Nasir Kazmi

Ranjish.com has lots of Urdu Nasir Kazmi Poetry. Feel free to add your own Nasir Kazmi Shayari here.

Nasir Kazmi Collection

Nasir Kazmi
1925-1972

Nasir Kazmi Poetry and his poetry books are here for our readers to read and enjoy. Nasir Kazmi was born in Karachi. Nasir Kazmi Shayari is very popular in Pakistan and India because he always kept his shayari as simple as possible and that made it very easy for poetry lovers to understand.



Kabhi roye, kabhi tujh ko pukaara..

Nasir Kazmi

Kabhi roye, kabhi tujh ko pukaara,
Shab-e-furqat bari mushkil se guzri..



Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele

Nasir Kazmi

Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele
Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele

Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele

Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele

Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele

Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay
Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele

Ab Bhi TU Paas Nahi Hai Laikin
Is Qadar Door Kahan Tha Phele

Dairay Daalay Hain Bagolon Ne Jahan
Os Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Phele

Har Kharab Ye Sadaa Deta Hai
Mein Bhi Aabaad Makaan Tha Phele

Kia Se Kia Ho Gayi Dunya Pyaaray
TU Waheen Per Hai Jahaan Tha Phele

Ham Ne Aabaad Kia Mulk-e-Sukhan
Kaisa Sunsaan Samaa Tha Phele

Ham Ne Bakshi Hai Khamoshi Ko Zabaan
Dard Majboor-e-Fugaan Tha Phele

Ham Ne Roshan Kia Maamoor-e-Gham
Warna Har Simt Dhuwaan Tha Phele

Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir”
Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele



Sheher mein humdum puraaney bohat they..

Nasir Kazmi

Sheher mein humdum puraaney bohat they Nasir,
Waqt parrne pe mere kaam na aaya koi..



Sheher ki be’chiraag galiyon mein..

Nasir Kazmi

Sheher ki be’chiraag* galiyon mein,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi..

(be’chiraag;dark, having no light)



Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan

Nasir Kazmi

Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan,
Din dhalte hi dheyaan mein aye kese kese log ..



Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi

Nasir Kazmi

Juda huye hain bohat log ik tum bhi sahi,
Ab itni si baat pe kya zindagi haraam karain..



Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi

Nasir Kazmi

Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi

Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi

Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi

Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa
Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi

Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir”
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi



Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush

Nasir Kazmi

Yun Baitha Hun Dil Ke Daagh Se Khush
Jaisay Bacha Charaagh Se Khush

Jab Taaron Ki Shamain Jhilmilain
Saaqi Ne Kia Ayaagh Se Khush

Gham Chorh Gaya Jisay Jagaa Kar
Wo Dil Na Howa Faraagh Se Khush

Ab Naala-e-Dil Na Chairh Bulbul
Ye Baagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush

Ab Raas Hai Ka Kunj-e-Gham Hee “Nasir”
Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush



Bhari dunya mein jee nahin lagta..

Nasir Kazmi

Bhari dunya mein jee nahin lagta,
Jaane kis cheez ki kami hai abhi..



Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi

Nasir Kazmi

Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi
Barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi

Ay dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab
Milti hai zindagi main ye raahat kabhi kabhi

Tere karam se ay aalam-e-husssn-e-aafreen
Dil ban gaya hai dost ki khalwat kabhi kabhi

Dil ko kahan naseeb ye taufeeq-e-iztiraab
Milti hai zindagi main ye raahat kabhi kabhi

Josh-e-junoon main dard ki tughyaniyon k saath
Ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi

Tere qareeb reh k bhi dil mutmayin na tha
Guzri hai mujh pe ye qayamat kabhi kabhi

Kuch apna hosh tha na tumhara khayaal tha
Yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi

Ay dost ham ne tark-e-muhabbat ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zarurat kabhi kabhi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nasir Kazmi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari