Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai..

Ghazal Shayari

pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai

Pyar ka pehla khat likhne main waqt to lagta hai,
Naye parindon ko urrne main waqt to lagta hai,

Jism ki baat nahin thi un ke dil tak jana tha,
Lambi doori tayy karne main waqt to lagta hai,

Gaanth agar lag jaye to phir rishte hon ya ddori,
Laakh karen koshish, khulne main waqt to lagta hai,

Hum ne ilaaj zakham-e-dil to dhoond liya lekin,
Gehre zakhmon ko bharnay main waqt to lagta hai..



Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa..

Ghazal Shayari

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aaa,
Aaa phir se mujhe chorr ke jaane ke liye aaa,

Kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh,
Tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aaa,

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to,
Rasm-o-raaah-e-duniyaaa hi nibhaane ke liye aaa,

Kis kis ko batayen ge judayi ka sabbab hum,
tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aaa,

Ik umar se hoon lazzat-e-girya se bhi mehroom,
Ae rahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aaa,

Ab tak dil-e-khush-fehm ko tujh se hain umeeden,
Yeh aakhri shamen bhi bujhaane ke liye aaa..



Tu mujh ko jo is sheher main laya nahin hota..

Ghazal Shayari

farhat ehsas poetry

Tu mujh ko jo is sheher main laya nahin hota,
Main be-saro-samaan kabhi ruswaa nahin hota,

Us ki to yeh aadat hai kissi ka nahin hota,
Phir is main ajab kya ke hamara nahin hota,

Kuch pairr bhi be-faiz hain is rahguzar main,
Kuch dhoop bhi aesi hai ke saaya nahin hota,

Khawbon main jo ik sheher bana deta hai mujh ko,
Jab aankh khuli ho to woh chehra nahin hota,

Kiss ki hai yeh tasveer jo banti nahin mujh se,
Main kis ka taqaaza hoon ke pura nahin hota,

Main sheher main kis shakhss ko jeene ki dua doon,
Jeena bhi to sab ke liye acha nahin hota..



Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki..

Ghazal Shayari

tamaam umar jale

Tamaam umar jale aur raushni nahin ki,
Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki,

Sitam to yeh hai ke mere khilaaf bolte hain,
Woh log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki,

Jo dil main aata geya sidq-e-dill se likhta geya,
Duaayen maangi hain main ne to shayari nahin ki,

Bass itna hai ke mera bakht dhal geya aur phir,
Mere charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki,

Meri sipaah se duniya larazne lagi hai,
Magar tumhari to main ne baraabri nahin ki,

Kuch is liye bhi akela sa ho geya hoon nadeem,
Sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki..



Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo..

Ghazal Shayari

safar main dhoop to hogi

Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo,
Sabhi hain bheerr main tum bhi nikal sako to chalo,

Kisi ke vaastay raahen kahan badalti hain,
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo,

Yahan kisi ko koi rasta nahin deta,
Mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo,

Kahin nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa,
Khud apne aap se bahar nikal sako to chalo,

Yehi hai zindagi kuch khawb, chand umeeden,
Inheen khilonon se tum bhi behal sako to chalo..



Andheron main bhatakna hai pareshani main rehna hai..

Ghazal Shayari

andheron main bhatakna hai

Andheron main bhatakna hai pareshani main rehna hai,
Main jugnuu hoon mujhe ik shab ki veerani main rehna hai,

Abhi kuch zabt ka yaara meri ankhon main baaqi hai,
Abhi ashkon ko palkon ki nigehbaani main rehna hai,

Jo manzar rubaru hai dekh luun ik baar jee bhar ke,
Phir is ke baad to aankhon ko hairaani main rehna hai,

Teri wehshat samajhta hoon ae meri aarzuu lekin,
Tujhe kuch din abhi is dil ki veerani main rehna hai,

Tu phir kyun laut kar har baar aa jati hai saahil pr,
Agar in kashtiyon ko umar bhar paani main rehna hai,

Issi umeed pr to kaat leen yeh mushkilen hum ne,
Ab is ke baad to ae ‘shaad’ aasaani main rehna hai..



Khoob guzre gi jo mil bethen ge deewane do..

Ghazal Shayari

khoob guzre gi jo mil bethen ge

Qaiss jungle main akela hai mujhe jaane do,
Khoob guzre gi jo mil bethen ge deewane do,

Laal doray teri ankhon main jo dekhe to khula,
Maii-e-gulll-rang se labrez hain paimaane do,

Thehro tevri ko charrhaye huye jaate ho kidar,
Dil ka sadqa to abhi sar se utar jaane do,

Hum bhi manzil pe pohanch jayen ge marte khapte,
Qaafila yaron ka jata hai agar jaane do,

Sakht-jaani se main aari hoon nihayet ae talkh,
Parr gaye hain teri shamsheer main dandaane do,

Vaaizon ko na kare mana naseehat se koi,
Main na samjhaaon ga kisi tarah se samjhaane do,

Ranj deta hai jo woh paas na jaao sayyah,
Maano kehne ko mere door karo jaane do..



Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi..

Ghazal Shayari

Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi,
Jazbaat main woh pehli si shiddat nahin rahi,

Sar main woh intezaar ka saudaa nahin raha,
Dil pr woh dharkanon ki hakoomat nahin rahi,

Kamzori-e-nigaaah ne sanjeeda kar diya,
Jalvon se cherr-chaarr ki aadat nahin rahi,

Chehre ko jhuriyon ne bhayaanak bana diya,
Aayina dekhne ki bhi himmat nahin rahi,

Allah jaane maut kahan mar gayi khumar,
Ab mujh ko zindagi ki zaroorat nahin rahi..

ایسا نہیں کہ ان سے محبت نہیں رہی - خمارؔ بارہ بنکوی



Saahil pe kharre ho, tumhe kya gham chale jana..

Ghazal Shayari

har zulm tera yaad hai

Saahil pe kharre ho, tumhe kya gham chale jana,
Main doob raha hoon, abhi dooba to nahin hoon,

Har zulm tera yaad hai, bhoola to nahin hoon,
Ae waaada-faraamosh main tujh saa to nahin hoon,

Chup-chaap sahee maslehatan waqt ke haathon,
Majboor sahi waqt se haara to nahin hoon,

Dil torra hai apnon ne to shikwa na karen ge,
Woh bhool gaye mujh ko, main bhoola to nahin hoon,

Muztar kyun mujhe dekhta rehta hai zamaana,
Deewana sahi, un ka tamaasha to nahin hoon..



Kahan tak jafaa husn walon ki sehtay..

Ghazal Shayari

zamana barre shauq se sun raha tha

Kahan tak jafaa husn walon ki sehtay,
Jawani jo rehti to phir hum na rehte,

Lahuu tha tamanna ka ansuu nahin thay,
Bahaye na jaate to hargiz na behtay,

Wafaa bhi na hota to acha tha wada,
Gharri do gharri to kabhi shaad rehtay,

Main jagoon ga kab tak woh soyen ge taa-kay,
Kabhi cheekh uthoon ga gham sehtay sehtay,

Bataate hain ansuu ke ab dil nahin hai,
Jo paani na hota to dariyaa na behtay,

Zamaana barre shauq se sun raha tha,
Hameen so gaye daastaan kehtay kehtay,

Koi naqsh aur koi deewaar samjha,
Zamaana hua mujh ko chup rehtay rehtay,

Meri naao is gham ke dariyaa main saqib,
Kinaaray pe aa hi lagi behtay behtay..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari