-Sheher Bhi Lagti Hai Ajnabi Ab To!

Tamam Raat Rahi Dil Mein Roshni Ki Lakeer,
Shamaa e Seher thi Wo Bhi to Jal Bujhi Ab To!

Kahan Gaye Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehre,
Ujarh Si Nazar Aati Hai, Har Gali Ab To!!!



Kitna badal geya hai

Ghazal Shayari

aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meiN kitnaa badal gayaa

kuch din to mera aks raha aaii?ney pe naqsh
phir yuuN huaa, ke khud mera chehraa badal gayaa

koyii bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii
jaate hii ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa

ik sarKhushi ki mauj ne kaisa kiyaa kamaal
wo bay-nayaaz saaraa ka saaraa badal gayaa

uTth kar chalaa gayaa koii waqfe ke darmiyaaN
pardaa uThaa to saara tamashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahey
baatoN meN apni baat ko kaisaa badal gayaa

kehne ko ek sehn meN diivaar hii bani
ghar ki fazaa, makaan ka naqsha badal gayaa

shaayad wafa kay khel se uktaa gayaa tha vo
manzil kay paas aake jo rasta badal gayaa

qaayem kisii bhi haal pay duniya nahiN rahi
ta?biir kho gayii kabhi sapnaa badal gayaa



Ajab pagal si larki hai.

Ghazal Shayari

Ajab pagal si larki hai…. !!
Wo mujh se jab bhi milti hai,
Mujhay her baar kehti hai,
Teray honay se meri zaat ki takmeel hoti hai,
Usay maloom bhi hai main to khud ik aam larka hoon,
…Magar wo mujh se kehti hai,
Nahi tum sa koi dooja,

Ajab pagal si larki hai…
Wo mujh se jab bhi milti hai,
Naya ik naam deti hai, naye pehchaan deti hai,
Meray andar ke sab mosam bina meray kahey hi wo hamesha jaan laiti hai,
Meri barson purani baat bhi wo yaad rakhti hai,
Mujhay her baar kehti hai,
teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta,

Ajab pagal si larki hai…
wo mujh se jab bhi milti hy,
to pehron mujh ko takti hai,
usay her rang, jo main ne ho pehna, acha lagta hai,
usay her khuwab, jo main ne ho dekha, sacha lagta hai,

Ajab pagal si larki hai….
wo mujh se jab bhi milti hai,
mujhay her baar kehti hai,
teri muskan janam zindagi main rang bharti hai,
mujhay dukh ke andheron main kabhi khonay nahi deti,
usay mujh ko mujhi ko sochnay ki janay kia zid hai,
ho din ka koi bhi lamha, andheri raat ka pal ho,
wo mujh ko socha karti hai, mujhi ko yaad rakhti hai,

ajab pagal si larki hai….
wo mujh se jab bhi milti hai,
hazaron baar kehti hai,
mujhay tum se mohabbat he nahi hai ishq hai janam,
bus ik pal main wo apna aap mujh ko sonp deti hai,
main us pagal se larki ke liye ab aur kia likhoon,
mujhay us ko batana hai,
ke us ki muskurahat per,
main duniya waar sakta hoon,
bus us ki eik hi Aahat per,
main jeewan haar sakta hoon,
mujhay us se mohabbat hai,
mujhay bhi ishq hai us se.. !!

Ajab pagal si larki hai…..
Ajab pagal sa main bhi hoon……



Nafraton ko Dil mein pala na karo

Ghazal Shayari

“Kuch apni galtiyoun ka azala kro Wasi,
Yun Nafraton ko Dil mein pala na karo Wasi,
Seedha sa ik sawal hai seedha jawab do,
Yun Muskura k Mujh ko na tala karo Wasi,
Alfaz gira dete hein Jazbat ki Qeemat,
…Jazbat ko Lafzon mein na dhala karo Wasi,
Sambhle hue logon ke girne ki Fikar choro,
Jo gir rahe hein unko Sambhala karo Wasi”


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari