Ghazal Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.Ghazal Shayari Collection
Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.
Asmaan tak jo naala pohancha hai..
Ghazal Shayari
Asmaan tak jo naala pohancha hai,
Dil ki gehrayion se niklaa hai,
Meri nazron main hashar bhi kya hai,
Main ne un ka jalaal dekha hai,
Jalva-e-tur khawb-e-musa hai,
Kis ne dekha hai kis ko dekha hai,
Haye anjaam is safeene ka,
Nakhuda ne jise duboya hai,
Aah kya dil main ab lahuu bhi nahin,
Aaj ashkon ka rang pheeka hai,
Jab bhi ankhen milin un ankhon se,
Dil ne dil ka mizaaj pucha hai,
Woh jawani ke thi hareef-e-tarab,
Aaj barbad-e-jam-o-sahba hai,
Kaun uth kar chala muqabil se,
Jis taraf dekhiye andhera hai,
Phir meri ankh ho gayi namnak,
Phir kisi ne mizaaj pucha hai,
Sach to yeh hai majaz ki duniya,
Husn aur ishq ke sivaa kya hai..
Jo log dushman-e-jan thay wohi saharay thay..
Ghazal Shayari
Jo log dushman-e-jan thay wohi sahare thay,
Munaafe thay mohabbat main khasaare thay,
Huzur-e-shah bas itna hi arz karna hai,
Jo ikhtiyar tumhare thay, haq hamare thay,
Yeh aur baat baharen gurez-pa niklin,
Gulon ke hum ne to sadqe bohat utaare thay,
Khuda kare ke teri umar main gine jayen,
Woh din jo hum ne tere hijr main guzare thay,
Ab izn ho to teri zulf main piro dein phool,
Ke asmaan ke sitaare to isti-yare thay,
Qareeb aaye to har gul tha khana-e-zambur,
Nadeem duur ke manzar to pyare pyare thay..
Almari se khat us ke purane nikal aye..
Ghazal Shayari
Almari se khat us ke purane nikal aye,
Phir se mere chehre pe yeh daane nikal aye,
Maan beth ke takti thi jahan se mera rasta,
Mitti ke hattate hi khazaane nikal aye,
Mumkin hai hamen gaaon bhi pehchan na paye,
Bachpan main hi hum ghar se kamane nikal aye,
Ae rait ke zaray tera ehsan bohat hai,
Ankhon ko bhigone ke bahane nikal aye,
Ab tere bulane se bhi hum aa nahin sakte,
Hum tujh se bohat aagay zamane nikal aye,
Ek khauf sa rehta hai mere dil main hamesha,
Kis ghar se teri yaad na jaane nikal aye..
Ankhon main bass ke, dil main samaa ke chale gaye..
Ghazal Shayari
Ankhon main bass ke, dil main samaa kar chale gaye,
Khawbeeda zindagi thi jagaa kar chale gaye,
Husn-e-azal ki shaan dikha kar chale gaye,
Ik vaaqiya sa yaad dilaa kar chale gaye,
Chehre tak aasteen woh la kar chale gaye,
Kya raaz tha ke jis ko chupaa kar chale gaye,
Rag rag main is tarah woh samaa kar chale gaye,
Jaise mujhi ko mujh se churaa kar chale gaye,
Samjha ke pastiyan mere auj-e-kamal ki,
Apni bulandiyan woh dikha kar chale gaye,
Apne farogh-e-husn ki dikhlaa ke vusaten,
Mere huduud-e-shauq barrhaa kar chale gaye,
Har shai ko meri khatir-e-nashad ke liye,
Aayina-e-jamal bana kar chale gaye,
Aaye they dil ki pyaas bujhaane ke vastay,
Ik aag si woh aur lagaa kar chale gaye,
Ab karobaar-e-ishq se fursat mujhe kahan,
Kaunain ka woh dard barrhaa kar chale gaye,
Shukr-e-karam ke sath yeh shikva bhi ho qubuul,
Apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gaye,
Lab tharthraa ke reh gaye lekin woh ae jigar,
Jaate huye nigaah milaa kar chale gaye..
Aisa hai ke sab khawb musalsal nahin hote..
Ghazal Shayari
Aisa hai ke sab khawb musalsal nahin hote,
Jo aaj hote hian magar kal nahin hote,
Andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain,
Menh tuut ke barse bhi to badal nahin hote,
Kuch mushkilen aisi hain ke asaan nahin hotin,
Kuch aese muammay hain kabhi hal nahin hote,
Shaistagi-e-gham ke sabbab ankhon ke sehraa,
Namnak to ho jaate hain jal-thal nahin hote,
Kese hi talatum hon magar qulzum-e-jan main,
Kuch yaad jazeere hain ke ojhal nahin hote,
Ushaq ke manind keyi ehl-e-havas bhi,
Pagal to nazar aate hain pagal nahin hote,
Sab khawhishen puri hon faraz aesa nahin hai,
Jaise keyi ashaar mukammal nahin hote..
Main kinaron ko rulane laga hoon..
Ghazal Shayari
Main kinaron ko rulane laga hoon,
Phool dariya main bahane laga hoon,
Khel ko khatm karo jaldi se,
Warna main parda giraane laga hoon,
Dil se jaaon to batana mujh ko,
Teri mehfil se to jaane laga hoon,
Yuun lagi mujh ko mohabbat teri,
Jaise main bojh uthane laga hoon,
Pehle main apna uraata tha mazaq,
Aur ab khaak urrane laga hoon,
Kitni asaani se maara geya tha,
Kitni mushkil se thikaane laga hoon,
Shukr hai ishq ke sauday main bhi,
Ashk do–chaar kamaane laga hoon,
Waqt hoon aur bari muddat se,
Main tere saath zamaane laga hoon,
Aese khamosh hua hoon zahid,
Jaise main baat barrhane laga hoon..
Khawb ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai..
Ghazal Shayari
Khawb ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai,
Aesi tanhayi ke mar jaane ko jee chahta hai,
Ghar ki vehshat se larazta hoon magar jaane kyun,
Shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai,
Doob jaon to koi mauj nishan tak na bataye,
Aesi nadee main utar jaane ko jee chahta hai,
Kabhi mil jaye to raste ki thakkan jaag parre,
Aesi manzil se guzar jaane ko jee chahta hai,
Wohi paimaan jo kabhi jee ko khush aya tha bohat,
Ussi paimaan se mukar jaane ko jee chahta hai..
Zindagi aik aziyat hai mujhe..
Ghazal Shayari
Zindagi aik aziyat hai mujhe,
Tujh se milne ki zaroorat hai mujhe,
Dil main har lahza hai sirf ek khayal,
Tujh se kis darja mohabbat hai mujhe,
Teri surat teri zulfen malbuss,
Bas inhi cheezon se raghbat hai mujhe,
Mujh pe ab faash hua raaz-e-hayaat,
Zeest ab teri chahat hai mujhe,
Tez hai waqt ki raftaar bohat,
Aur bohat thori si fursat hai mujhe,
Saans jo beet geya beet geya,
Bas isi baat ki kulfat hai mujhe,
Aah meri hai tabassum tera,
Is liye dard bhi rahat hai mujhe,
Ab nahin dil main mere shauq-e-visaal,
Ab har ik shai se faraghat hai mujhe,
Ab na woh josh-e-tamanna baqi,
Ab na woh ishq ki vehshat hai mujhe,
Ab yunhi umar guzar jaye gi,
Ab yehi baat ghaneemat hai mujhe..
Ankhon main jo baat ho gayi hai..
Ghazal Shayari
Ankhon main jo baat ho gayi hai,
Ik sharh-e-hayat ho gayi hai,
Jab dil ki vafat ho gayi hai,
Har cheez ki raat ho gayi hai,
Gham se chhoot kar yeh gham hai mujh ko,
Kyun gham se najaat ho gayi hai,
Muddat se khabar mili na dil ki,
Shayad koi baat ho gayi hai,
Jis shai pe nazar parri hai teri,
Tasveer-e-hayat ho gayi hai,
Ab ho mujhe dekhiye kahan subh,
Un zulfon main raat ho gayi hai,
Dil main tujh se thi shikayet,
Ab gham ke nikaat ho gayi hai,
Jo cheez bhi mujh ko hath ayi,
Teri saughaat ho gayi hai,
Kya janiye maut pehle kya thi,
Ab meri hayaat ho gayi hai,
GhaTte GhaTte teri inayat,
Meri auqaat ho gayi hai,
Us chashm-e-siyah ki yaad yaksar,
Sham-e-zulmat ho gayi hai,
Ikka-dukka sadaa-e-zanjeer,
Zindan main raat ho gayi hai,
Ek ek sifat firaq us ki,
Dekha hai to zaat ho gayi hai..
Tamanaaon main uljhaaya geya hoon..
Ghazal Shayari
Tamanaaon main uljhaaya geya hoon,
Khilone de ke behlaaya geya hoon,
Hoon iss kuuche ke har zaray se waqif,
Idhar se mudatton aaya geya hoon,
Nahin uthte qadam kyun jaanib-e-dair,
Kisi masjid main behkaaya geya hoon,
Dil-e-muztar se pooch ae raunak-e-bazm,
Main khud aaya nahin laaya geya hoon,
Savera hai bohat ae shor-e-mehshar,
Abhi bekaar uthvaaya geya hoon,
Sataya aa ke pehron aarzuu ne,
Jo dum bhar aap main paaya geya hoon,
Kuja main aur kuja ae Shad duniya,
Kahan se kis jagah laaya geya hoon..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.