Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Shab-gazeeda ke ghar naheen ati

Urdu Poets

Shab-gazeeda ke ghar naheen ati
khawb main bhi sahar naheen ati

kya sunain des ki sunayen kya
koi achi khabar naheen ati

aayina dusron ki janib hai
apni surat nazar naheen ati

ap muh main zaban rakhte hain
baat karni magar naheen ati

dars dete hain woh mohabbat ka
jin ko zair o zabar naheen ati

meri qismat hai ya pachal-pheri
laut jaati hai ghar naheen ati

bin tere kuch nazar naheen ata
tujh ko atiya nazar naheen ati



Main ke phir roye bina raat nahin karta naa..

Urdu Poets

main ke phir roye bina raat nahin karta naa,
jab koi mujh se teri baat naheen karta naa,

is liye us ke sabhi jhoot bhi sach maane hain,
woh bina roye koi baat naheen karta naa,

main isse is liye har baat bata deta hoon
aayina mujh se sawalaat naheen karta naa,

itne logon main mujhe yuun na dikhaon ankhain,
acha baba main koi baat nahin karta naa..



ashkon ko arzu-e-rehayi hai royiye..

Urdu Poets

ashkon ko aarzuu-e-rehayi hai royiye,
ankhon ki ab isi main bhalayi hai royiye,

rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya,
kam-az-kam ehtejaj-e-khudayi hai royiye,

tasleem kar liya hai jo khud ko charagh-e-haq,
duniya qadam qadam pe sabayi hai royiye,

khush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap,
is dasht main bas abla-payi hai royiye,

ham hain aseer-e-zabt ijazat nahin humen,
ro pa rahe hain ap badhayi hai royiye.



Itne bejaan sahare to nahin hote na..

Urdu Poets

itne bejaan sahaare to naheen hote naa,
dard daryaa ke kinaare to naheen hote naa,

ranjishen hijar ka mayaar ghaTta deti hain,
rooth jane se guzaare to naheen hote naa,

raas rehti hai mohabbat bhi kayi logon ko,
woh bhi arshon se utaare to naheen hote naa,

hont seeney se kahan baat cHhupi rehti hai,
band ankhon se ishaare to naheen hote naa,

hijr to aur mohabbat ko baRrhaa deta hai,
ab mohabbat main khasaare to naheen hote naa..



suune hi rahe hijar ke sehra usse kehna..

Urdu Poets

suune hi rahe hijar ke sehraa usse kehna
sukhe na kabhi pyar ke darya usse kehna

barbad kiya hum ko teri kamm-nazri ne
yun hote na warna kabhi ruswa usse kehna

ik hashr bapa kar ke sar-e-sham safar main
phir tu ne mera haal na pucha usse kehna

jis hashar ke Ddar se woh khafaa mujh se hua tha
woh hashar to phir bhi hua barpaa usse kehna

ik khawb sa dakha tha to main kanp utha tha
phir maine koi khawb na dekha usse kehna



Apni har baat zamane se chupaani paRri thi..

Urdu Poets

apni har baat zamane se chupaani paRri thi,
phir bhi jis ankh main dekha to kahani paRri thi,

main ne kuch rang churaye thay kisi titlee ke,
aur phir umar hifazat main bitani paRri thi,

kal kisi ishq ke beemar pe dumm karna tha,
peer-e-kamil ko ghazal meri sunani paRri thi,

kucha-e-ishq se nakam palaTtne wale,
tu ne dekha tha wahan meri jawani paRri thi,

dil na seh paya kisi aur se qurbat us ki,
mujh ko deewar se tasveer haTtani paRri thi,

main bohat jald buRrhape main chala aaya tha,
bin tere umar ki raftar baRrhani paRri thi,

us ki hasrat ka badan barf na ho jaye kahin,
apne seene main mujhe aag lagani paRri thi,

tere mumtaz ko gham maut ka sirf is liye hai,
apne baalon main tujhe khaak rawani paRri thi..



Uss ki ankhon pe maan tha hi naheen..

Urdu Poets

uss ki ankhon pe maaaan tha hi naheen,
khawb tha khawb-daan tha hi naheen,

main taaqub main chal paRra jis ke,
dhool thi karvaan tha hi naheen,

do zameen-zaad jis main reh sakte,
is qadar aasman tha hi naheen,

gir paRra hoon to raste ne kaha,
tera mujh par to dheyan tha hi naheen,

ek khawhish thi do dilon ke beech,
aur kuch darmiyan tha hi naheen,

hum ne phoolon se khoob baaten ki,
baagh main baghbaan tha hi naheen,

uss ne chaha ke jana jaaon main,
uss se pehle jahaan tha hi naheen,

umar us main guzaar di mumtaz,
woh jo mera makaan tha hi naheen..



Kabootron ko uRrata hoon aur dekhta hoon..

Urdu Poets

kabootron ko uRrata hoon aur dekhta hoon,
fazaa ka husn baRhata hoon aur dekhta hoon,

yeh ankh muft main kuch bhi nahin dikhati mujhe,
main is ko khawb dikhata hoon aur dekhta hoon,

sunayi deta hai kis kis ko kon sunta hai,
gali main shor machata hoon aur dekhta hoon,

kabhi main pochta rehta tha kon hai dar par,
aur ab main doRr ke jata hoon aur dekhta hoon,

dhamaal dalne ata hai roz aik malangg,
main roz dekhne jata hoon aur dekhta hoon,

suna hai maut madawa hai zeest ke gham ka,
ruko main jaan se jata hoon aur dekhta hoon,

hayaa se kaise badalti hai rangat-e-rukhsar,
main us ko sher sunata hoon aur dekhta hoon,

kashish neend main zeyada hai asmaan main kam,
hawaa main khaak uRrata hoon aur dekhta hoon,

jo shakhss pyar ka munkir hai samne aaye,
main us se ankh milata hoon aur dekhta hoon..



Aap mil nahin rahe, phool khill nahin rahe..

Urdu Poets

aap mil nahin rahe,
phool khill nahin rahe,

aur kuch nahin hai dost,
zakhm sill nahin rahe,

hum kabhi sakoon main,
mustaqil nahin rahe,

kar raha hai woh sukhan,
log hill nahin rahe,

ishq hai zawaal main,
dil woh dil nahin rahe..



Ankahi dastaan samajh lijay..

Urdu Poets

ankahi dastaan samajh lijay,
ab mujhe rayegaan samajh lijay,

maine ab lab-kusha nahin hona,
sau khamoshi ko haan samajh lijay,

agar nahin aag se shanasayi,
aap mujh ko dhuaan samajh lijay,

saaye ka intezar kya karna,
dhoop ko sayebdaan samajh lijay,

kyun badalni hai ishq main tarteeb,
jo jahan hai wahan samajh lijay..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari