Ghazal Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.Ghazal Shayari Collection
Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.
Jo mere bass main hai uss se zeyada kya karna..
Ghazal Shayari
Jo mere bass main hai us se zeyada kya karna,
Safar to karna hai us ka iraada kya karna,
Bas ek rang hai dil main kisi ke hone se,
Ab apne-aap ko is se bhi saada kya karna,
Jab apni aag hi kaafi hai mere jeene ko,
To mehhr-o-maaah se bhi istifaada kya karna,
Tere labon ke sivaa kuch nahin mayassar,
So fikr-e-saghar-o-saaqi-o-baada kya karna,
Tamaam kashtiyan saahil pe hain abhi thehri,
Abhi se in ko jalane ka vaada kya karna..
Din kuch aese guzaarta hai koi..
Ghazal Shayari
Din kuch aese guzaarta hai koi,
Jese ehsaan utaarta hai koi,
Dil main kuch yuun sambhaalta hoon gham,
Jese zevar sambhaalta hai koi,
Aayina dekh kar tasalli hui,
Hum ko is ghar main janta hai koi,
Pairr pr pakk geya hai phal shayed,
Phir se pathar uchaalta hai koi,
Dair se goonjte hain sanaatte,
Jaise hum ko pukaarta hai koi..
Hansne wale ab aik kaam karen..
Ghazal Shayari
Hansne wale ab aik kaam karen,
Jashn-e-girya ka ehtimaam karen,
Hum bhi kar len jo raushni ghar main,
Phir andhere kahan qayaam karen,
Mujh ko mehrumi-e-nazara qubool,
Aap jalve na apne aam karen,
Aa chalen us ke dar pe ab ae dil,
Zindagi ka safar tamaam karen,
Hath uthta nahin hai dil se khumar,
Hum unhen kis tarah sallam karen..
Be-dili kya yuun hi din guzar jayen ge..
Ghazal Shayari
Be-dili kya yuun hi din guzar jayen ge,
Sirf zinda rahe hum to mar jaayen ge,
Raqss hai rang par rang hum-raqsss hain,
Sab bicharr jayen ge sab bikhar jayen ge,
Yeh kharabatiyan-e-khirad-bakhta,
Subh hote hi sab kaam pr jaayen ge,
Kitni dilkash ho tum, kitna dill-ju hoon main,
Kya sitam hai ke hum log mar jaayen ge,
Hai ghaneemat ke asrar-e-hasti se hum,
Bekhabar aaye hain, Bekhabar jaayen ge..
Agahi main ek khalaa maujood hai..
Ghazal Shayari
Agahi main ek khalaa maujood hai,
Is ka matlab hai khuda maujood hai,
Hai yaqeenan kuch magar vaazeh nahin,
Aap ki aankhon main kya maujood hai,
Bankpan main aur koi shai nahin,
Sadgi ki intihaa maujood hai,
Hai mukammal badshahi ki daleel,
Ghar main gar ik boriya maujood hai,
Shauqiya koi nahin hota ghalat,
Is main kuch teri razaa maujood hai,
Is liye tanha hoon main garm-e-safar,
Qaafile main rahnuma maujood hai,
Har mohabbat ke bina hai chashni,
Har lagan main mudaa.aa maujood hai,
Har jagah har sheher har iqlim main,
Dhoom hai us ki jo na-maujood hai,
Jis se chupna chahta hoon main adam,
Woh sitamgar ja-ba-ja maujood hai..
Thapaak thapaak ke jinhe hum sulaate rehte hain..
Ghazal Shayari
Thapakk thapakk ke jinhe hum sulaate rehte hain,
Woh khawb hum ko hamesha jagaate rehte hain,
Umeeden jaagti rehti hain soti rehti hain,
Dareeche shamaa jalaate bujhaate rehte hain,
Na jaane kis ka humen intezar rehta hai,
Ke baam-o-dar ko hamesha sajaate rehte hain,
Kisi ko dhoondte hain hum kisi ke paikar main,
Kisi ka chehra kisi se milaate rehte hain,
Woh naqsh-e-khawb mukammal kabhi nahin hota,
Tamaam umar jise hum banaate rehte hain,
Usi ka akss har ik rang main jhalakta hai,
Woh ek dard jis sab chupaate rehte hain,
Hamen khabar hai kabhi lat kar na ayen ge,
Gaye dinon ko magar hum bulaate rehte hain,
Yeh khel sirf tumhin khelte nahin ‘alam’,
Sabhi khalaa main lakeeren banaate rehte hain..
Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne..
Ghazal Shayari
Ganwayi kis tamanna main zindagi main ne,
Woh kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne,
Tera khayal to hai pr tera wajood nahin,
Tere liye to yeh mehfil sajaayi main ne,
Tere adam ko gavaara na tha wajood mera,
So apni bekh-kanni main kammi na ki main ne,
Hai meri zaat se mansuub sadd-fasaaana-e-ishqq,
Aur ek satar bhi ab tak nahin likhi main ne,
Khud apne ishvaa-o-andaaz ka shahid hoon main,
Khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne,
Mere hareef meri yakka-taziyon pe nisaar,
Tamaam umar haleefon se jangg ki main ne,
Kharashh-e-naghmaa se seena chhila hua hai mera,
Fughaan ki tark na ki naghma-parvari main ne,
Davaa se fayeda maqsuud tha hi kab ke faqat,
Davaa ke shauq main sehat tabaah ki main ne,
Zabaana-zan tha jigarr-sozz tishnagi ka azaab,
So jauf-e-seena mein unddail li main ne,
Suruur-e-maii pe bhi ghalib raha shaoor mera,
Ki har riyayet-e-ghamm zehn main rakhi main ne,
Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,
Tamaam umar jalaya hai apna jee main ne,
Ilaaj yeh hai ke majboor kar diya jaaon,
Wagarna yuun to kisi ki nahin suni main ne,
Raha main shahid-e-tanhaaa nashinn-e-masnadd-e-gham,
Aur apne karb-e-anaa se gharazz rakhi main ne..
Aayine se parda kar ke dekha jaye..
Ghazal Shayari
Aayine se pardah kar ke dekha jaye,
Khud ko itna tanhaa kar ke dekha jaye,
Hum bhi to dekhen hum kitne sache hain,
Khud se bhi ik vaada kar ke dekha jaye,
Deewaron ko chotta karna mushkil hai,
Apne qad ko uncha karke dekha jaye,
Raton main ik suraj bhi dikh jaye ga,
Har manzar ko ulta kar ke dekha jaye,
Dariya ne bhi tarsaya hai pyason ko,
Dariya ko bhi pyasa kar ke dekha jaye,
Ab ankhon se aur na dekha jaye ga,
Ab ankhon ko andha kar ke dekha jaye,
Yeh sapne to bilkul sache lagte hain,
In sapnon ko sacha kar ke dekha jaye,
Ghar se nikal kar jata hoon main roz kahan,
Ik din apna peecha kar ke dekha jaye..
Apne honton pe sajana chahta hoon..
Ghazal Shayari
Apne honton pe sajana chahta hoon,
Aa tujhe main gungunaana chahta hoon,
Koi aansuu tere daaman pr giraa kar,
Boond ko moti banaana chahta hoon,
Thak geya main karte karte yaad tujh ko,
Ab tujhe main yaad aana chahta hoon,
Chhaa raha hai sari bassti main andhera,
Roshni ko, ghar jalaana chahta hoon,
Aakhri hichki tere zaanon pe aaye,
Maut bhi main shayerana chahta hoon..
Ab bhala chorr ke ghar kya karte..
Ghazal Shayari
Ab bhala chorr ke ghar kya karte,
Shaam ke waqt safar kya karte,
Teri masrufiyaten jante hain,
Apne aanay ki khabar kya karte,
Jab sitaare hi nahin mil paaye,
Le ke hum shamss-o-qamar kya karte,
Woh musafir hi khuli dhoop ka tha,
Saaye phailaa ke shajar kya karte,
Khaak hi awwal o aakhir thehri,
Kar ke zaray ko gauhar kya karte,
Raaye pehle hi bana li tum ne,
Dil main ab hum tere ghar kya karte..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.