Islamic shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Islamic shayari Poetry. Feel free to add your own Islamic shayari Shayari here.

Islamic shayari Collection

Islamic shayari is loved by all muslims. Islamic shayari and Islamic poetry are common keywords to search poetry on islam. we keep our Islamic shayari collections fresh, so remember us whenever you like to read Islamic shayari.
People tend to search islamic poetries in the holy month of Ramadan, so its also called Ramadan Poetry.



tamam duniya ko tanha kafeel kafi hai

Islamic shayari

tamam duniya ko tanha kafeel kafi hai
khuda ke hone ki itni daleel kafi hai

hamari pyas ka mahvar tera madina hai
tamam tishna labon ko woh jheel kafi hai



Manaa lo ro ke rab ko iltijaa se..

Islamic shayari

Manaa lo ro ke rab ko iltijaa se,
Bacha le ga woh hum ko is wabaa se,

Dua hi kaam aati hai wahan phir,
Jo masla hall nahi hota dawaa se,

Gunahon se main ab bach kar rahoon ga,
Yeh vaada hai mera apne khuda se,

Khataa-karon ki pehli saff main hoon main,
Naheen mayuus par teri ataa se,

Hai satar maaon jesa pyar tera,
Humen mehfooz rakhna har balaaa se,

Tujhe tere nabi ka vaasta hai,
Karo bakhshish hamari har sazaa se,

Razzi, Husnain ka, Zahra, Ali ka,
Main sadqa mangta hoon Mustafa se.



Zameen-o-zamaan tumhare liye..

Islamic shayari

Zameen-o-zamaan tumhare liye, makeen-o-makaan tumhare liye,
Chaneen-o-chanaan tumhare liye, bane do jahaan tumhare liye,

Dehen main zabaan tumhare liye, badan main hai jaan tumhare liye,
Hum aaye yahan tumhare liye, uthain bhi wahaan tumhare liye,

Tumhari chamak, tumhari damak, tumhari jhalak, tumhari mehak,
Zameen-o-falak, samaak-o-samak main sikaa nishaan tumhare liye..



Kabhi aese haazri ho..

Islamic shayari

Kabhi aesi haazri ho,
Dar-e-mustafa pe meri,
Mere samne ho roza,
Mujhe maut aa rahi ho,
Kabhi aesi haazri ho,
Main khuda se maangta hoon,
Yeh duaa kasam khuda ki,
Mere dil main ho madina,
Mere lab pe ya nabi ho,
Kabhi aesi haazri ho,
Kahe maut jis dum mujh ko,
Tera waqt aakhri hai,
Meri rooh us waqt bhi,
Teri naat parrh rahi ho,
Kabhi aesi haazri ho,
Mera bhar de itna qaasa,
Ke kahoon na khud ko mangta,
Jo mili nahin kisi ko,
Mujhe bheek woh mili ho,
Kabhi aesi haazri ho,
Mere lab pe ya Muhammad,
Rahe bas khalish muzaffar,
Ho yehi mera waziifa,
Yehi meri bandgi ho,
Kabhi aesi hazri ho..

Watch Video



Tere hote janam liya hota..

Islamic shayari

Tere hote janam liya hota,
Koi mujh sa na duusra hota,

Saans leta tu aur main jee uthta,
Kash Makkah ki main fizaa hota,

Hijraton main parrao hota main,
Aur tu kuch dair ko ruka hota,

Tere hujray ke aas paas kahin,
Main koi kacha raasta hota,

Beech taayef bawaqt sang-zani,
Tere lab pe saji dua hota,

Kisi ghazway main zakhmi ho ke main,
Tere qadmon main aa gira hota,

Kash ohad main shareek ho sakta,
Aur baaqi na phir bacha hota,

Teri pakeeza zindagi ka main,
Koi gumnaam waqiya hota,

Paani hota udaas chashmon ka,
Tere qadmon pe behh geya hota,

Poda hota main jalte sehraa main,
Aur tere hath se laga hota,

Pairr hota khajoor ka main koi,
Jiss ka phall tu ne kha liya hota,

Tukrra hota main aik baadal ka,
Aur tere sath ghoomta hota,

Aasmaan hota main ehd-e-nabvi ka,
Tujh ko hairat se dekhta hota,

Bacha hota ghareeb bewa ka,
Sar teri gaud main chupa hota,

Rasta hota tere guzarne ka,
Aur tera rasta dekhta hota,

Main koi jangjuu arab hota,
Aur tere saamne jhuka hota,

But hi hota main Khana Kaaba main,
Jo tere hath se fanaa hota,

Main bhi hota tera ghulaam hota,
Lakh kehta na main rihaa hota,

Mujh pe parrti jo teri nazr-e-karam,
Aadmi kya mojzaa hota,

Chobh hota main teri chokhat ki,
Ya tere hath ka aassaa hota,

Khaak hota main teri galliyon ki,
Aur tere paaon choomta hota,

Soot hota main teri chaadar ka,
Aur tere shaanon pe jhoolta hota,

Mujh ko khaaliq banata ghaar “hassan”,
Aur mera naam bhi hira hota..



Zulf dekhi hai nazron ne ya ghatttaa dekhi hai.

Islamic shayari

Zulf dekhi hai nazron ne ya ghattaaa dekhi hai,
Arey lutt geya jis ne bhi Mohammad ki adaa dekhi hai,

Apne chehre ko na chupaana aye mere aaqa,
Ke baad muddat ke mareezon ne shifaa dekhi hai..



Madine main aesi fiza lag rahi hai..

Islamic shayari

Madine main aesi fiza lag rahi hai,
Ke jannat ki jesse hawaa lag rahi hai,

Madine pohanch kar zameen ko jo dekha,
Yeh jannat ka jese pata lag rahi hai..



Bazaar to sajaa diye milaad-e-mustafa ke waastey..

Islamic shayari

Bazaar to sajaa diye milaad-e-mustafa ke waastey,
Pegham-e-mustafa kya hai yeh hum ne bhula diya..



Toote huye rishte woh jorr deta hai..

Islamic shayari

Toote huye rishte woh jorr deta hai,
Baat apne rab per jo chorr deta hai,

Us ke lutf-o-karam ke kya kehne,
Laakhon maango crore deta hai..



Mitt jaye gunaahon ka tassawur hi jahan se..

Islamic shayari

Mitt jaye gunaahon ka tassawur hi jahan se Iqbal,
Agar ho jaye yakeen ke khuda dekh raha hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Islamic shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari