Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Aa ki meri jan ko qarar nahi hai..

Ghazal Shayari

Aa ke meri jaan ko qarar nahin hai

Aa ke meri jan ko qarar nahi hai
Taqat-e-bedaad-e-intezar nahi hai

Dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
Nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai

Girya nikle hai teri bazm se mujh ko
Haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai

Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khatir
Khak mein ushaaq ki ghubaar nahi hai

Dil se utha lutf-e-jalva haye maani
Ghair-e-gul aayina-e-bahar nahi hai

Qatl ka mere kiya hai ehad to baare
Waye! agar ehad ustawar nahi hai

Tu ne qasam mai-kashi ki khai hai Ghalib
Teri qasm ka kuch aitbaar nahi hai

آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے - مرزا غالب



Bicharney Ka Ishara Karkey

Ghazal Shayari

Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey
Khud Bhi Roya Woh Buhat Ham Se Kinara Karkey

Sochta Rehta Hoon Tanhai Main Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobara Karkey

Jagmaga Di Hain Terey Shehrer Ki Galiyan Main Ne
Apney Askhon Ko Palkon Pe Sitara Karkey

Dekh Letey Hain Chalo Hosla Apne Dil Ka
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara Karkey

Aik Hi Sheher Main Rehna Hai Magar Milna Nahi
Dekhtey Hain Yeh Aziyat Bhi Gawara Karkey



Chahat Ki Mehfil

Ghazal Shayari

Chahat Ki Mehfil Main Bulaya Hai Kisi Ne,
Khud Bula Ker Phir Sataya Hai Kisi Ne,
Jab Tak Jali Hai Shama Jalta Raha Parwana,
Kiya Is Tarhan Saath Nibhaya Hai Kisi Ne

Armaan Mere Raiza Raiza Ho Gaye Hain,
Yun Kil K Aangan Say Giraya Hai Kisi Ne,
Aag Lagi Hai Dasht Main Koi Kiya Bhujaye Ga,
Dil Is Tarah Say Aaj Jalaya Hai Kisi Ne,

Dil Rota Hai Raat Bhar Yaad Kar K Kisi Ko,
Is Tarhan Ulfat Main Zakham Khaya Hai Kisi Ne,
Sangdil Jo Tha Aaj Woh Bhi Ro Parha
Us Ko Bhi Tarpaya Hai Kisi Ne,



Dil Main Jalana Bhi

Ghazal Shayari

Aik Dia Dil Main Jalana Bhi, Bujha Bhi Daina,
Yaad Karna Bhi Usey Roo, Bhula Bhi Daina,

Kia Kahon Yeh Meri Chahat Hai K Nafrat Is Ki,
Naam Likhna Bhi Maira, Likh K Mita Bhi Daina,

Phir Na Milnay Ko Bicharta Hon Tuj Say Laikin,
Murr K Daikhon To Palatnay Ki Dua Bhi Karna,

Khat Bhi Likhna Usay, Mayoos Bhi Rahna Us Say,
Jurm Karna Bhi Magar Khud Ko Saza Bhi Daina,

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhi Gawara Laikin,
Jee Main Ayai To Yeh Diwar Gira Bhi Daina,

Soorat-E-Naqsh-E-Qadatm, Dasht Main Rehna,
Apnay Honay Say Na Honay Ka Pata Bhi Daina



Meri Raat Na Pooch

Ghazal Shayari

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch
Dil Se Nikli Hui Honton Me Dabi Baat Na Pooch

Wo Kis Adaa Se Merey Saamnay Se Guzraa Abhi
Kis Tarha Mainay Sambhaley Merey Jazbaat Na Pooch

Waqat Jo Badley To Insaan Badal Jaatey Hain
Kya Nahi Dikhlaatey Yeh Gardish-E-Halaat Na Pooch

Wo Kisi Ka Ho Bhi Gaya Or Mujhey Khabar Na Hui
Kis Tarhan Usney Chudaya Hai Mujh Se Haath Na Pooch

Is Tarhan Pal Mein Mujhay Begana Kar Diya Usnay
Kis Tarhan Apno Se Khaai Hai Mainey Maat Na Pooch

Ab Tera Pyaar Nahi Hai To Sanam Kuch Bhi Nahi
Kitni Mushkil Se Bani Thi Dil Ki Kayenaat Na Pooch



Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota

Ghazal Shayari

Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota ?

Ager Or Jeete Rehte Tu Yehi Intazar Hota,
Kahoon Kiss Se Main K Kia Hai,
Shab-E-Ghum Bori Bala Hai,
Mujhe Kia Bora Tha Marna,
Ager Aek Baar Hota,

Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaa Hota ..

Koei Mere Dil Se Poche,
Tere Teer Neem Kash Ko,
Yeh Khalish Kahan Se Hoti,
Ju Jiger K Paar Hota,

Tere Wade Per Jiye Hum,
Tu Yeh Jaan Jhot Jana,
K Khoshi Se Mar Na Jate Ager Etbaar Hota,

Yeh Na Thi Humri Kissmat K Wisaal-E- Yaar Hota

Yeh Kahan Ki Dosti Hai.
K Bane Hain Dost Saqi.
Koi Chehra Saaz Hota.
Tu Yeh Na Ghumm Saath Hota.



Sulagti Raat

Ghazal Shayari

Sulagti Raat Ghani Chandni Si Hoti Hai
Tumhare Sath Ye Duniya Nayi Si Hoti Hai

Gale Mein Uske Khuda Ki Ajeeb Barkat Hai
Wo Bolta Hai To Ik Roshni Si Hoti Hai

Kiran Nikalne Se Pehle Gulab Dekhe Hai
Tumhari Yaad Mein Wo Tazgi Si Hoti Hai



Katoon Si Chubhti Hai Tanhai

Ghazal Shayari

Katoon Si Chubhti Hai Tanhai
Angaroon Si Sulagti Hai Tanhai

Koi Aa Kar Hum Dono Ko Hunsa De
Main Rota Hoon Rone Lagti Hai Tanhai

Jab Bhi Tere Hisar Se Nikalna Chaha
Yaadoon K Beej Bone Lagti Hai Tanhai

Raat K Kisi Hise Main Yeh Bhi Bewafa Ho Jati Hai
Main Nahi Sota Sone Lagti Hai Tanhai

Tum Se Judaa Ho Kar Is Se Hi Dil Laga Lia Hai
Mar Sa Jata Hoon Jab Khone Lagti Hai Tanhai



Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say

Ghazal Shayari

Na Jo Thum Sakay Kisi Aur Say,
Main Bujhta Aik Chiragh Hoon,

Mera Room Room Dard Dard,
Meray Dukh Ka Sira Nahin,

Meri Laghzishon Main Pali Barhi,
Koi Khoi Kahani Bhi Hai,

To Jo Sath Hai To Sukoon Naheen,
To Jo Rooth Gia To Azab Hai,

Meri Zindagi Hai Aik Goo Mago,
Mujhay Roshni Milti Naheen



nazdeekiyaan ehsaas dilati hain

Ghazal Shayari

suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain..
dooriyan betaabi badhati hain..
par,
jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain?
door jaane par kyon unka ehsaas karte hain?

samandar ko tha garoor gehraayi par apni..
aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni?
sharm se zaar zaar ho gaye dono?.
jab unhe bataayi humne dosti apni?

aye khuda aaj tujhse iltaza hai meri?
tu rakhna mere dost ko itni hifazat se..
na gamo ka ho saaya us par..
rahe har pal khushiyon ka dera?
kyonki bahut naazuk sa hai yeh dost mera?!!!

dhoond raha hoon main kahin?
mujhe us cheez ki talaash hai?
kho gayi hai mere yaar ki haansi..
koi to bata de kiske paas hai????

jaaonga uske paas aur poochoonga?
?ab lauta do mujhe woh `muskurahat??
jo tumne mere dost se cheeni hai?
kya dushmani thi tumhe mere dost ke saath???
ke mujhe thodi saanse aur leni hai?.!!!?

naa jaane kahaan kho gayi hai woh hansi..
jo mere dost ke saath rehti thi kabhi..
aye khuda,, meri fariyaad hai aaj tujhse?
Lauta de ,Lauta de, Lauta de,? woh hansi yaar ki..!!!!

muskurahat kuch chhin si gayi hai mere yaar ki?
ke chehra uska kuch murjhaya sa lagta hai?.
jaise chaand ko kami ho gayi ho roshni ki..
jaise suraj bhi andhere mein nahaya sa lagta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari