Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



zulf lehrayi hai kahin us ki

Urdu Poets

zulf lehrayi hai kahin us ki
yeh jo kaali ghaTta si lagti hai



woh mere ghar jhagaRrne aya tha

Urdu Poets

woh mere ghar jhagaRrne aya tha
khoob nikli hai pyar ki surat



zindagi ne jawaaz manga tha

Urdu Poets

zindagi ne jawaaz manga tha
sau tere gham se dosti kar li



agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon

Urdu Poets

agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon
magar tere baad hausla hai ke jee raha hoon

woh raiza raiza mere badan main utar raha hoon
main qatra qatra usi ki ankhon ko pee raha hoon

teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hoon

khuli hain ankhen magar badan hai tamaam pathar
koi bataye main mar chuka hoon ke jee raha hoon

kahan mile gi misaal meri sitamgari ki
ke main gulab-on ke zakham kanTon se see raha hoon

na puch mujh se ke sheher walon ka haal kya tha
ke main to khud apne ghar main bhi do ghaRi raha hoon

mila to beete dinon ka sach us ki ankhon main tha
woh ashnaa jis se muddaton ajnabi raha hoon

bhula de mujh ko ke bewafayi bajaa hai lekin
ganwaa na mujh ko ke main teri zindagi raha hoon

woh ajnabi ban ke bhi ab mile to kya hai mohsin
yeh naaz kam hai ke main bhi us ka kabhi raha hoon



aik jaadu mujhe ata hai, khabar hai tujh ko ?

Urdu Poets

aik jaadu mujhe ata hai, khabar hai tujh ko ?
hans ke beemar ko dekhoon, usse acha kar doon



ap agar aa ke mujh se mil jayen

Urdu Poets

ap agar aa ke mujh se mil jayen
zakham jitne hain aaj sil jayen



abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga

Urdu Poets

abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga
hamare baad najane tumhara kya hoga

hamara khud pe guzara nahin hai muddat se
hamare sath kisi ka guzara kya hoga

yeh dekhne ke liye kyun na aik din mar jayen
hamare sath usi din dobara kya hoga

woh jis ke nisf ne pagal kiya hai duniya ko
main sochta hoon haqeeqat main sara kya hoga

hamare naqsh -e- qadam se qadam milao magar
hamara kuch na bana to tumhara kya hoga

zaban lipTi hui hai gale se murde ki
sawal yeh nahin kaise, pukara kya hoga

woh mil ke jaye to lagta nahin mila hai kabhi
agar kinara kare to kinara kya hoga

pehen liya hai usse ankh moond kar maine
wagarna sochta rehta utara kya hoga

na us ko milne main dilchaspi hai na mujh ko magar
hum intezar main hai istikhara kya hoga

jinhe pata tha sabhi kuch woh log bhi na rahe
humen pata hi nahin kuch hamara kya hoga



dDass gayi muflisi mujhe aa kar

Urdu Poets

dDass gayi muflisi mujhe aa kar
saanp betha raha khazane par



beemar le ke so gaya goli sakoon ki

Urdu Poets

beemar le ke so gaya goli sakoon ki
temaardar dair talak jagta raha



bhool gayi main ishq mohabbat bhool gayi

Urdu Poets

bhool gayi main ishq mohabbat bhool gayi
dil pankhe pe rassi Daali, jhool gayi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari