Tanhai Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Tanhai Shayari Poetry. Feel free to add your own Tanhai Shayari Shayari here.Tanhai Shayari Collection
Tanhai Poetry is poetry on being lonely. People read Tanhai Poetry and Tanhai Shayari when they are left alone and feeling lonely. Tanhai Shayari is usually a bit depressing to read bit it lets you feel better.
Manzile Bhi Uski Thi
Tanhai Shayari
Manzile Bhi Uski Thi Rasta Bhi Uska Tha
Ek Main Akela Tha, Kafila Bi Uska Tha
Sath–Sath Chalne Ki Soch Bi Uski Thi
Fir Raasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha
Chiraagon Ki Roshni
Tanhai Shayari
Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili
Laga Tumhari Ek Aahat Si Mili
Jaake Dekha Jab Dar Pe
To Phir Wahi Zaalim Hawa Mili
Har Raat Gum Tanhai
Tanhai Shayari
Har Raat Gum Tanhai
Har Sham Teri Yaad Ai
Jitna Tujhe Bhulana Chaha
Utni Ziyada Teri Yaad Ai
Tujh Se Koi Umeed Nahi Wabista
Is Dukh Se Ankh Bhar Ai
Logo Ne Pocha Ashko Ka Sabab
Bus Hamein Kehna Para TANHAI
Ehsas Bankar Ate Ho Tum
Tanhai Shayari
Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho Tum
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur Jate Ho Tum
Janty Ho K Lagta Hia Dar Tanhaiyo se
Phr Be Bar Bar Tanha Chor jate ho Tum
Geele Kagaz Ki Tarah
Tanhai Shayari
Geele Kagaz Ki Tarah Hain Zindagi Apni
Koi Jalata Bhi Nahin Koi Bahata Bhi Nahin
Is Qadar Hain Akale Rahaon Mein Dil Ki
Koi Bulata Bhi Nahi Koi Batlata Bhi Nahin
Dard Me Koi Mausam
Tanhai Shayari
Dard Me Koi Mausam Pyaara Nai Hota
Dil Ho Pyasa To Pani Se Guzara Nai Hota
Koi Dekhe To Hamari Bebassi
Hum Sab Ke Ho Jate Par Koi Hamara Nahi Hota
Mein Tanhai Kyu Hai ?
Tanhai Shayari
Is Do Pal Ki Zindagi Mein Tanhai Kyu Hai ?
Logon Ko Humse Ruswai Kyu Hai ?
Is Duniya Mein Insane Kam To Nahin
Phir Mere Saath Sirf Meri Parchai Kyu Hai
Udasi Samayi Hai
Tanhai Shayari
Aaj Fir Dil Mein Udasi Samayi Hai
Jaane Kyun Ek Mayusi Si Chhayi Hai
Aaj Fir Palkon Pe Pani Hai
Bheer Mein Hoon Fir Kyun Ye Tanhai Hai
Phool Khila Kartay Thay
Tanhai Shayari
Hum Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Man Me Hi Chup Chaap Phira Kartay Thay
Aankhon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Tufan Utha Kartay Thay
Sach Samajhte Thay Teri Muhobbat Ko
Dil Main Kya Phool Khila Kartay Thay
Ghar Ki Dewaar Sajaanay Ki Khaatir
Ham Tera Naam Likha Kartay Thay
Kal Tujhay Daik Kar Yaad Aaya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Kartay Thay
Udaas Muskurahaton Ke Peeche
Tanhai Shayari
Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Tanhai Shayari.