Rahat Indori

Ranjish.com has lots of Urdu Rahat Indori Poetry. Feel free to add your own Rahat Indori Shayari here.

Rahat Indori Collection

Rahat Indori
1950-

Rahat Indori is an Urdu language poet and bollywood lyricist. He is well known for his boldness and the style he adopts at his Mushairas.
Rahat Indore used to work at Indore University as a pedagogist. We have collected a huge amount of Rahat indori poetry and will be uploading them all on Ranjish.com .



Ghar se yeh soch ke niklaa hoon ke mar jana hai..

Rahat Indori

Ghar se yeh soch ke niklaa hoon ke mar jana hai,
Ab koi raah dikhaa de ke kidhar jaana hai,

Jism se saath nibhaane ki mat umeed rakho,
Iss musaafir ko to raste main thehar jaana hai,

Maut lamhe ki sadaa zindagi umron ki pukaar,
Main yehi soch ke zinda hoon ke mar jana hai,

Nasha aisa tha ke mai-khane ko duniyaa samjha,
Hosh aaya to khayaal aaya ke ghar jaana hai,

Mere jazbe ki barri qadar hai logon mein magar,
Mere jazbe ko mere sath hi mar jana hai..



Faisle lamhaat ke naslon pe bhaari ho gaye..

Rahat Indori

Faisle lamhaat ke naslon pe bhaari ho gaye,
Baap hakeem tha magar bette bhikaari ho gaye,

Deviyaan pohanchi theen apne baal bikhraye huye,
Devtaa mandir se nikle aur pujaari ho gaye,

Roshni ki jang me tareekiyaan paida huin,
Chaand paagal ho geya taare bhikaari ho gaye,

Rakh diye jaayen ge naize lafz aur hontton ke beech,
Zill-e-subhaani ke ehkamaat jaari ho gaye,

Narm-o-naazuk halke phulke ruii ke jese khawb they,
Aansuyon mei bheegne ke baad bhaari ho gaye..



Bemaar ko maraz ki davaa deni chahiye..

Rahat Indori

Bemaar ko maraz ki davaa deni chahiye,
Main peena chahta hoon pilaa deni chahiye,

Allah barkaton se navaaze ga ishq mein,
Hai jitni puunji paas laga deni chahiye,

Dil bhi kisi faqeer ke hujray se kamm nahin,
Duniyaa yahin pe laa ke chupaa deni chahiye,

Main khud bhi karna chahta hoon apna saamna,
Tujh ko bhi ab naqaab uthaa deni chahiye,

Main phool hoon to phool ko guldaan ka naseeb,
Main aag hoon to aag bujhaa deni chahiye,

Main taaj hoon to taaj ko sar pr sajaayen,
Main khaak hoon to khaak urraa denni chhahiye,

Main jabr hoon to jabr ki taayeed band ho,
Main sabr hoon to mujh ko dua deni chahiye,

Main khawb hoon to khawb se chaunkaayiye mujhe,
Main neend hon to neend urraa deni chahiye,

Sach baat kaun hai jo sar-e-aam keh sake,
Main keh raha hoon mujh ko sazaa deni chahiye..

Watch Video



Andar ka zeher choom liya dhhul ke aa gaye..

Rahat Indori

Andar ka zeher choom liya dhhul ke aa gaye,
Kitne shareef log they sab khhul ke aa gaye,

Suuraj se jangg jeetne nikle they bewaqoof,
Saare sipaahi mom ke they ghhul ke aa gaye,

Masjid me door door koi duusra na tha,
Hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye,

Neendon se jang hoti rahegi tamaam umar,
Aaankhon me band khawb agar khhul ke aa gaye,

Suuraj ne apni shakal bhi dekhi thi pehli baar,
Aayine ko maze bhi taqaabul ke aa gaye,

Anjaane saaye phirne lage hain idhar udhar,
Mausam hamare sheher me kaabul ke aa gaye..



Ajnabi khawhishen seene me dabaa bi na sakoon..

Rahat Indori

Ajnabi khawhishen seene me dabaa bi na sakoon,
Aese zidii hain parinde ke urraa bhi na sakoon,

Phoonk daalunga kisi roz main dil ki duniya,
Ye tera khat to nahin hai ke jalaa bhi na sakoon,

Meri ghairat bhi koi shai hai ke mehfil me mujhe,
Uss ne is tarah bulaaya hai ke jaa bhi na sakoon,

Phhal to sab mere darakhton ke pakke hain lekin,
Itni kamzor hain shaakhain ke hilaa bhi na sakoon,

Ik na ik roz kahin dhoond hi loon ga tujh ko,
Thokren zeher nahin hain ke main khaa bhi na sakoon..



Aankh me paani rakho hontton pe chingaari rakho..

Rahat Indori

Aankh me paani rakho hontton pe chingaari rakho,
Zinda rehna hai to tarkeeben bohat saari rakho,

Raah ke pathar se barrh kr kuch nahin hain manzilen,
Raaste awaz dete hain safar jaari rakho,

Ek hi nadii ke hain yeh do kinaare dosto,
Dostaana zindagi se maut se yaari rakho,

Aate jaate pal yeh kehte hain hamare kaan me,
Kuch kaa ailaan hone ko hai tayaari rakho,

Yeh zaroori hai ke aankhon ka bharam qaayem rahe,
Neend rakho ya na rakho khawb mayaari rakho,

Yeh havaayen urr na jaayen le ke kaghaz ka badan,
Doston mujh pr koi pathar zara bhaari rakho,

Le to aaye shayari bazaar me “rahat” miaan,
Kya zaroori hai ke lehje ko bhi bazaari rakho..



Charaaghon ka gharaana chal raha hai..

Rahat Indori

Charaaghon ka gharaana chal raha hai,
Havaa se dostaana chal raha hai,

Jawaani ki hawaayen chal rahi hain,
Buzurgon kaa khazaana chal raha hai,

Meri gum-gashtgi pr hasne walo,
Mere peechey zamaana chal raha hai,

Abhi hum zindagi se mil na paaye,
Taa.aaruf ghaayebaana chal raha hai,

Naye kirdaar aate jaa rahe hain,
Magar naattak puraana chal raha hai,

Wohi duniya wohi saansen wohi hum,
Wohi sab kuchh puraana chal raha hai,

Zeyada kya tawaqoh ho ghazal se,
Miaan bass aab-o-daana chal raha hai,

Samandar se kisi din phir milen ge,
Abhi peena pilaana chal raha hai,

Wohi mehshar wohi milne ka vaada,
Wohi buurrha bahaana chal raha hai,

Yahan ik madrassa hota tha pehle,
Magar ab kaarkhaana chal raha hai..



Chamakte lafz sitaaron se chheen laaye hain..

Rahat Indori

Chamakte lafz sitaaron se chheen laaye hain,
Ham aasmaanon se ghazal ki zameen laaye hain,

Woh aur honge jo khanjar chupaa ke laate hain,
Hum apne saath phattii aasteen laaye hain,

Hamaari baat ki gehraayi khaak samjhen ge,
Jo parbaton ke liye khurdbeen laaye hain,

Hansso na hum pe ke har bdnaseeb banjaare,
Saron pe raakh ke vatan ki zameen laaye hain,

Mere qabeele ke bachon ke khail bhi hain ajeeb,
Kisi sipaahi ki talvaar chheen laaye hain..



Mere ashkon ne kayi aankhon mein jal-thal kar diya..

Rahat Indori

Mere ashkon ne kayi aankhon mein jal-thal kar diya,
Aik paagal ne bohat logon ko paagal kar diya,

Apni palkon par sajaa kar mere aansuuu aap ne,
Raaste ki dhuul ko ankhon ka kaajal kar diya,

Main ne dil de kr ussay ki thi wafa ki ibtidaa,
Us ne dhokaa de ke yeh qissa mukammal kar diya,

Yeh hawaayen kab nigaahen phair len kis ko khabar,
Shohrton kaa takht jab tuuta to paidal kar diya,

Devtaaon aur khudaaon ki lagaayi aag ne,
Dekhte hi dekhte basti ko jungle kar diya,

Zakhm ki suurat nazar aatey hain chehron ke nuquush,
Hum ne aainon ko tehzeebon kaa maqtal kar diya,

Shehr mei charcha hai aakhir aisi larrki kaun hai,
Jis ne ache khaasay ik shayar ko paagal kar diya..



Kaam sab ghair-zaroori hain jo sab karte hain..

Rahat Indori

Kaam sab ghair-zaroori hain jo sab karte hain,
Aur hum kuch nahin karte hain ghazzab karte hain,

Aap ki nazron mei suuraj ki hai jitni azmat,
Hum charaaghon kaa bhi utnaa hi adab karte hain,

Hum pe haaakim ka koi hukm nahin chalta hai,
Hum qalandar hain shehenshaah laqab karte hain,

Dekhiye jis ko usse dhun hai maseehayi ki,
Aaj kal sheher ke bimaar matab karte hain,

Khud ko pathar sa banaa rakha hai kuch logon ne,
Bol sakte hain magar baat hi kab karte hain,

Ek ik pal ko kitaabon ki tarah parrhne lage,
Umr bhar jo na kiya hum ne woh ab karte hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Rahat Indori.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari