Ab aur kya kisi se marasim barrhayen hum..
Ab aur kya kisi se m..
Ab aur kya kisi se maraasim barrhayein hum,
Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool jayen hum,
Sehra-e-zindagi mein koyi dusra na tha,
Sunte rahe hein aap hi apni sadaayn hum,
Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb,
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum,
Tu itni dil zada tau na thi ay shab-e-firaq,
Aa tere raaste mein sitaare luttayen hum,
Woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz,
Haye haye khuda-na-karda tujhe bhi rulayen hum..
Ahmad Faraz
July 17th, 2009
2 comment
Comment here
Next: ?Taash K pat0n ki Manind »
Muskan Haider
March 21st, 2010 at 3:25 am
Ghum-o-dukh k ye isharay tm na samjo gay
Jo din hmne tmharay bin guzaray tm na samjo gay
Tmhen kesay batayen tm hmaray wastay kya ho
Samandr ki kahani mein kinaray tm na samjo gay
Bus itna jan lo ek shakhs say hmne mohobbat ki
Hmaray tootnay ka khel pyaray tm na samjo gay
Hazaron mushkilon say khel kr b jeetnay walay
Ye aakhir kis jaga pr aa k haaray tm na samjo gay
Farooq Khan
October 29th, 2011 at 5:01 pm
Phir usi rahguzar par shayad!
Ham kbhi mil sakin magar shayad!
Muntazir jin k ham rahe unko!
Mil gaye aur hamsafar shayad!
zindigi bahr lahoo rulaye gi!
yad e yaran men bekhabar shayad!
jo bhi bichre hen kab mile hen faraz!
phir bhi too intizar kar shayad!