Nasir Kazmi

Ranjish.com has lots of Urdu Nasir Kazmi Poetry. Feel free to add your own Nasir Kazmi Shayari here.

Nasir Kazmi Collection

Nasir Kazmi
1925-1972

Nasir Kazmi Poetry and his poetry books are here for our readers to read and enjoy. Nasir Kazmi was born in Karachi. Nasir Kazmi Shayari is very popular in Pakistan and India because he always kept his shayari as simple as possible and that made it very easy for poetry lovers to understand.



Sheher sunsaan hai kidar jaayen..

Nasir Kazmi

Sheher sunsaan hai kidar jaayen,
Khaak ho kar kahin bikhar jayen,

Raat kitni guzar gayi lekin,
Itni himat nahin ke ghar jayen,

Yoon tere dheyaan se laraztaa hoon,
Jaise patey hawaa se ddar jayen,

Un ujaalon ki dhun main phirta hoon,
Chhab dikhate hi jo guzar jayen,

Rein andheri hai aur kinaara door,
Chaand nikle to paar utar jayen..



Aaj to be’sabbab udaas hai jee..

Nasir Kazmi

Aaj to be’sabbab udaas hai jee,
Ishq hota to koi baat bhi thee..



Gaye dinon ka suragh le ker, kidhar se aya kidar geya woh..

Nasir Kazmi

Gaye dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidar geya woh

Gaye dinon ka suraagh le kar, kidar say aaya kidar geya woh,
Ajeeb maanuuss ajnabi tha, mujhe to hairaan kar geya woh,

Bas aik moti si chhabb dikha kar, bas aik meethi see dhun suna kar,
Sitara-e-sham ban ke aaya, ba-rang-e-khwab-e-sehr geya woh,

Khushi ki rut ho ke gham ka mausam, nazar usse dhoondti hai har damm,
Woh buu-e-gul tha ke naghma-e-jaan, mere to dil mein utar geya woh,

Nah abb woh yaadon ka charhta darya, na abb fursaton ki udaas barkhaa,
Younhi kassak hai zara si dil mein, jo zakhm gehra tha bhar geya woh,

Shikasta-paa raah mein khara hoon, gaye dinon ko bula raha hoon,
Jo qaafla mera humsafar tha, misal-e-gard-e-safar geya woh,

Woh mai-kade ko jagane wala, who raat ki neend urrane wala,
Yeh aaj kya uss ke jee main aayi, ke shaam hote hi ghar gaya woh,

Woh hijr ki raat ka sitara, who humnafas, hum-sukhan hamara,
Sadaaa rahey naam uska pyara, suna hai kal raat mar gaya woh,

Woh jiss kay shaane pe haath rakh kar, safar kiya tu ne manzilon ka,
Teri gali say na jane kyon aaj, sir jhukaaye guzar geya woh,

Woh raat ka be-navaa musafir, woh tera shayar, woh tera Nasir,
Teri gali tak to jaate dekha, phir na jane kidhar geya woh..

Watch Video



Hamare ghar ki deewaron pe Nasir..

Nasir Kazmi

Hamare ghar ki deewaron pe Nasir,
Udaasi baal khole so rahi hai..



In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena..

Nasir Kazmi

In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena,
Un ko lagte hain meri ankh mein pyare aansu..



Dil to mera udaas hai..

Nasir Kazmi

Dil to mera udaas hai Nasir,
Sheher kyun saayen saayen karta hai.



Tu jo itna udaas hai Nasir..

Nasir Kazmi

Tu jo itna udaas hai Nasir,
Tujhe kya ho geya bata to sahi..



Mujhe yeh dar hai, teri aarzu na mitt jaye..

Nasir Kazmi

Mujhe yeh dar hai, teri aarzu na mitt jaye,
Bohat dinon se tabiyat meri udaas naheen..



Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad

Nasir Kazmi

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad

Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad

Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad

Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad

Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad



Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya

Nasir Kazmi

Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya

Wo Dosti Tou Khair Ab Naseeb-e-Dushmanaa.n Howi
Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhee Chala Gaya

Judayion Ke Zakham Dard-e-Zindagi Ne Bhar Dye
Tujhe Bhee Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar Aa Gaya

Pukaarti Hain Fursatain Kahan Gayin Wo Sohbatain
Zamee.n Nigal Gayi Unhain Ke Aasmaan Khaa Gaya


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nasir Kazmi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari