Iftikhar Arif

Ranjish.com has lots of Urdu Iftikhar Arif Poetry. Feel free to add your own Iftikhar Arif Shayari here.

Iftikhar Arif Collection

Iftikhar Arif Iftikhar Arif
1940-

Iftikhar Arif is a famous Pakistani poet who currently resides in Islamabad. His poetry books are “Mehr-i-Doneem”, “Harf-i-Baryab” and “Jahan-e-Maloom”.
Iftikhar Arif has received various awards like Hilal-i-Imtiaz, Sitara-e-Imtiaz and Pride of Performance.
Ranjish.com is the best place to read Iftikhar Arif Poetry.



Ik umar chale aur ghar nahin aya..

Iftikhar Arif

Azaab yeh bhi kisi aur pr nahin aya,
Ke ik umar chale aur ghar nahin aya,

Is ek khawb ki hasrat main jal bujhi ankhen,
Woh ek khawb ke ab tak nazar nahin aya,

Karen to kis se karen na-rasayion ka gila,
Safar tamaam hua hamsafar nahin aya,

Dilon ki baat badan ki zubaan se keh dete,
Yeh chahte thay magar dil idar nahin aya,

Ajeeb hi tha mere daur-e-gumraahi ka rafiq,
Bicharr geya to kabhi laut kar nahin aya..

عذاب یہ بھی کسی اور پر نہیں آیا - افتخار عارف



Bassti bhi samandar bhi bayabaan bhi mera hai..

Iftikhar Arif

Bassti bhi samandar bhi bayabaan bhi mera hai

Bassti bhi samandar bhi bayabaan bhi mera hai,
Aankhen bhi meri khawb-e-pareshaan bhi mera hai,

Jo doobti jaati hai woh kashti bhi meri hai,
Jo toota jaata hai woh paimaaan bhi mera hai

Jo haath uthe the woh sabhi haath they mere,
Jo chaak hua hai woh girebaaan bhi mera hai,

Jis ki koi awaz na pehchaan na manzil,
Woh qaafila-e-be-sar-o-samaan bhi mera hai,

Vaaraftagi e subh-e-bashaarat ko khabar kya,
Andhesha e sad-e-shaam-e-ghareeeban bhi mera hai,

Main waaris-e-gul hoon ke nahin hoon mgar aye jaan,
Khamyaaza e toheen-e-baharaan bhi mera hai,

Mitti ki gawaahi se barri dil ki gawaahi,
Yuun ho to yeh zanjeer yeh zindaan bhi mera hai..



Ehl-e-mohabbat ki majboori barhti jati hai..

Iftikhar Arif

Ehl-e-mohabbat ki majboori barhti jati hai,
Mitti se gulaab ki doori barhti jati hai,

Mehraabon se mehal-saraa tak dheron-dhair chiraagh,
Jalte jaate hain be-noori barhti jati hai,

Kaarobaar mein ab ke khasaara aur tarah ka hai,
Kaam nahin barhtaa mazdoori barrhti jaati hai,

Jaise jaise jism tashaffi paata hai,
Waise waise qalb se doori barrhti jati hai,

Girya-e- neem-shabbi ki naymat jab se bahaal huyi,
Har-lehzaa umeed-e-huzoori barhti jaati hai..



Rang tha roshni tha qaamat tha..

Iftikhar Arif

Rang tha roshni tha qaamat tha,
Jis pe hum mar mitte qayaamat tha,

Khush-jamaalon main dhoom thi apni,
Naam uss ka bi wajah-e-shohrat tha,

Paas-e-awaargi humen bhi bohat,
Us ko bhi aitraaf-e-wehshat tha,

Hum bhi takraar ke na they huugar,
Woh bhi na-aashnaaye hujjat tha,

Khawb tabeer ban ke aaye they,
Kya ajjab mausam-e-rafaaqat tha,

Apne lehje ka baank-pan saara,
Us ke pindaar ki amaanat tha,

Us ke kundan badan ka roop saruup,
Hussn-e-ehsaas ki badolat tha,

Aik ik saans qurbaton ka gawaah,
Har nafss lamhaa ghaneemat tha,

Aur phir yuun hua ke toot geya,
Woh jo ik rishtaa mohabba tha..



Azaab yeh bhi kisi aur par nahin aya..

Iftikhar Arif

azaabyehbhikisiaurparnahinaya
(na’rasayiyon;inaccessible, rafiq;a friend)



Zara si der ko aaye the khawb aankhon mei

Iftikhar Arif

Zara si der ko aaye the khaawb aaNkhoN mei
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mei

Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
Khattak rahaa hai wohi aaftaab aaNkhoN mei

Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mei

Ajab tarah ka hai mausam K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mei

Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mei

Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mei



Jee chahta hai

Iftikhar Arif

khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai

ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai

dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai

kabhi mil jaye to raste ki thakan jag pare
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai

wahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Iftikhar Arif.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari