wo ankhain jheel c gehri

wo ankhain jheel c g..

Faraz? wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin


send poetry

Ahmad Faraz
July 17th, 2009

4 comment

  1. It seems the poem is by Amjad islam amjad, and not faraz. giving you the full poem below

    Kehnay ko us say mera koi waasta nahin
    Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin

    darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
    main jaag to raha hoon magar jaagta nahin

    aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan
    aadat ki baat or hay dil ka bura nahin

    tanha udaas chaand ko samjho naa beykhabar
    hur baat sun raha hay magar bolta nahin

    khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
    nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin

    amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
    un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!

  2. The poet of this ghazal is Faraz Ahmed faraz , not Amjad Islam Amjad

  3. kya tha main, kya ho gaya hun.
    kisse kahun, kese kahun!!!

    band kamre me, akele rona mera.
    kisse kahun, kese kahun!!!

    dar ke rato ko, u chok kar uthna.
    kisse kahun, kese kahun!!!

    jindagi hai, sehmi sehmi si meri.
    kisse kahun, kese kahun!!!

    wo dour hi kuchh or thaa, khul ke jita tha main…
    ab na jane kyo mout se mohabbat si ho gai hai!!

  4. Outstanding.. Bahut Acha hai i like it very much

Comment here

Your Comment: