Amjad Islam Amjad
Ranjish.com has lots of Urdu Amjad Islam Amjad Poetry. Feel free to add your own Amjad Islam Amjad Shayari here.Amjad Islam Amjad Collection
![]() |
Amjad Islam Amjad 1944 |
Amjad Islam Amjad is one of the best poets the world has ever seen. Amjad Islam Amjad Poetry is very popular among middle aged people. has come up with lots of poetry books. We will be trying to bring all of Amjad islam amjad’s poetry books in text format here so you can enjoy reading his poetry online. His poetry books include Fishar, Barzakh, Us par, Satwan dar, and Zara phir say kehna.
Ranjish.com is the ultimate place for Amjad Islam Amjad Poetry fans.
Sitaron ko badalna chahate hain..
Amjad Islam Amjad
Sitaron ko badalna chahate hain
Tare ham rah chalna chahte hain
Bohat barhaq sahe, paste hamare
Magar ab ham sanbhalna chahte hain
Sehar jase bhe ho, pher bhe sehar he
Shab-e-gum se nikalna chahte hain
Chaton se barf rokhsat ho rahe he
Ye mosam ab badalna chahte hain
Mehakte shokh jazbon ke tarha ham
Tare dill men machalna chahte hain
Nahe rokte same ke teez andhe
Deye to kab se jalna chahte hain
Koi bhi aadmi poora nahin hai
Amjad Islam Amjad
Koi bhi aadmi poora nahin hai,
Kahin aankhen, Kahin chehra nahin hai..
Kya kya hamare khawb they, jane kahan pe kho gaye..
Amjad Islam Amjad
Kya kya hamare khawb they, jane kahan pe kho gaye,
Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye,
Jane woh kyon they, Kaun they? aaye they kis liye yahan,
Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik ddho gaye,
Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf,
Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye,
Katne se aur barhti hai uthey huye sarun ki fassal,
Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye,
Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha,
Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye,
Ankhon mein bhar ke rut jage, Raston ko de ke duriyan,
Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye…
Hum nahin kehte hamari, Teri dunya ho jaye…
Amjad Islam Amjad
Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,
Ishq woh “turfa-balaa” hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,
Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye,
Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye,
Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,
Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,
Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye..
Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye
Amjad Islam Amjad
Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,
Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,
Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,
Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,
Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…
Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
Amjad Islam Amjad
Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai
Us tak ati hai to har chiz thahar jati hai
Jaise pana hi use asl main mar jana hai
Bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
Dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai
Kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke
Us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai
Main khila hun to isi khak main milna hai mujhe
Vo to khushbu hai use agle nagar jana hai
Vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil
Har musafir ko isi ghat utar jana hai
(Besimt:No Direction)(Mahatab:Moon)(Ubharte:Rising)(Ghat Utar:Go Through)
Wo Bewafa Acha Laga
Amjad Islam Amjad
Bheerh Main Ik Ajanabii Kaa Samna Achcha Lagaa
Sab Se Chup Kar Vo Kisii Kaa Dekha Achcha Laga
Surmai Ankhon Ke Niiche Phool Se Khilane Lage
Kahate Kahate Kuchh Kisii Kaa Sochna Achcha Lagaa
Baat To Kuchh Bhii Nahin Thii Lekin Us Kaa Ek Dam
Haath Ko Honthon Pe Rakh Kar Rokna Achcha Lagaa
Chaay Main Chinii Milaana Us Gharii Bhaya Bahut
Zer-E Lab Vo Muskurata Shukriyaa Achcha Lagaa
Dil Main Kitane Ahad Bandhe The Bhulane Ke Use
Vo Milaa To Sab Iraade Torana Achcha Lagaa
Beirada Lams Kii Vo Sansanii Pyarii Lagii
Kam Tavajjo Aankh Kaa Vo Dekhna Achcha Lagaa
Niim Shab Kii Khamushi Main Bhiigatii Sarakon Pe Kal
Terii Yaadon Ke Jaalo Main Ghumna Achcha Lagaa
Us Uduu-E-Jaan Ko ‘Amjad’ Main Buraa Kaise Kahoon
Jab Bhii Aayaa Saamane Vo Bevafaa Achcha Lagaa
Tery Naam se Pehly
Amjad Islam Amjad
Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Diloan Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle
Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle
Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle
Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut-Te Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle
Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle
Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad IhtiyataN Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
Amjad Islam Amjad
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai
savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai
samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai
sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai
ye basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai
kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai
dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai
main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai
jo koi sun sake ?Amjad? to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai
Jo Zakham tu ne Diye
Amjad Islam Amjad
jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain
charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain
yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust
sarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain
nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main
siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain
ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo
khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain
najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey!
nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain
yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat
charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain
darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjad
kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain.
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Amjad Islam Amjad.