Meer Taqi Meer

Ranjish.com has lots of Urdu Meer Taqi Meer Poetry. Feel free to add your own Meer Taqi Meer Shayari here.

Meer Taqi Meer Collection

Mir Taqi Mir Meer Taqi Meer
1722-1810

Mir Taqi Mir was an influential Indian poet who gave shape to Urdu language and literature. He is well known as God of Poetry because of his reputation among poetry lovers. He was born in Agra, but later moved to Lucknow where he lived the rest of his life.
Mir’s collection of poetry has been published with the name of “Kulliyat-e-Mir” which consists of six volumes. Another book, which only consists Poems has also been published called “Kulliyat-e-Farsi”. One of his poem with the title of “Muamlat-e-Ishq” is known to be one of the best Urdu poems of all time.

Keep visiting us for more Mir Taqi Mir Poetry.



Aag thay ibtidaa-e-ishq main hum..

Meer Taqi Meer

Aag thay ibtidaa-e-ishq main hum,
Ab jo hain khaak inteha yeh hai..



Ulti ho gayi sab tadbeeren kuch na dawaa ne kaam kiya..

Meer Taqi Meer

Ulti ho gayi sab tadbeeren kuch na dawaa ne kaam kiya,
Dekha is beemari-e-dil ne akhir kaam tamaam kiya..



Ab jo ik hasrat-e-jawani hai..

Meer Taqi Meer

Ab jo ik hasrat-e-jawani hai,
Umar-e-rafta ki yeh nishani hai..



Rote phirte hain sari sari raat..

Meer Taqi Meer

Rote phirte hain sari sari raat,
Ab yehi rozgaar hai apna..



Jo is shor se meer rota rahe ga..

Meer Taqi Meer

Jo is shor se meer rota rahe ga,
To hamsaya kaahe ko sota rahe ga,

Main woh rone wala jahan se chala hoon,
Jise abr har saal rota rahe ga,

Mujhe kaam rone se aksar hai naseh,
Tu kab tak mere muh ko dhota rahe ga,

Bas ae girya ankhen teri kya nahin,
Kahan tak jahan ko dubota rahe ga,

Mere dil ne woh naala paida kiya hai,
Jaras ke bhi jo hosh khota rahe ga,

Tu yuun gaaliyan ghair ko shauq se de,
Hamen kuch kahe ga to hota rahe ga,

Bas ae meer mizhgan se ponch aansuon ko,
Tu kab tak yeh moti pirota rahe ga..

جو اس شور سے میرؔ روتا رہے گا - میر تقی میر



Aage aage dekhiye hota hai kya..

Meer Taqi Meer

aage aage dekhiye hota hai kya

Raah-e-duur-e-ishq main rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya,

Qaafile main subh ke ik shor hai,
Yaani ghaafil hum chale sota hai kya,

Sabzz hoti hi nahin yeh sarzameen,
Tukhm-e-khawish dil main tu bota hai kya,

Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daaagh chaati ke abass dhota hai kya,

Ghairat-e-yusuf hai yeh waqt-e-aziz,
Meer is ko raayegan khota hai kya..



Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai meer..

Meer Taqi Meer

woh tujh ko bhoole hain

Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai meer,
Khaak daal, aag laga, naam na le, yaad na kar..



Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya..

Meer Taqi Meer

Ultii ho gayin sab tadbeeren kuch na davaa ne kaam kiya,
Dekha iss beemari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya,

Ehed-e-jawani ro ro kaata, peeri main li aankhen muund,
Yaani raat bohat they jaage subh hui araam kiya,

Naahaq hum majbooron pr yeh tohmat hai mukhtaari ki,
Chahte hain so aap karen hain hum ko abass badnaam kiya,

Meer ke deen-o-mazhab ko ab poochte kya ho us ne to,
Qashqaa kheencha dair main betha kab ka tark islam kiya..



Faqiraana aaye sadaa kar chale..

Meer Taqi Meer

Faqiraana aaye sadaa kar chale,
Mian khush raho hum duaa kar chale,

Jo tujh bhi na jeene ko kehte they hum,
So us ehd ko ab wafaa kar chale,

Shifaa apni taqdeer hi mei na thi,
Ke maqduur tak to dawaa kar chale,

Parre aese asbaab paayaan-e-kaar,
Ke na-chaaar yun hi jalaa kar chale,

Woh kya cheez hai aah jiss ke liye,
Har aik cheez se dil uthaa kar chale,

Koii na-umeedana karte nigaah,
So tum hum se muun bhi chupa kar chale,

Bohat aarzuu thi gali ki teri,
So yaan se lahuu mei nahaa kr chale,

Dikhaayi diye yuun ke be-khud kiya,
Hamen aap se bhi judaa kar chale,

Jabeen sajdaa karte hi karti gayi,
Haq-e-bandagi hum adaa kar chale,

Parastish ki yaan tak ke aayi buut tujhe,
Nazar me sabhon ki khudaa kar chale,

Jhadde phuul jis rang gulbun se yuun,
Chaman mei jahaan ke hum aa kar chale,

Na dekha gham-e-dostaan shukr hia,
Hamiin daagh apna dikhaa kar chale,

Gayi umar dar-band-e-fikr-e-ghazal,
So is fun ko aisaa barra kar chale,

Kahen kya jo puuche koii hum se “mir”,
Jahan mei tum aaye they kya kar chale..



Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai..

Meer Taqi Meer

Woh tujh ko bhoole hain to tujh pe bhi laazim hai Meer,
Khaak daal, aag lagaa, naam na le, yaad na kar..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Meer Taqi Meer.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari