Latest Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Latest Shayari Poetry. Feel free to add your own Latest Shayari Shayari here.Latest Shayari Collection
Urdu Latest Shayari
Fasila hai mere un ke darmiyaan..
Latest Shayari
Naslo’n ka fasila hai mere un ke darmiyaan,
Iss waqt jin buto’n se mohabat huyi mujhe..
Kyon tark-e-mohabbat kar rahe ho..
Latest Shayari
Kyon tark-e-mohabbat kar rahe ho,
Mohabbat se zaroori kaam kya hai..?
Sadiyaan hain ke guzri hi chali jati hain..
Latest Shayari
Sadiyaan hain ke guzri hi chali jati hain Nazish,
Lamhey hain ke ik umar se chup chaap kharre hain..
Shayed tumhain bhi chain na aye mere baghair..
Latest Shayari
Shayed tumhain bhi chain na aye mere baghair,
Shayed yeh baat tum bhi gawaara na kar sako..
Shoq-e-safar kahan se kahan le geya hamain..
Latest Shayari
Shoq-e-safar kahan se kahan le geya hamain,
Hum jis ko chorr aye manzil wohi to thi..
Sunaa hai ab kisi se wafaa kar raha hai woh..
Latest Shayari
Sunaa hai ab kisi se wafaa kar raha hai woh,
Aye zindagi khushi se kahin mar na jaaon main..
Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch ker..
Latest Shayari
Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch ker dena,
Kisi ki aah lagne mein zara si dair lagti hai..
Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko..
Latest Shayari
Apne dil ke kisi koney main chupaa le mujh ko,
Aur zamane ki nigahon se bacha le mujh ko,
Maanti hoon ke meri zaat main hain aib tamam,
Phir bhi haar apne galey ka tu bana le mujh ko,
Main hoon tasveer teri raah main, koi rond na de,
Dil ke sheeshey main mohabbat se saja le mujh ko,
Main to heera hoon magar kis ko hai pehchan meri,
Pyar se barh ke tu hathon mein utha le mujh ko,
Us ke hote huye ab ban’na sanwarna kesa,
Apni chahat se kisi rang main dhaaley mujh ko,
Hijar ki dhoop main jalte huye ik muddat se,
Thak chuki hoon zara seene se laga ley mujh ko,
Zindagi mein aajey gi Sassi teri,
Jab bhi dil chahey tera pass bula le mujh ko..
Roshni leke bohat door khari hai dunya..
Latest Shayari
Roshni leke bohat door khari hai dunya,
Mujhse kehti hai tere pass to saya bhi nahin..
Ghareeb maan apne bachon ko bare pyar se
Latest Shayari
Ghareeb maan apne bachon ko bare pyar se yu’n manati hai,
Phir bana lain ge naye kapre yeh Eid to har saal ati hai..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Latest Shayari.