Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Aetraaf ker lety

Ghazal Shayari

Pury sheher ko apny khilaf ker lety

uske jurm ka hum aetraaf ker lety

wo ik bar to kehta usy mohabat hai

hum tamam rawayton se inkar ker lety

wo ik bar bhi milny nahi aya warna

uske dil ko uske khilaf kar lety



Magar ab nahi…

Ghazal Shayari

teri hijraton ka malal tha magar ab nahi

mujhy sirf tera khyal tha magar ab nahi

teri be-misal qurbaton k nisaab main

tu zamany bhar main misal tha magar ab nahi

jisy tu ne dard ata kia

wo teri qurbaton main nihal tha magar ab nahi

main teri talash main reza reza bighar gai

wo janun-e-showk-e-wisal tha magar ab nahi

tery dar pe akhri bar a k main q palat gai

ye meri zindagi ka sawal tha magar ab nahi



Dosti ka bharam rakhna tha

Ghazal Shayari

wo Ana Parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

uske chubhty hue lehjy main chuppa pyar bhi tha

wo mujhy likhta hai k muntazir na rahun lekin

uski tehreer main sadyon ka intizar bhi tha

wo kehta hai mat rutho k manana nahi aata

meri narazgi pe lekin wo be-qarar bhi tha

main na likhta usy apni khabar lekin

dosti ka bharam rakhna tha

aur Dil be-ikhtiyar bhi tha



Aik mohabat, wo bhi Nakam mohabat

Ghazal Shayari

Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai

ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat

lekin is se kam chaleya ja sakta hai

Dil par pani piny ati hain umeeden

is chashmy main zeher milaya ja sakta hai

mujh benam se pujhty hainFarhad-o-Majnoo

ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai

phatta puran khwab hai mera phir bhi Tabish

is main apna aap chupaya ja sakta hai



Khawab to sab k hoty hain

Ghazal Shayari

yahan apni apni bari pr sab hansty hain sab roty hain

dil to sab ka hota hai dukh b sab k hoty hain

kujh askh dilon pe girty hain kujh miti main mill jaty hai

kujh lafz ada ho jaty hain kujh honton hain sil jaty hain

mana k adhury rehty hain par khawab to sab k hoty hain

kuch kho kr b pa lety hain

kujh log bht yad aty hain

wo pal bhar ki narazgiyan aur maan b jana pal bahr main

ab khud se jab b ruthon to kuch log boht yad aty hain



Labon pe phool khiltay hain

Ghazal Shayari

laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle



Wo kuchh kahen na kahen aankh muskura daigi

Ghazal Shayari

terey badan se chura kar mehek hawa daigee
zakham ko rang hara, shokhi e saba daigee

mujhe yaqee’n hai k jab mera tazkara hoga
wo kuch kahe na kahe aankh muskura daigee

ye merey shair teri yaad aashna hongey
meri ghazal bhi terey dard ka pata daigee

mujhey khabar thii kaha’n uski sogawaar aankhain
bujhe se dil mai mohabbat ko phir jaga daigee

terey khayal ki khushboo aur uski pyari mehak
mujhe ye darr hai k shayar mujhe bana daigee

chhupana pyar teri jaa’n ko, jaan kya aaye
zuban o dil na kahey, aankh hii bata daigee



Meri chahat ka safar is liye dushwar raha

Ghazal Shayari



Tujh se tere koochey se agar door hue hain

Ghazal Shayari



Ma kise suna raha hoon ye ghazal mohabbaton ki

Ghazal Shayari


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari