Wasi Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Wasi Shah Poetry. Feel free to add your own Wasi Shah Shayari here.

Wasi Shah Collection

Wasi Shah
1976-

Wasi Shah is young pakistani romantic poet. Poeple search Wasi Shah Poetry or Wasi Shah Shayari to read Wasi Shah Shayari. Wasi Shah Poetry is truely loved by urdu readers all over the world. Wasi Shah has wrote so many poetry books, some of them are Mere Ho Ke Raho and Mujhe Sandal Kardo.



Ab koi yaar hai na baili hai..

Wasi Shah

Ab koi yaar hai na baili hai,
Zindagi dard ki saheli hai,

Uthne joga nahin hai tere baad,
Dil ne takleef aesi jhaili hai,

Sham se is liye mohabbat hai,
Teri yadon ke sath kheli hai,

Muztarib kyon na hoon shab-e-hijran,
Dard ki gaud mein akeli hai,

Koi batlaye khawab ka mafhoom,
Raat hai, saamp hai, chambeli hai,

In lakeeron mein tu nahin to Wasi,
Kitni veeran yeh hatheli hai..



Tum ne kaha tha, Pehli barish ke parte hi..

Wasi Shah

Tum ne kaha tha,
Pehli barish ke parte hi,
Laut aao ge..!!
Hum aur tum mil kar bheegain ge,
Dekho jana..!!
Kitni phua’rain beet chuki hain,
Saawan phir se laut ke aaya hai,
Barson pehle kiya tha tum ne,
Mujh se ehad,
Nibhaa jao na,
Janaan! Laut ke aajao naa,
Ab to laut ke aajao naa..!!



Dil jo toota hai to dil ke konon se

Wasi Shah

Dil jo toota hai to dil ke konon se,
Teri meri nishaniyan nikli’n,

Tu gaya hai to mere yaaron mein,
Kesi kesi kahaniyan nikli’n…



Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum

Wasi Shah

Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum,
Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum,

Kabhi tumhe bhi to daawa tha sard-mehri ka,
Kisi ke lamss ko paa kar pighal rahi ho tum,

Batao kyon nahin roka tha jaane waley ko,
Ab aik umar se kyon hath mall rahi ho tum,

Jo waaldain ne tum se kaha woh maan liya,
Ab apni aag mein chup chaap jal rahi ho tum,

Hamare dil ka khilona tumhi ne torra hai,
Ab isi khilone ki khatir machal rahi ho tum,

Tumhe gumaa’n hai ke mein janta nahin kuch bhi,
Mujhe khabar hai ke rasta badal rahi ho tum..

(waaldain;parents)



Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain

Wasi Shah

Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain
Tumhaaray Aanay Ke Imkaan Hain, Magar Kam Hain

Mein Lout-tay Howay Chupkay Se Chhor Aaya Tha
Tumhaaray Takye Pe Mere Hazaar Mausam Hain

Tumhaaray Paon Ko Chhuu Kar Zamaana Jeet Liya
Tumhaaray Paon Nahi Hain, Ye Ek Aalam Hain

Mohabbatain Huween Taqseem Tou Ye Bhaid Khulaa
Hamaray Hissay Mein Khushian Nahi Hain, Maatham Hain

Kuch Isi Lye Bhee Hamain Dukh Se Dar Nahi Lagta
Hamaari Dhaal Tere Dard Hain, Tere Gham Hain

Abhi Kaho, Tou Abhee, Ye Bhi Tum Ko De Dein Ge
Hamaaray Paas Jo Ginti Ke Ek Do Dam Hain

Abhi Khulain Ge Bhalaa Kaisay Kaainaat Ke Raaz ?
Teri Kamar Mein Kayi Morr Hain, Kayi Kham Hain



Chahay tu kaam main la, Chahe nikama karde..

Wasi Shah

Chahay tu kaam main la, Chahe nikama karde,
Main tera hoon, teri marzi mujhr jesa karde,

Tera bemar hoon azloon say, Na mar jaon kahin,
Ek nazar dekh lay mujh ko mujhe acha karde,

Tujh se bas itni he khuwahish mere malik ki hai,
Us ke dil ko main Lubhaa loon mujhe aesa karde,

Jo tera ho ga zamanay se wo kat jaye ga,
Tu to jis shaks ko chahe usey tanha karde,

Aesa noor ayee ke dunia mera chehra dekhe,
Tu jo palkon ka mere Chehray pay saya karde,

Wo khuda tujh se faqeeron ki to sun leta hai,
Us se kehna k mujhay ishq main Ruswa karde,

Mujh ko deta hay wo izat, yeh karam hai uska,
Tere bas main ho agar tu mujhay Ruswa karde..



Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?

Wasi Shah

Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?

Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?

Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?



Tere Firaaq Ke Lamhay Shumaar Kartay Howay

Wasi Shah

Tere Firaaq Ke Lamhay Shumaar Kartay Howay
Bikhar Chalay Hain Tera Intezaar Kartay Howay

Tou Mein Bhi Khush Hun Koi Os Se Ja Ke Keh Dena
Agar Wo Khush Hai Mujhe Be-Karaar Kartay Howay

Tumhain Khabar Hee Nahi Koi Toot Gaya
Mohabbaton Ko Bohat Paayedaar Kartay Howay

Mein Muskurata Howa Aainay Mein Ubhruun Ga
Wo Ro Paray Gi Achaanak Singhaar Kartay Howay

Mujhe Khabar Thi Ke Ab Lout Kar Na Aaon Ga
So Tujh Ko Yaad Kia Dil Pe Waar Kartay Howay

Wo Keh Rahi Thi Samandar Nahi Hain Aankhain Hain
Mein Un Mein Doob Gaya Aitebaar Kartay Howay

Bhanwar Jo Mujh Mein Parray Hain Wo Mein Hee Jaanta Hun
Tumhaaray Hijr Ke Darya Ko Paar Kartay Howay



Kal Ajab Saaniha Sa Howa Rait Per

Wasi Shah

Kal Ajab Saaniha Sa Howa Rait Per
Naam Tera Nahee Likh Saka Rait Per

Kis Ki Awaaz Se Tham Gaye Hain Qadam ?
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sadaa Rait Per ?

Oski Aankhon Se Sholay Nikaltay Rahay
Naachti Reh Gayi Kal Ghataa Rait Per

TU Ne Jo Bhee Hawaa Se Kahaa Reh Gaya
Mit Gaya Mein Ne Jo Bhee Likha Rait Per

Mein Tumhain Choomna Chahta Hun Abhee
Os Ne Mujh Se Ye Ik Din Kaha Rait Per

Ab Ye Sehra Hee Tere Muqaddar Mein Hain
TU Ne Maangi Hee Kiun Thi Duaa Rait Per ?

Ik Shola Uthaa Os Jaga Se “Wasi”
Mera Aansoo Jahan Gir Gaya Rait Per



Mein Is Hisaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Wasi Shah

Mein Is Hisaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun
Tumhaaray Pyaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Teri Gali Ke iLaawa Bhee Aur Qirye Hain
Jo Is Dayaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Tumhaaray Hijr Ki Sadyaan Tumhaaray Vasl Ke Din
Mein Is Shumaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Racha Howa Hai Tera Ishq Meri Pooron Mein
Mein Is Khumaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Mera Jism Ke Maatam Saraa-e-Hasrat Hai
Mein Is Mazaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Mujh Mein Kon Mere Raat Din Sambhaalta Hai ?
Is Ikhtiyaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Tumhaari Jism Ki Khushbuu Ne Kardia Mas-hoor
Is Aabshaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Be-Qaraari Meri Rooh Ka Ujaala Hai
Mein Is Qaraar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Wasi Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari