Nasir Kazmi

Ranjish.com has lots of Urdu Nasir Kazmi Poetry. Feel free to add your own Nasir Kazmi Shayari here.

Nasir Kazmi Collection

Nasir Kazmi
1925-1972

Nasir Kazmi Poetry and his poetry books are here for our readers to read and enjoy. Nasir Kazmi was born in Karachi. Nasir Kazmi Shayari is very popular in Pakistan and India because he always kept his shayari as simple as possible and that made it very easy for poetry lovers to understand.



Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga

Nasir Kazmi

Be-Karaan Tanhaayion Ka Silsila Reh Jaaye Ga
Tere Mere Darmiyaan, Bas Ik Khalaa Reh Jaaye Ga

Aks Beh Jaayein Ge Saaray Dhoop Ke Sailaab Mein
Aur Koi Paanion Mein Jhaankta Reh Jaaye Ga

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpaish Hai
Raasta Kat Bhee Gaya Tou Faasla Reh Jaaye Ga

Loog So Jaayein Ge Khamoshi Ki Chaadar Orh Kar
Chaand Soonay Aanganon Mein Jaagta Reh Jaaye Ga

Jo Kubhi Os Ne Parheen Theen Mujh Se Nasir Maang Kar
Naam Mera Un Kitaabon Mein Likha Reh Jaaye Ga



Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi

Nasir Kazmi

Yaad Aata Hai Roz-o-Shab Koi
Ham Se Rootha Hai Be-Sabab Koi

Lab-e-Jo Chhaon Mein Darakhton Ki
Wo Mulaaqaat Thi Ajab Koi

Jab Tujhe Pehli Baar Dekha Tha
Wo Bhee Tha Mausam-e-Tarb Koi

Kuch Khabar Le Kar Teri Mehfil Se
Door Betha Hai Jaan-e-Balab Koi

Na Gham-e-Zindagi Na Dard-e-Firaaq
Dil Mein Yunhi Si Hai Talab Koi

Yaad Aati Hai Door Ki Baatain
Pyaar Se Dekhta Hai Jab Koi

Chout Khaayi Hai Baar-Haa Laikin
Aaj Tou Dard Hai Ajab Koi

Jin Ko Mitna Tha Mit Chukay Nasir
Un Ko Ruswa Karay Na Ab Koi



Tere Milnay Ko Be-Kal Hogaye Hain

Nasir Kazmi

Tere Milnay Ko Be-Kal Hogaye Hain
Magar Ye Loog Paagal Hogaye Hain

Bahaarain Le Ke Aaye Thay Jahaan Tum
Wo Ghar Sunsaan Jangal Ho Gaye Hain

Yahaan Tak Barh Gaye Aalaam-e-Hasti
Ke Dil Ke Honslay Shal Ho Gaye Hain

Unhain Sadyon Na Bhoolay Ga Zamaana
Yahaan Jo Haadsay Kal Ho Gaye Hain

Jinhain Hum Dekh Kar Jeetay Thay Nasir
Wo Loog Aankhon Se Ojhal Ho Gaye Hain



Tanhayi Ka Dukh Gehra Tha

Nasir Kazmi

Tanhayi Ka Dukh Gehra Tha
Mein Darya Darya Rota Tha

Ek Hee Leher Na Sambhli Warna
Mein Toofaanon Se Khaila Tha

Tanhaayi Ka Tanha Saaya
Dair Se Mere Saath Laga Tha

Chhor Gaye Jub Saaray Saathi
Tanhaayi Ne Saath Diya Tha

Sookh Gayi Jab Sukh Ki Daali
Tanhaayi Ka Phool Khila Tha

Tanhaayi Mein Yaad-e-Khuda Thi
Tanhaayi Mein Khauf-e-Khuda Tha

Tanhaayi Mohraab-e-Ibaadat
Tanhaayi Manbar Ka Diya Tha

Tanhaayi Mera Paa-e-Shikasta
Tanhaayi Mera Dast-e-Dua Tha

Wo Jannat Mere Dil Mein Chhupi Thi
Jisay Mein Baahir Dhoond Raha Tha

Tanhaayi Mere Dil Ki Jannat……………..
Mein Tanhaa Hun, Mein TanhaTha…!



Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhor Gayi..

Nasir Kazmi

Udaasion Ka Samaa Mehfilon Mein Chhor Gayi
Bahaar Ik Khaash Si Dilon Mein Chhor Gayi

Bichar Ke Tujh Se Hazaaron Taraf Gaya Khayaal
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhor Gayi

Kahan Se Laa’ye Ab Os Nigaah Ko Nasir ?
Jo Na-Tamaam Umangain Dilon Mein Chhor Gayi



Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya

Nasir Kazmi

Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya
Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost
TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya

Din Guzra Tha Bari Mushkil Se
Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya

Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa
Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya

Phir Loog Nazar Se Guzre
Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya

Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin
Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya

Baith Kar Saaya-e-Gul Main ‘Nasir’
Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya



Safar-e-Manzil-e-Shab Yaad Nahi

Nasir Kazmi

Safar-e-Manzil-e-Shab Yaad Nahi
Loog Rukhsat Huye Kab Yaad Nahi

Awwaleen Qurb Ki Sarshaari Mein
Kitnay Armaan Thay Jawaab Yaad Nahi

Dil Main Har Waqt Chubhan Rehti Thi
Thi Mujhe Kis Ki Talab Yaad Nahi

Wo Sitaara Thi K Shabnam Thi k Phool
Ik Soorat Thi Ajab Yaad Nahi

Kaisi Veeraan Hai Guzargaah-e-Khayaal
Jub Se Wo Aariz-o-Lab Yaad Nahi

Bhooltay Jaatay Hain Maazi Ke Dayaar
Yaad Aayein Bhi TOu Sub Yaad Nahi

Aisa Uljha Hun Gham-e-Duniya Main
Ek Bhi Khwaab-e-Tarb Yaad Nahi

Rishta-e-Jaan Tha Kubhi Jis Ka Khayaal
Oski Soorat Bhi Tou Ab Yaad Nahi

Ye Haqiqat Hai K Ehbaab Ko Ham
Yaad Hee Kab Thay Jo Ab Yaad Nahi

Yaad Hai Sair-e-Charaaghan “Nasir”
Dil k Bujhne Ka Sabab Yaad Nahi



Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate

Nasir Kazmi

Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate
Gham ki miaad badha jaao ke kuch raat kate

Hijr mein aah-o-baka sa kuhan hai lekin
Aaj yeh rasm hi dohrao ke kuch raat kate

Yun to tum roshni qalb-o-nazar ho lekin
Aaj who mojezah dikhlao ke kuch raat kate

Dil dukhaata hai who milkar bhi magar aaj ki raat
Usi be-dard ko le aao ke kuch raat kate

Dam ghuta jaata hai afsurda dili se yaaro
Koi afvah hi phailao ke kuch raat kate

Main bhi bekaar hun aur tum bhi ho viran bahot
Doston aaj na ghar jaao ke kuch raat kate

Chod aaye ho sarshaar use kyun NAASIR
Use phir ghar se bula lao ke kuch raat kate

(Miaad:Duration)(Mojezah:Something Unthinkable)(Afsurda:Sad)(Sarshaar:Alone)



Kya lage raat ke phir dil mein samaya koi

Nasir Kazmi

Kya lage raat ke phir dil mein samaya koi
Raat bhar phirta hai is sheher mein saya koi

Fikr yeh thi ke shab e hijar kattey gi kyun kar
Lutff yeh hai ke humain yaad na aaya koi

Shauk yeh tha ke mohabbat mein chalein ge chup chap
Ranj yeh hai ke tamasha na dikhaya koi

Sheher mein humdum dereena bohat they nasir
Waqt parney per mere kaam na aya koi



Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain

Nasir Kazmi

Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain
Jo zakhm dil ko miley woh bharte jate hain

Tere bagher woh din bhi guzar gaye akhir
Tere bagher yeh din bhi guzarte jate hain

Liye chalo mujhe darya-e-shauk ki maujo
Ke hamsafar tou mere paar utarte jate hain

Tamaam umar jahan hanste khelte guzaari
Ab us gali mein bhi hum darte darte jate hain

Mein khawhishon ke gharonde banaye jata hoon
Woh mehntain meri barbaad kiye jate hain


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nasir Kazmi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari