Labon pe hansi

Labon pe hansi..

Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha

is zarf main itna kamal rakhta tha

kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga

jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha

suna hai log ab boht sataty hain usy

main jis ka itna khyal rakhta tha


send poetry

Ahmad Faraz
December 9th, 2009

One comment

  1. bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
    narm jhonkey kabhi toofan bhi jatey hain
    hum ne mehboob jo badla to ta’ajub kesa
    log kafir se musalman bhi ho jatey hain
    yu’n to ik dard ka rishta hai sabhi logo’n se
    log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
    shehr bhar ko main muhabbat to sikha doon lekin
    khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
    hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
    rastey pyar k asan bhi ho jatey hain.

Comment here

Your Comment: