Aesi halat ko yahan log muhabbat kehte hen

Aesi halat ko yahan ..

Jab beti chokhat par kare,
or izzat ka beyopar karay,
Jab baap ki izzat kho jaye,
jab bhai ko taney milty hon,
Jab behno k dil jaltey hon,
jab maaon ki nazaren jhuk jaye,
Jab sans labon per ruk jaye,
jab sharam-o- haya ka aameza,
Jab ik kanwari doshiza,
Jab be’sharmi ko apna lay,
Jab khud ko zillat main dhaley,
Jab ghair k senay lag jaye,
Or apna ap ganwa aye,
to aesi halat ko yahan log muhabbat kehte hen.


send poetry

Soch Shayari
February 13th, 2012

2 comment

  1. i appreciate your toughts…
    keep posting

  2. O mamoo tujh ko to koi mohabt nahi krta.or doosrn ki mohabbt pe kaise kaise lafz istmal kr rha hai.

Comment here

Your Comment: