Umeed Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Umeed Shayari Poetry. Feel free to add your own Umeed Shayari Shayari here.Umeed Shayari Collection
Kabhi toot ke bikhra nahin karte
Umeed Shayari
Rakhte hain jo auron ke liye pyar ka jazba
Woh log kabhi toot ke bikhra nahin karte…
Kaashh…
Umeed Shayari
Khuda Kary Key Saari Umar Mujhe Manzil Na Mile
Bari Mushkil Se Wo Raazi Hua Hai Sath Chalny Ko
Na koi Umeed
Umeed Shayari
teray aanay ki to umeed thi na koi gumaan
jany kis aas pe ye nain subha tak jagay
Taaron me akela chaand
Umeed Shayari
Taaron me akela chaand jagmagata hai,
Muskilon me akela insaan hi dagmagata hai,
Kaanto se mat ghabrana mere dost,
Kyuki kaanton me hi ek gulaab muskurata hai..
Mujhy jeenay ki umeed dobara day do
Umeed Shayari
Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,
Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,
Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,
Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,
Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do
mujh pay ehsaan hawa karti hai
Umeed Shayari
teri khushbu ka pataa karti hai,
mujh pay ehsaan hawa karti hai,
shab ki tanhai mei ab to aksar,
guftagu tujh say raha karti hai,
dil ko us raah pay chalna hee nahi,
jo mujhay tujh say juda karti hai,
zindagi meri thee lekin ab to,
teray kehnay mei raha karti hai,
us nay dekha he nahi warna yeh aankh,
dil ka ehwaal kaha karti hai,
shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad,
koocha e jaan mei sadaa karti hai.
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Umeed Shayari
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh soch ke nikla tha ke mar jana hai
Umeed Shayari
Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai
Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai
Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar
Mei yehi soch k zinda hon k Mar jana hai
Nasha aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai
Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbay ko mere sath he mar jana hai…….
Aa bhii jaao kii zindagii kam hai
Umeed Shayari
Aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahi ho to har Khushii kam hai
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahi
shahar mein aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chandani kam hai
ainaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Umeed Shayari
Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai
Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Umeed Shayari.