Tanhai Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Tanhai Shayari Poetry. Feel free to add your own Tanhai Shayari Shayari here.

Tanhai Shayari Collection

Tanhai Poetry is poetry on being lonely. People read Tanhai Poetry and Tanhai Shayari when they are left alone and feeling lonely. Tanhai Shayari is usually a bit depressing to read bit it lets you feel better.



Ruswai Hi Milegi

Tanhai Shayari

Pyar Kisi Se Jo Karoge Ruswai Hi Milegi
Wafa Kar Lo Chahe Jitni Bewafaai Hi Milegi
Jitna Marzi Kisi Ko Apna Bana Lo
Jab Ankh Khulegi Tanhai Hi Milegi



Abb Mohbbat Si Hogai Hai

Tanhai Shayari

Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai
Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai



Jaa Chuke Hain Sab

Tanhai Shayari

Jaa Chuke Hain Sab Aur Wahi Khamoshi Chaayi Hai
Pass Hain Har Oar Sannata, Tanhai Muskurai Hai



Tanha Kar Diya Mujh Ko

Tanhai Shayari

Us Nay Is Kadar Tanha Kar Diya Mujh Ko
Kay Ab Kise Ko Bhee Tanha Dekha Nahin Ja Ta



Saaz Tanha Awaaz Tanha

Tanhai Shayari

Saaz Tanha, Awaaz Tanha
Uske Bin Parwaaz Tanha
Uske Dil Ko Kya Pata Hai
Mere Dil Ke Raaz Tanha
Kaise Kar Payenge Ab
Ek Naya Aagaaz Tanha



Woh Bewafa Ho Jaata Hai

Tanhai Shayari

Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai
Sar Agar Jhukao To Sanam Khuda Ho Jaata Hai
Jabh Talak Kaam Aate Raho, Humsafar Kehlaate Raho
Kaam Nikal Jaane Par Humsafar, Koi Doosra Ho Jaata Hai
Gham Nahi Tha Humko Kabhi Zamaane Ki Ruswaaion Ka
Takleef Hoti Hai Jabh Koi Apna Khafa Ho Jaata Hai
Dil Ki Khalish Aksar Jaan Leva Ho Jati Hai Lekin
Dar-E-Dil Ek Hadh Ke Baad Dard-E-Dawa Ho Jaata Hai
Hara Bhara Hai Gulshan-E-Yaar, Yeh Bahar Ke Din Hai
Khizan Aane Par Dekho Ek Ek Patta, Kaise Juda Ho Jaata Hai
Yahi Sachchai Hai, Haqeeqat Hai, Yahi Dastoor-E-Zindagi Hai
Kuch Der Milte Hai Humraahi,Phir Aadmi Tanha Ho Jaata Hai



Na Tum Tanha

Tanhai Shayari

Na Tum Tanha, Na Mai Tanha!
Na Tum Tanha, Na Mai Tanha!
Is Jahan Mein Charo Taraf
Har Cheez Tanha, Har Shai Tanha!
Is Kainaat Ko Banaane Waala
Khuda Khud Bhi To Hai Tanha!
Na Tum Tanha, Na Mai Tanha!
Na Tum Tanha, Na Mai Tanha!



Mein Bhi Tanha

Tanhai Shayari

Wo Bhi Tanha, Mein Bhi Tanha
Bhir Mein Har Shaqs Tanha
Raat Ke Aagosh Mein
Kat Ta Hai Ab Waqt Tanha
Ungliyon Ko Yaad Hai Wo
Uske Haatho Ki Chuuan
Dhund Ke Chhat Jaane Pe
Dekha Apna Haath Tanha



Dasht-E-Tanhai Main

Tanhai Shayari

Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Teray Honton Kay Saraab
Dasht-E-Tanhai Main
Doori Ke Khas-O-Khak Talay
Khil Rahay Hain Tere Pehloo Ke Saman
Aur Gulab
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se
Teri Sanse Ki Aanch
Apne Khushboo Main Sulagti Houi
Madham Madham
Door Ufaq Paar Chamakti Hoi
Qatra Qatra
Gir Rahi Hai
Teri Dildar Nazar
Ki Shabnam
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Teri Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab
Is Qadar Pyar Se
Aye Jan-E-Jahan Rakha Hai
Dil Ke Rukhsar Pe
Is Waqt
Teri Yaad Ne Haath
Yoon Guman Hota Hai
Garche Hai Abhi Subh-E-Firaq
Dhal Bhi Gaya Hijr Ka Din
Aa Bhi Gaee Wasl Ki Raat
Dasht-E-Tanhai Main
Aye Jan-E-Jahan Larza Hai
Tere Aawaz Ke Saaye
Tere Hoanton Ke Saraab



Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!

Tanhai Shayari

Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya
Kia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Tanhai Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari