Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



atfaal hai duniya mere aage

Ghazal Shayari

Bazecha-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai ?eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka?aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
?GHalib? ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

-Mirza Ghalib



Surat surat kya karti ho

Ghazal Shayari

Surat surat kya karti ho
Surat main koi dum nahi
Agar tum khud ko samajhti ho Madhuri
Hum bhi Shahrukh say kum nahi

Khuda Kare Ki Tujhe Aisi Beemari Lage
Tu Budhape Mein Bhi Kuwari Lage
Darjan Ho Jayein Bacche Tere
Tu Phir Bhi Hum Ko Pyari Lage

Tanhaye woh bimari hai
Jiska doctors kay paas ilaaj nahi
Hum is bimari say bach saktay hain
Agar tumko shaadi say inkaar nahi

Tere baap ko shadi main nahi boolayengay
Budha phir say satthhiya gaya
To hum to jeetay jee mar jayengay

Chalo bhaag kay chaltay hain
Mahoorat ka time nikal jayega
Tere baap kay aanay say pehlay
Apna ticket kat jayega

Jhuka kay phool ki daali
Tum phool tor lena
Hum say dil laga kay phir
Apnay baap saalay
ko chor dena

Yoon bun thhan ker na niklo
Tum ramzan ko chat per
Koi apna roza tor day ga
Tum hain chaand samajh ker



Daag hi daag zindagi se mile

Ghazal Shayari

Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile

Har wafa aik jurm ho goya
Dost kuch waise berukhi se mile

Phool hi phool hum ne mange the
Daag hi daag zindagi se mile

Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile



Muhabbat thii chaman se

Ghazal Shayari

Na hogaa yak bayaabaa.N maa.Ndagii se zauq kam meraa
hubaab-e-mauj-e-raftaar hai, naqsh-e-qadam meraa

Muhabbat thii chaman se, lekin ab ye bedimaaGii hai
ke mauj-e-buu-e-gul se naak me.n aataa hai dam meraa



Ek aur baat mani

Ghazal Shayari

Ek aur baat mani
Ek aur zakham khaya
Khud hum ne apne hathoon
Dil ka diya bujhaya

Hum bhi the kitne nadaan
Kaisa freeb khaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

Kabhi aye dil zubaan par
Koy shikwa na lana
Mohabbat k moqadar main
Likha hay umar bhar
Aansu hi bahana

Hay roshani k piche
Lakhon ghamon ka saya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya

Hain yun armaan dil main
K hoon kaydi kafas main
Tumain ab bhul jana
Naheen hay apne bas main

bhala deen ge kahan tak
Dil pe pehra sangdil
Duniya ki rasmain
Tum aur yaad aye
Jitna tumain bhulaya

Humain yeh kiya khabar thi
Tumain khona pare ga
Tumain apna bana k
Dil laga k
Aik din rona bhi pare ga

Joothi hansi ki khatir
Ashkoon ko hay chupaya
Aandi main hum ne apne
Dil ka diya jalaya



Yaad aati hai MAA

Ghazal Shayari

Mout ke aagosh mein jb tak so jati hy MAA,
tu kahin ja k thora sa sakun pati hy MAA,
Rooh k rishton ki ye gehrayn tu dekhye,
chot lagti hai hume or chilati hy MAA,
Mangti hy kuch nahe apny liye Allah sy,
Apnay bacho k liye daman ko phelati hai MAA,
Pyar kehtay hen kise or Mamta kya cheez hai,
koi un bachon se puche jin ke guzar jati hai MAA,
Chahe hm khushion me MAA ko bhul jaen dosto,
Jb musibat sr pe aati hai tu yaad aati hai MAA.



Neele neele amber par

Ghazal Shayari

Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera man tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye

Cham cham karta sawan
Bundon k baan chalaye
Satrangi barsaton main
Jab tan man bhiga jaye
Pyaar main nahane ko
Duub hi jane ko
Dil mera tarpaye
Khuwab jaga jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Neele neele amber par



Mohabbat chikhati rahi

Ghazal Shayari

Mohabbat chikhati rahi
Dil katra katra
Ruh ki tanhaiyon main rota raha
Aankheen tumara aks sajaye
Shabnam shabnam ro kar
Nadeyan bahati raheen
Hasarteen duub gayen
Khuwab jazere gham ka samandar ho gaye
Magar main phir bhi zinda houn
K main ne khud se naheen
Tumari amanat main khyanat ki
Tuj se kiye ahed ko pamal kiya
Tere khayal se zahen ko azaad kiya
Kyun ?
Yeh bhi tuj se keh na paoun gi
K tera dard sah na paoun gi
Is liye sare tufaan
Apni ruh main samete
Main apni maslehton ki dour se bandhi
Tareekh rahoon pe gamzen
Jane kis ghari
Koun se khad main
Mout k betah kunween main ja basoun



Dagh_e_dil humko

Ghazal Shayari

Dagh_e_dil humko
Yaad ane lage
Loog apne diye
Jalane lage

Khud frebi thi khud frebi hay
Paas k dhool bhi suhane lage

Ab to hota hay
Har qadam pe gumaan
Hum yeh kaisa qadam
Uthane lage

Aik pal main wahan se
Hum uthey
Bathne main jahan
Zamane lage

Apni kismat se hay
Mafar kis ko
Teer par urtye hi
Nishane lage
Dagh_e_dil humko
Yaad ane lage



Tere Honton pe Saj jaun DUAA

Ghazal Shayari

Tere Honton pe Saj jaun DUAA hone ko Jee chahe
Mera Dunya bhula kar bas Tera hone ko Jee chahe

Yun sab k samne Athkelyan karti hai ye Tujh se
K Mera Be-Irada hi HAWA hone ko Jee chahe

Tu Mere Roothne per is Tarha Mujh ko Manati Hai
Kabi to Be-Waja Tujh se Khafa hone ko Jee chahe

Kabi Tujh se mile bin Zindagi bekaar lagti hai
Kabi Tujh se Bicharne ko Juda hone ko Jee chahe?


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari