Khalid Nadeem Shani
Ranjish.com has lots of Urdu Khalid Nadeem Shani Poetry. Feel free to add your own Khalid Nadeem Shani Shayari here.Khalid Nadeem Shani Collection
Khalid Nadeem Shani is a prominent Urdu poet from Pakistan. Known for his ghazal “Gham zeyada hain lifafe main nahin ayen ge”.
tumhara hijr manaya to main akela tha
Khalid Nadeem Shani
tumhara hijr manaya to main akela tha
junoon ne hashr uthaya to main akela tha
dayaar -e- khawb tha, tum they, tamam duniya thi
kisi ne aa ke jagaya to main akela tha
koi hussaini na nikla mere rafeeq-on se
dia bhuja ke jalaya to maine akela tha
tumhara hath nahin tha, woh mauj -e- girya thi
meri samajh main jab aya to main akela tha
dayaar -e- ghair gaya tha main khushi-yan lane ko
palaTt ke gaaon jab aya to main akela tha
kahan se ayi hai akhir teri talab mujh main
mujhe khuda ne banaya to main akela tha
baat darasal woh nahin thi yaar
Khalid Nadeem Shani
baat darasal woh nahin thi yaar
woh magar kitni dilnasheen thi yaar
mera baTtwa kidhar gaya akhir
meri ainak yahin kahin thi yaar
khawb rakhe they jis jagah maine
neend rakhi hui wahin thi yaar
jab talak baap mera zinda tha
mere qadam-on taley zameen thi yaar
Lipatt ke soch ki neendain haram karti hai..
Khalid Nadeem Shani
lipatt ke soch ki neendain haraam karti hai,
tamaam shab teri hasrat kalaam karti hai,
hum hi woh ilm ke roshan charagh hain jin ko,
hawaa bujhati nahi hai salaam karti hai,
kisi bhi taur sikhati nahi hai azaadi,
mere huzoor, mohabbat ghulaam karti hai,
yeh sar ba-sajda kaha naik-dil tawaif ne,
khudaya shukar ke beti bhi kaam karti hai.
Khat ke choTte se tarashe main nahin ayen ge..
Khalid Nadeem Shani
Khat ke choTte se tarashe main nahin ayen ge,
Gham zeyada hain lifafe main nahin ayen ge,
Hum na majnoon hain, na farhaad ke kuch lagte hain,
Hum kisi dasht tamashe main nahin ayen ge,
Us ki kuch khair khabar ho to batao yaaro,
Hum kisi aur dilaase main nahin ayen ge,
Mukhtasar waqt main yeh baat nahin ho sakti,
Dard itne hain khulaase main nahin ayen ge,
Jis tarah ap ne beemar se rukhsat li hai,
Saaf lagta hai janaaze main nahin ayen ge..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Khalid Nadeem Shani.