Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Kaisay kahun ke kiya ho TUM

Ghazal Shayari

Kaisay kahun ke kiya ho TUM
Chalo may bataon Kiya ho TUM
Meray leye mere Duniya ho TUM
Chho ke jo guzree wo Hawa ho TUM
May ne jo Maangee, Wo Duaa ho TUM
Karay Mujh ko jo Roshan, Wo Diya ho TUM
Dil yeh kahay mera Jiya ho TUM
Kiya may ne Mehsoos wo Ahsaas ho TUM
Mere Nazar ke Talash ho TUM
Mere Zameen ka Aakaash ho TUM
Meray Chehray ke Kashish ho TUM
Meray Sitaroon ke Gardish ho TUM
Mere Zindagi ka Qarar ho TUM
May ne jo Chaha wo PIYAR ho TUM
Meray Intezaar ke RAHAAT ho TUM
Meray DIL ki Chahat ho TUM
TUM ho to yeh Duniya hai MERE
Kaisey kaho ke Mere ?JAAN? ho TUM



Tum kaisi mohabbat karti ho

Ghazal Shayari

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab?.sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main?aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo?tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho



Ek hunar hai

Ghazal Shayari

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN

ajab ilzaam huuN zamaane kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN

tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN

kuu?e?jaanaaN meN sog barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN



MaiN is ummiid pe Duubaa

Ghazal Shayari

MaiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa
ab iske baad meraa imtihaan kyaa legaa

ye ek melaa hai, vaadaa kisii se kyaa legaa
dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa

maiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa
ko?ii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa

kalejaa chaahiye dushman se dushmanii ke liye
jo be-amal hai vo badlaa kisii se kyaa legaa

hazaar toRh ke aa jaauuN us se rishtaa ?Waseem?
maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa



gazal by Ahmad faraz

Ghazal Shayari

suna hai log usay aanh bhar kay daikhtay hai
so uskay shahar main kuch din thehar kay daikhtay hain

suna hai rabt hai usko kharab haloon say
so apnay ap ko barbad kar kay daikhtay hain

suna hai dard ki gahak hai chashmay naz us ki
so hum bhi uski gali say guzar ke daikhtay hain

suna hai us ko bhi hai shar-o-shairy say shagaf
so hum bhi mojzay apnay hunar ke daikhtay hain

suna hai bolay to batoon say phool jhartay hain
ye bat hai to chalo baat kar ke daikhtay hain

suna hai raat usay chand takta rehta hai
sitare bahme falaq se utar ke daikhtay hain

suna hai din ko usay titliyan satate hain
suna hai raat ko jugnu taher kay daikhtay hain.

suna hai us kay badan ki tarash aise hai
kay phool apni qabahain qatar kay daikhtay hain

suna hai us kay shbistan say mutassil hai bahisht
makeen udhar kay bhi jalway idhar kay daikhtay hain.

suna hai rukay to gardishain us ka tawaf karti hain
chalay to us ko zamanay tehar kay daikhtay hain

kisay naseeb kay bay perhan usay daikhay
kabhi kabhi daro dewaar ghar kay daikhtay hain

kahanian hi sahi sab mubalgay hi sahi
agar woh khuwab hai tabeer kar ke daikhtay hain

ab us kay shaher main tehrain ke kooj kar jain
faraz ao sitare safar kay dhaiktay hain



Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha

Ghazal Shayari

Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Thi Dari Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha
Soocha To Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsaas Magar Judda Judda Tha



Raat ko raat bhar dekhta

Ghazal Shayari

Raat ko raat bhar dekhta reh gaya,
bewafa se wafa maangta reh gaya

Aasman yun zamin par gira aur wo,
Usake ghar ka pata poochta reh gaya

Shownk jalne ka kab se hua tha use,
raakh me aag ko dhundta reh gaya

Saari duniya nazar saamne aa gayi,
haath me taash the, khelta reh gaya

khwaab chubhane lage aankh me is kadar,
toote shishon ko wo jodta reh gaya

Chalne wale uthe aur subah chal diye,
ek wo baithkar sochta reh gaya

paani se dosti bhi kari thi kabhi,
barf ki tarah wo tairata reh gaya

Raat ko raat bhar dekhta reh gaya,
bewafa se bawa maangta reh gaya



farz karo tum

Ghazal Shayari

farz karo tum chat per baithe apne baal sukhate ho
farz karo ke dhoop ka us din kuch kuch rang gulaabi ho
farz karo tum baithe baithe gehri soch mein kho jao
baal sukhana chor ke sar ghutnon pe rakh kar so jao
farz karo us neend mein tum ne dekha aisa sapna ho
be-kal ho kar man ye chahe kaash ye sapna apna ho
farz karo tum khat likhne ko kaghaz qalam uthate ho
khat likhne se pehle kaghaz ko khushboo khoob lagate ho
farz karo alqaab pe a kar qalam tumhara ruk jae
nazar tumhari dhak dhak karte dil ki janib jhuk jae
farz karo aik naam likho aur likh kar kato phir likho
farz karo sapne afsane khat ka naam muhabbat ho
farz karo hum donon ke dil aik hi saath dharakte hon
farz karo ye saari baatein FARZ na karni parti hon ..



vo to Khushbuu hai

Ghazal Shayari

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa



terii Khushbuu kaa pataa

Ghazal Shayari

terii Khushbuu kaa pataa karatii hai

terii Khushbuu kaa pataa karatii hai
mujh pe ehasaan havaa karatii hai

shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa karatii hai

dil ko us raah pe chalanaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa karatii hai

zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa karatii hai

us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
dil kaa ehavaal kahaa karatii hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa karatii hai

shaam pa.Date hii kisii shaKhs kii yaad
kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai

mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? karatii hai

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa karatii hai

abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa karatii hai

masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa karatii hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari