Jigar Moradabadi

Ranjish.com has lots of Urdu Jigar Moradabadi Poetry. Feel free to add your own Jigar Moradabadi Shayari here.

Jigar Moradabadi Collection

Jigar Moradabadi Poetry Jigar Moradabadi
1890-1960

Jigar Moradabadi was a famous Urdu poet from Moradabad, India. His real name was Ali Sikandar but opted to use Jigar Moradabadi as his pen name. He lost his father in his early childhood, which is thought to be the reason behind him choosing urdu poetry as his career.
Jigar Moradabadi was mentor to a famous urdu poet and songwriter Majrooh Sultanpuri.
Ranjish.com is the ultimate place to read Jigar Moradabadi Poetry.



Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal..

Jigar Moradabadi

Ibtidaa woh thi ke jeena tha mohabbat main muhaal,
Intehaa yeh hai ke ab marnaa bhi mushkil hai..



Dil main kisi ke raah kiye ja raha hoon main..

Jigar Moradabadi

Dil main kisi ke raah kiye ja raha hoon main,
Kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main,

Duniya-e-dil tabah kiye ja raha hoon main,
Sarf-e-nigaah-o-aah kiye ja raha hoon main,

Fard-e-amal siyah kiye ja raha hoon main,
Rehmat ko be-panaah kiye ja raha hoon main,

Aisi bhi ik nigaah kiye ja raha hoon main,
Zarron ko mehr-o-maah kiye ja raha hon,

Mujh se lage hain ishq ki aszmat ko chaaar-chaaand,
Khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main,

Daftar hai ek maani-e-be-lafzz-o-saut ka,
Saada si jo nigaah kiye ja raha hoon main,

Uthti nahin hai ankh magar us ke rubaru,
Nadeeda ik nigaah kiye ja raha hoon main,

Gulshan-parast hoon mujhe gul hi nahin aziz,
Kaanton se bhi nibaah kiye ja raha hoon main,

Yuun zindagi guzaar raha hoon tere baghair,
Jaise koi gunaah kiye ja raha hoon main,

Mujh se adaa hua hai ‘jigar’ justuju ka haq,
Har zaray ko gawaah kiye ja raha hoon main..



Ishq ko be-naqaaab hona tha..

Jigar Moradabadi

jigar moradabadi poetry

Ishq ko be-naqaaab hona tha,
Aap apna jawaab hona tha,

Masst-e-jaaam-e-sharaaab hona tha,
Be-khudd-e-izztiraab hona tha,

Teri ankhon ka kuch qasoor nahin,
Haan mujhi ko kharaab hona tha,

Aao mil jaao muskura ke gale,
Ho chuka jo itaab hona tha,

Kuchaaa-e-ishq main nikal aaya,
Ji ka khaana-kharab hona tha,

Hum ne nakaamiyon ko dhoond liya,
Aaakhrish kaamyaab hona tha,

Haaye woh lamhaaa-e-sukooon ke jisse,
Mehshhar-e-iztiraab hona tha,

Nigaaah-e-yaaar khud tarrap uthi,
Shartt-e-awwall kharaab hona tha,

Kyun na hota sitam bhi be-payan,
Karamm-e-behisaab hona tha,

Kyun nazar hairaton main doob gayi,
Maujj-e-sadd-iztiraab honaa tha,

Ho chukaa rozz-e-avvaleen hi ‘jigar’,
Jis ka jitna kharaab hona tha..



Barabar se bach ke guzar jaane wale..

Jigar Moradabadi

Barabar se bach ke guzar jaane wale,
Yeh naaley nahin be-assar jaane wale,

Nahin jaante kuch ke jaana kahan hai,
Chale ja rahe hain magar jaane wale,

Mere dil ki betaabiyan bhi liye ja,
Dabbay-paaon muh phair kar jaane wale,

Tere ik ishaare pe sakit kharre hain,
Nahin keh ke sab se guzar jaane wale,

Mohabbat main hum to jiye hain, jiyen ge,
Woh hon ge koi aur mar jaane wale..



Kuch iss adaa se aaj woh pehlu-nasheen rahe..

Jigar Moradabadi

Kuch iss adaa se aaj woh pehlu-nasheen rahe,
Jab tak hamare paas rahe, hum nahin rahe,

Jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar,
Aye ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe,

Mujh ko nahin qabool do aalam ki vusaten,
Qismat main kuu-e-yaar do guzz zameen rahe..



Duniya ke sitam yaad na apni hi wafaa yaad..

Jigar Moradabadi

Duniya ke sitam yaad na apni hi wafaa yaad,
Ab mujh ko nahin kuch bhi mohabbat ke siva yaad,

Main shikwa ba-lab tha mujhe yeh bhi na raha yaad,
Shayed ke mere bhoolne waale ne kiya yaad,

Chairrra tha jisse pehle pehal teri nazar ne,
Ab tak hai woh ik naghma-e-be-saaz-o-sadaa yaad,

Kyaa janiye kya ho geya arbab-e-junoon ko,
Marne ki adaa yaad na jeene ki adaa yaad,

Muddat huyi ik haadsa-e-ishq ko lekin,
Ab tak hai tere dil ke dharrakne ki sadaa yaad,

Haan haan tujhe kya kaam mere shiddat-e-gham se,
Haan haan nahin mujh ko tere daaman ki hawaa yaad,

Kya lutf ke main apna pataa aap bataaon,
Keeje koi bhooli hui khaas apni adaa yaad…



Aadmi aadmi se milta hai..

Jigar Moradabadi

Aadmi aadmi se milta hai,
Dil magar kamm kisi se milta hai,

Bhuul jata hon main sitam us ke,
Woh kuch iss saadgi se milta hai,

Aaj kya baat hai ke phoolon ka,
Rang teri hanssi se milta hai.

Silsila fitna-e-qayamat ka,
Teri khush-qaamati se milta hai,

Mil ke bhi jo kabhi nahin milta,
Toott kar dil ussi se milta hai,

Karobaar-e-jahan sanvarte hain,
Hosh jab be-khudi se milta hai..



Aadat ke baad dard bhi dene laga maza.

Jigar Moradabadi

Aadat ke baad dard bhi dene laga maza,
Hanss hanss ke aah aah kiye ja raha hon main..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jigar Moradabadi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari