Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain..

Ab ke hum bichre to ..

Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain
Jis tarah sukhe huye phool kitabon mein milain

Dhoond ujre huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milain

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha bardhta hai sharabein jo sharabon mein milain

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain tou kyun hijabon mein milain

Aaj hum daar pe khainchay gaye jin baaton par
Kya ajab kal wo zamaanay ko nisaabon mein milain

Ab na wo main , na woh tu hai, na wo maazi hai “Faraz”
Jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milain..


send poetry

Ahmad Faraz
July 23rd, 2012

14 comment

  1. nice poetry

  2. Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
    Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,
    Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
    Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,
    Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
    Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!

  3. Lahoo ronay se darta hon
    Juda honay se darta hon
    Meri Aankhain batati hain
    K main sonay se darta hon
    Meri unggli pakar laina
    Mujhe tanha nahi karna,
    Ye dunya aik maila hai
    Tumhain khonay se darta hon…
    Jo hansti ho tu kyun palkon k
    Goshay bheeg jatay hain,
    Tumhain malom hai
    Main is tarah ronay se darta hon …
    Ye jab se khwaab daikha hai
    Tum mujhe chor jaao gi
    Main ab darta hon khwaabon se,
    Main ab sonay se darta hon…
    My cell # 0014095392441

  4. Dear Sir,

    Mere Ghazal Kise or Name say published huee ha ku,

  5. Muhabat sachi ho to harem e naz khuld se kam nahe hota
    Bewafa chhor bhi jae to gham nhe hota
    Agr chor jae koi ap sa hum ko Nashib
    To sadma kisi mot se kam nhe hota

  6. Kamal poetry i like it.

  7. Yad aai Teri dil ro raha tha akela
    Kabhi juda na honey ka socha
    Teri soch m aj bhi hn tanha or akela

    Im Ali Murtaza Kapri

  8. itna qarib ao k ji bhar k dekh lon
    Shayd k phir milen to ye zoq e nazar na ho. .
    my cell. 03332977843

  9. Plz koi mujy WO ghazal send kar day.
    An k Jo bechry to kia howa Judaism py tery
    Ye andesha to humy pehli mulakaat se ta
    My cntct number 03334972879

  10. way pardasiya chad k na janein tery bin dil naeno dil lagda..
    contect # †92341-6448392

  11. way pardasiya chad k na janein tery bin dil naeno dil lagda..
    contect # †92-341-6448392

  12. Apki Poetry Pe Aitbar Nahi Kiya Ja sakta Jistarah Rekhta.org kam kar rahi hai india main ap ki to website chalni hi nahi chahiay apki poetry main ghalt alfaz arrangment galt or badle lafz hotey hen apko apne miyar ka koi khiyal nahi

  13. “Kal Talk Rahe Hain Jazav-e-Laa Yanfik-e-Qalam
    AhsiiiN.!
    Aaj Sunai hi Nahin Deti Sareer.!!!
    Ahsin Fayaz Ahmed.!
    03083063322

  14. “Mana K Behsht Ka Haq-Dar Nahin Hun AhsiiiN.!!

    Magar Banda-e-Deegri Nahin Jo Jahnam Bhi Na Rahe.
    ye poori ghzl parhne k liye msg at# 03083063322
    or agr koi shayri ka shoq rakhta hai ya shayri k arooj pe hai wo zarur Ahsin Fayaz Ahmed se rabta kre.

Comment here

Your Comment: