Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Ab mera phone kyon uthao ge tum

Wasi Shah

Ab mera phone kyon uthao ge tum,
Ab mera tum ko ehtraam nahin,
Ab tumhain mujh se koi kam nahin..



Jab Se Peghaam Mila, Jaanan! Tum Aaney Wali Ho..

Wasi Shah

Jab se yeh peghaam mila hai,
Jaana’n! tum aaney wali ho,
Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai,
Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai,
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain,
Kehte hain ke,
Is raste se tum guzro gi,
Nanhe mune gulabon ka kehna hai,
Jitne din tum pass raho ge,
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge,

Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain,
Jugnu kab se chat pe, ghar ke,
Har goshay mein chamak rahe hain,
Suraj aur barish bhi kal se saaye’baan per tikkay huye hain,
Dheemey dheemey chehek rahe hain,
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker,
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge,
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam,
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker
Kho jayegi,

Phir na kabhi wapis aaye gi,
Is se pehle ke yeh shaam bhi,
Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye,
Tum aajao naa’n,
Aabhi jao….



Mere maula teri janat se judaa lagti hai

Wasi Shah

Mere maula teri janat se judaa lagti hai,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..



Yeh mera hausla hai tere baghair

Wasi Shah

Yeh mera hausla hai tere baghair,
Saans leta hoon baat karta hoon..



Aadhi raat ke sanatey mein, Kis ne phone kiya hai mujh ko ?

Wasi Shah

Aadhi raat ke sanatey mein,
Kis ne phone kiya hai mujh ko ?
Jane kis ka phone aya hai,
Phone utha kar yu’n lagta hai,
Us jaanib koi gum’sum, gum’sum, ukhrra ukhrra
dheerey dheerey kaamp raha hai,
Mehki huyi ik khamoshi hai
ghupp khamoshi hai,
lekin is khamoshi mein bhi goonj rahe hain,
Thandi saansain, barish, aansu,
Khamoshi se thak kar us ne saans liya to,
Choorri khanki,
Uff yeh khann khann….
Ik lamhe mein sarey badan mein phail gayi hai,
Tere ilaawa koi nahin hai,
Lekin itne barso’n baad….



Koi malaal koi aarzoo nahin karta

Wasi Shah

Koi malaal koi aarzoo nahin karta,
Tumhare baad yeh dil guftagu nahin karta,

Koi na koi cheez meri toot jati hai,
Tumhari yaad se jab bhi wuzu nahin karta..



Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho..

Wasi Shah

Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho,
Hath hathon mein tera ho, shaam ho,

Khauf ata hai mujhe us waqt se,
Raasta na mil raha ho, shaam ho,

Kis qadar be’kaif guzre gi woh shaam,
Tu mujhe bhoola hua ho, shaam ho,

Kyon na shiddat se mujhe yaad aye gaao’n,
Sheher ka banjar’pana ho, shaam ho,

Ho rahi ho teri tasveeron se baat,
Tera khat khola hua ho, shaam ho,

Sardiyaan, barish, hawaa, chaaye ka cup,
Woh mujhe yaad aaraha ho, shaam ho,

Dard o gham ki dhund mein liptaa hua,
Qaafila sa chal para ho, shaam ho,

Ya’ilahi aese lamhe se bachaa,
Woh kabhi mujh se khafaa ho, shaam ho,

Ik yehi khawhish na puri ho saki,
Tu kalejey se laga ho, shaam ho..



Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain

Wasi Shah

Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain
Zindah Lagtay Hain Magar Asal Mein Mar Jaatay Hain

Jub Kubhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU
Kitnay Khanjar Mere Seenay Mein Utar Jaatay Hain

Teri Yaadon Ki “Agar Bat’tiyan” Jal Uthtay Hee
Hum Tere Dard Ki Khushbouon Se Bhar Jaatay Hain

Hum Se Aawaarah Phira Kartay Hain Galyon Mein Kaheen
Shaam Hotay Hee “Wasi” Loog Tou Ghar Jaatay Hain



Jaan se maar de mujhe lekin..

Wasi Shah

Jaan se maar de mujhe lekin,
Chorr jane ka mujh pe zulam na kar..



Bohat saal reh liye apne, Ab mere ho ke raho..

Wasi Shah

Apni haatir jage ho, soye ho,
Apni haatir hanse ho, soye ho,
Kis liye, Aaj khoye khoye ho,

Tum ne aansuu bohat piye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,

Tum azal se dikhon ke dairey ho,
Chahey khud ko ghamon mein ghairey ho,
Jab se paida huye ho mere ho,

Aaj kholain ge lab siye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere sirf mere ho ke raho,

Ab mujhe apne dard sehne do,
Dil ki har baat dil se kehne do,
Meri banhon mein khud ko behne do,

Mudatt’ton zakham khud siye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,

Hussan hi hussan ho, Zahanat ho,
Aashiq hon mein, Tum to mohabbat ho,
Tum meri , Bas meri amanat ho,

Ji liye, Jis qadar jiye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,

Rehte ho ranj-o-gham ke ghairon mein,
Dukh ke, asaib ke baseron mein,
Kese choroon tumhain andheron mein,

Tum ko de doon ga sab diye apne,
Tum bohat saal reh liye apne,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari